Question: Asslamualaiykum ham 5 bhai han kisi ki b shadi nhai hui ha or mujhse sexual desire control nahi hote me sabse chota hun to kya krun pls btayen preshan hun
Answer: Agar koe shakhs shadi nah karnay ki wajah say haram(kaam) men mubtala ho to us par wajib hay keh shadi karay. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # ) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal hai k biwi se 2 sal pehle talaq hone k bad ab 2 sal k nad halaala krwaya jae kisi se bacho ki khatir dubara nikka krne k liye to esi situation mai agar dubara shadi kr k humbistari na ki jae to kia nikka jaiz hai ?
Answer: Halala karnay ki zarorat us sorat men parhti hai jab teen talaqain hoi hoon lehaza aik talaq ki wajah say halala ki zrorat nahi parhati hai is liay aap baghair kisi halala k nikah kar saktay hen or agar nikah men yeh shart rakhi jaey k hambistri na ki jaey to yeh shart sahi hai or nikah bhi sahi hai or aghr biwi bad men razi hajey hambistri kay liay to fr hambistri ki ja sakti hai.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #520 ). [Updated on 06-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi chup kar nikah kare or phir tslaq bhi le le to kia jab lrkj ki dobara shadi hogi kisi dusri jgah to kia sab ko maloon ho jaega k ye talaa yafta hy yani kia kaghzi karwai jab karwai jaegi to kia wahan show hoga
Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyaar nah ho wo os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerhki ka Baap ya dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyaat ki bina par yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat ly .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341) [Updated on 16-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mutah k liay larki k khud mukhtar honay se kya murad ha? agar larki job karti ho acha kamati bhi ho lekin rehti apne maa baap k sath ho to wo kya khud mukhtar kehlaye gi?
Answer: khud mukhtar honay sai muraad k larki apne faislay khud karti ho apna kharcha wagaira khud uthati ho yaane wo majboor na ho kisi lehaaz sai tou agar aisi larki bhi nikah karna chahay tu ehtiyaat e wajib ki binaa par apne baap ya dada sai ijaazat lay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2341). [Updated on 14-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Uddat k doran nikah kya jaye to kya hona chahye ?
Answer: w.salam Agar koe shakhs aik aisi aurat se nikah kare jo dosre ki iddat mein ho to agar mard aur aurat dono ya in mein se koe aik jaanta ho keh aurat ki iddat khatam nahi hue aur ye bhi jaante hoon keh iddat k dauran aurat se nikah karna haram hai to agarcheh mard ne nikaah k baad aurat se jima nah bhi kiya ho to wo aurat hamesha k liey os par haram ho jaey gi aur agar dono iddat k dauran hone ya iddat mein nikah k haram hone se bay khabar hoon to nikah batil hai agar hambistari bhi ki hay to hamesha k liey haram ho jaeengay agar hambistari nah ki ho to haram nahi hain aur iddat khatam hone k baad dobara nikah kar sakte hain. (Ref: Ayat ullah seestani d.b, tauzee hul masael edition#35,mafhoom e maslah 2365). [Updated on 12-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ahle sunat larka ahle tashi larki se nikah ker sekta hai???
Answer: Momin (12 Imami shia) mard ka naasbi aurat k alawa doosri musalman (maslan sunni) aurton se nikah kerna jaiz hay, isi terah momina (12 Imami shia) aurat ka naasbi merd k alawa dooray musalman(maslan sunni) merdo se is shart k saath nikah jaiz hay keh momin mard ya aurat ko gumrahi ka khoof nah ho.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215, Eidition 1417 hij). [Updated on 13-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr aik larka or larki akly mai aik dosray se nikkah kr lyn bghr kisi gawah k to nikkah hgya ya nahi?
Answer: was.salam Wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali baap ya dada ki ijazat zaruri hai or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali yani baap ya dada ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai (Ref: Ayat ullah seestani d b, tauzee hul masael edition 35 mafhoom e maslah 2328 2335 2 nikah main gawah ka hona zarori nahi hay (Ref: Ayat ullah seestani d b, tauzee hul masael edition#35 mafhoom e maslah 2335). [Updated on 31-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalm o allaikum me ye janna chahta hun ke kiya me apne dada ke bhai ki bety se nikah kar sakta hun ya nahi
Answer: Was Salam. Jee wo aap ki na mehram hain or un sai nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2349) [Updated on 21-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sunni larkay aur shia larki ka shaadi karna kaisa hai? Also jis larkay ka name abu bakar ho?
Answer: Shia larki nasibiyon k alawa dusre sunni firqon k larko se shadi kr sakta hai, albatta agar us shia larki ko apne deen se gumrah hone ka khoaf hoto phir ye shadi karna haram hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). [Updated on 28-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya apni mama ki sali se nikah karna jayez hai yeh nahi ? Matlab meri mami ki behen he wo aur hum dono ek dusre ko bht pasand karte .
Answer: Jee wo aap k liay na mehram hain or un sai nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 21-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]