Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 10266
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualykun.. Me ek larki se pyar karta hu but uske ghar valone larki ki shadi kahi or karva di hai jabki larki ka mann mere sath Rehne ka hai ab is halat me sariyat ke hisab se mera uske sath Baat karna ya koi or rista rakhna jaiz hai? Plz reply me

Answer: wsalam. Agar doosray shaks k saath larki ne apni riza sai nikah kia hai or apne wali yaani baap ya dada ki ijazat sai nikah kia hai tu us ka ye nikah durust hai or aap ka un sai koe taaluq rakhna jaiz nahi hoga. or agar wo nikah par raazi nahi hai tu phir ye nikah hi durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah# 2335,2341). [Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10274
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi shuda orat say taluq ka kafara ya usay kasay apnay

Answer: Shadi shuda aurat sai agar koi zina karay tou ehtiyaate e wajib ki bina par wo zaani par hamesha k liay haraam ho jaati hai. Zina aik gunah e kabeera hoy hai lehaaza lazim hai k zaani khuda sai tauba karay lekin is ka koi kaffara nahi hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#maslah#2367). [Updated on 01-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi insan 5 waqt ki Namaz or Roza karta Ho or unki Nikah nahi huwi Ho ya Nahi kiya Ho or unki Inteqaal Ho jaye to kya wo Zannat nahi ja sakta

Answer: Nikah karna mustahab hai lekin us soorat mai wajib hojaata hai jab nikah(shadi) na karne ki wajah sai wo fail e haraam mai mubtilaa ho jaey.or agar wajib ko anjaam nah dia jaaye tou us ko tark karne ka gunah milta hai lekin ye matlab nahi k wo jannat mai nahi jaey ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2407). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10280
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera naam Ayaan Khan h OR me ye janna chahta hu ki kya phone pe nikaha ho jata h

Answer: Phone par nikah ho sakta hai Q k nikah main sigah parhna zarori hai chahae phone par parhain ya saamnay parhain laikin faqat (nikah nama) likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#41, maslah# 2328-2335). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10282
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwi ki sagi bahan jis ka talakh ho chuka hai usay nikha kar sak ta hu

Answer: Aap ki biwi k hotay howey apni saali se nikah nahi kar saktay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2355). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10283
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia molvi Nikha parahye ur wahan gawah Majood na hoo. Larkin bahir walaon ko nikha par k bata diya jaye to nikha ho jaye ga???

Answer: Nikah main gawahon ki zaroorat nahi hai lehaza agar nikah ki baqi tamam sharaet mojood ho tou nikah durust hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10285
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SAGI FUPI KI LADKI KI LADKI SE NIKAH JAIZA HAI (cousin ki beti)?

Answer: Jee wo aap k liay na-mehram hay lehaza un sai nikah jaaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2349). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10295
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Men aik larki se pyar kerta hun WO bhee kerti he aur hum ne Allah ko gawah bna k shadi kerchukay hen kya ESA mumkin he aur men shadi shuda bhee hun

Answer: Agar nikah mukammal sharaet k sath kia gaya hai tu durust hoga. Jese larki ko nikah k liay apnay wali yaani baap ya dada sai ijazat leni hogi wagaira waghaira......(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341) [Updated on 07-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10298
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikha e mutta ma kissi ki ijazat lena zaroori ha kia??? Maslan kissi bare ki?

Answer: Larkay ko ijazat lene ki zaroorat nahi hai lekin Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar na ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat lay .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). [Updated on 09-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10320
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya apni teacher sy shadi jaez ha

Answer: bazaat e khud teacher sai shaadi karney mai koi harj nahi hai bus ye k wo aap ki mehram na ho,kisi or k nikah mai na ho......(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!