Question: mard ki wajah se bacha na hone ki soorat men aurat dosari shahdi ker sakti hai?
Answer: Nahi , jab tak aurat kisi ky nikah men ho ya iddat men ho to kisi or mard sy shadi krna haram hy, aghr aurat yeh janty hoey k men shadi shuda or phir bhi kisi mard say shadi kar lay to us mard pr hamesha k liay haram ho jaey gi chahy hambistri nah bhi ki ho.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #189 ). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar larki larke se bari ho to shadi ho sakti hai
Answer: Jee haan jaiz hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2335) [Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum;mera sawal hai k agar larki larke se umar me bari ho or un dono ki shadi ho to lalri ka umar me bri hony se koi nuqsan to nie hoga.
Answer: yeh shadi jaiz hy . (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2335) [Updated on 02-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya napaki k halat me nikah hosakta hae?
Answer: Jee haan ho sakta hay.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2345) [Updated on 10-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kiya shadi sa phele sex krna allow ha ya nhi
Answer: Nikah saypehly sex to door ki baad hay touch karna bhi jaiz nahi hay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2330) [Updated on 12-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AGR lrka lrki ek dusry ko qalma prh k nikaah me qabool krlen to kya hojata h? Bgair gawahu k or wali ki ijazat k..kalma prhne se kya gawahi hojati h or ap bad me ksi or se nikaah ni kr skty
Answer: Jee nahi, is tarah sai nikah durust nahi hota nikah ki sharaet main say aik hay k larki k wali yaani baap ya dada main say kisi aik ki ijazat lay or is ijazat k baghair nikah ho tu wo durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2341). [Updated on 14-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ager Sohar Apni Biwi Ko Whatsaap Pi Bat Krte Huwa Jhagrhay Mein Baton mein KahaTalaq .dhamki Deni Ki Tarha To Kya Talaq Hojati Hai ?
Answer: Jee nahi is tareeqay sai talaq durust nahi hoti q k talaq ki sharaet main hai k seeghay arbi main ada kiey jaey 2 aadil gawahon ki moujoodgi mai adaa kiye jaaye wagerah......(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2462,2472) [Updated on 12-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A/w Maulana sahab hmne ek ladki ko bepanah chahta hu Or shadi v usi se karni h par hmne nikalh se pahle humbistri kar li h! Aisi surato me hme nikah se pahle kya karna chahiye??? Plsss suggest
Answer: Ehtiyat e wajib ye hai k aap os larki ki tuba karnay say pehlay nikah nah karen lekin agar wo tuba kar lay to aap us say nikah kar sakty hen. (Ref : touzeeh ul masael masala no 2364 Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) [Updated on 24-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alikum Main UAE main rahti Hun Main apny cazin sy Nika krna chahti Hun or per Pakistan aa Ka dubra hum apni family main Nika kr skty hai ya ni plz bata dyn
Answer: Was Salam. Nikah kahin bhi karay lekin agar larki kunwari laikin ghair mukhtaar ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par wali yaani baap ya dada sai ijaazat lena zaroori hai. or baad main karachi main bhi doosra nikah kia jaa sakta hay. agarcheh pehla nikah sahi hone ki sorat main is ki koe ehmiyat nahi hogi (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2341) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Mery wakeel ne Iran me nikaah parha to us waqt me Pakistan me thaa or me ghusul pe thaa to Kia Mera nikaah jaiz hogaa yaa nai ???
Answer: Ji haan aap ka nikah sahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2335 ) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]