Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 130
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Tawaf key doran ba vazoo hona zarori hay ya nahin.

Answer: Agar Wajib tawaf hay to ba-wuzu hona zaroori hay.Agar Mustahib tawaf hay to is main ba-taharat hona motabar nahi hay.Ref:Manasik-e-Hajj A.Sistani Pg.No.209,Masala No.285,295.

Id: 687
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hajj anjam deney se pehle wajib rozon aur namazon ki qaza ki adayegi k baarey mein kia hukum hai?kia hajj ada hojaney k baad inn kaamon ki anjam diya jaa sakta hai??

Answer: bismehi taala, hajj anjam deney se pehle wajib rozon aur namazon ki qaza ki adayegi zaroori nahin he aur hajj ke baad qaza ki ja sakti he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2044)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 706
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar hajj ke doraan tawaf mein gas gharij hojaye to doran-e-tawaf wazu k baarey mein kia hukum hai??

Answer: Tawaaf main 4 chakkar mukammal honay k baad agar bay iktiyaari taur per wuzu batil hojaay (yani wuzu ko jaan boojh ker batil nah kia ho) tu, wuzu ker k dobaarah apna tawaaf osi jagah say shuru kia jay jahaan say chora tha. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e Haj,pg#169,180)

Id: 981
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, meri ek wahabi frnd ne mujse kaha ke iran me jo Haj ke ritual ho rahe hai vo galat hai wo mecke ke siva kahi nhi krsakte kya ye sach hai aur uska jawab kese de??? plz reply

Answer: Baitullaha ki ziarat karna aur un aamal ko baja lana jin aamal ka hokum dia gya he un hi ka name haj he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1994) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1012
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir kia aehram k niche under garments pehan sakte hain like baunyan ya under wear etc

Answer: Mardoo k lie ahram ki halat me silla hua ya aisa libas penan na jo silay huay k hokum me ho haram he. (Ref : http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=4&bid=14&pid=1116 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye

Id: 1273
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalmwalkum Pls answer me according to Aayatulha Seestani.I am going for Umraha after Ahram i can travel under shade in day time.Thanks

Answer: Saa,ya(Shade) se muraad apne aap ko soraj se bachana hay or ehtiyat e wajib ki bina par is hokum main barish ko bhi shamil kiya gaya hay. laikin azhar ye hay k hawa, sardi, germi ya in jaisi dosri chezo se apny aap ko bachana jaiz hay agarchah ehtiyaat mustahab isko chorhnay main hay. laihaza raat k waqt muhram(ehraam pehene wala shaks ) k liay chat wali garhi ya kisi or cheez main sawaar hone main koe haraj nahi hay is shart k saath k ehtiyaat e lazim bina per barish nah ho rahi ho. agarchah ye sawari muhram shaks ko hawa se bacha rahi ho. (Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Manasik e haj, Maslah# 270) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2098
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar insan hajj par gya ho to kia uski qurbani pakistan ma ki ja sakti ha

Answer: Haji k liay wajib he k qurbani mina me karay or agar hujjaaj e karam k bohot ziyada hoon ya gunjaaish nah ho tu waadi e muhassar main qurbani jaiz hay. (Ref : Ayat Ullaha Sistani (d.b.) manasik e hajj http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=744) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2182
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaams, Qibla Walad-uz-zina aur Haramzaadey main kiya farq hai ?? Sunni Jo Tawaf-un-nisa nahin kerte kiya un logon se shadi biyah jaiz hai. Wsalaam.

Answer: Waladuz zina aur Haram zaadey ka matlab aik hi hay yani wo shaks jo bay nikahi maan se paida hoa ho.yani zina k natijay main paida hoa ho.(Ref:fairoozul lughaat, pg#565) Tawaafun nisa jo Haj or umrah e mufradah ka aakhri tawaaf hay jisay anjaam nah dainay se Haj ya Umra e mufrada kernay walay per hambistari haram rehti hay magar nikah nahi tot ta or agar kisi nay tawaafun nisa anjaam nah diya hambistari ki jay tab bhi paida honay wala bacha halal zada hoga.isi terah or bhi kae maqamaat hain k jahan hambistari haram hay laikin is hambistari k natijay main paida honay wali aulaad halal zada hoti hay.maslan: halat e roza main jima haram hay,halat e haiz or nifaas main jima kerna haram hay.(Re: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 448,1565, pg#476)

Id: 2271
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Haj ya Umra ko jaya ja a tu kya Rasol kay rozay per jana arkan may shamil hae.

Answer: Haji k liay mustahabb e takeedi hay k hajj se wapasi per madina e munawwara k raastay se guzray takeh hazrat e rasool azam(s.a.w.w) or hazat sidiqah e tahira(s.a) or jannatul baqi k imamo ki ziyarat se musharraf ho.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), manasik e hajj, pg#462 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2272
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: During Haj Twaaf holding your wife hand or shielding her from the rush is allowed?It does loose your concentration.

Answer: Halat e ehram main bivi ko lazzat k saath chona uthana or apnay bazo-oon main beechna jaiz nahi hay.agar kisi nay aisa kia ho tu lazim hay k 1 bakri kaffara day kha mani kharij ho ya nah ho.liakin agar aisa kerna lazzat k liay nah ho tu kaffara wajib nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Manasik e haj, Maslah#228 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!