Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 10430
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualikum me ek ladke se bhut pyr krti hu humara nikha bhi ho gaya h ladke k ghrwale mujhe nhi apna rhe h or mere ghrwale ladke ko nhi apna rhe h hr mumkin koshish kr li h ab kya kre k dono k ghrwale razi ho jaye or Hume apna le

Answer: ye nikah hi durust nahi hoga q k larki k walid ki is mai ijaazat shaamil nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khumeni maslah no 2373). [Updated on 24-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10442
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Abu k mamu ki beti se nikah jaiz hai ya nahin

Answer: Jee wo aap k liay na-mehram hai lehaaza un sai nikah kia jaa sakta hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah# 2349). [Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10449
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya zabardaasti ka nikkah jaez ha ? R nikkah ky wakt srf sign krny sy nikkah hjta lrki kabool ha na bole dil m bol de ni kabool sign krde tb ??

Answer: Jee nahi is tarah nikah durust nahi hai q k nikah ki sharaet main sai aik hai k larka or larki dono apne nikah pai raazi hoon isi tarah larki k wali (baap ya dada) sai bhi ijazat lena zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2335,2341). [Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10453
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya main apni sali se shadi kar sakta hu meri bv zinda hai

Answer: Jee nahi jab tak aap ki biwi aap k nikah main hain aap apni saali sai nikah nahi kar saktay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2355). [Updated on 04-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10479
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main ek Shia larka hun ,, mene bachpan main apni waalida ki khaala ka ek bar doodh piya tha (feed) tu kiya ab main uski beti say shaadi kar sakta hun ?

Answer: Jee kar sakte hai wo ap ki namehram hai aik dafa doodh peene sai na mehram nahi hotay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2428) [Updated on 18-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10505
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya Mai 1 baar nikah kr k ussi s dubara nikah kr skti hu

Answer: Agar larki kunwari laikin ghair mukhtaar ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par wali yaani baap ya dada sai ijaazat lena zaroori hai or baad main bhi doosra nikah kia jaa sakta hay agarcheh pehla nikah sahi hone ki sorat main doosra nikah kia ja sakta hay liakin is ki koe ehmiyat nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani, edition#41 maslah#2341) [Updated on 28-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10518
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kisi larki ki agar talaq hu chuki hai or wo kisi se mutah krna chati hai tou kia zarori hai kay larki mutah kay liye ijazat le baap ya dada se

Answer: Agar larki kawari nah ho to us k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hai kanwari nah hone ka matlb ye hai k aisi larki jo talaaq yafta ho ya bewah ho or us ke shohar ne os kay sath hambistari (intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho agar zinaa ya aisay hi kisi kaam se oska kawaraypan khatam hua ho tu ye kawari hi kehlaay gi. (Ref ayat ullah seestani d b tauzeeh ul masail edition#41th, masla#2341, 2342). [Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10540
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia sirf rab k any nikkah ka iqrar krny sy nikkah hojata hai aur phir milna jaiz hai?

Answer: Nikah mai larki or larkay ki rizaa zaroori hai is k ilawa larki k wali yaane baap ya dada ki ijaazat zaroori hai or nikah k seeghay sahi arbi mai parhay jaaye wagaira....(Ref:Tauzeeh ul masail aytaullah seestani edition 41 maslah no 2341,2335) [Updated on 10-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10544
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya sunni lrka or shia lrki k nikah main lrki ka sunni hona jaiz hai ya lrky ko shia hona pryga

Answer: Shia larki ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na or nah hi apny wazaif k anjam deny men rukawat banny ka khouf ho to wo sunne larky se shadi kar sakti hai lekin makrooh hay aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazify ki bina pr anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahi hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. eidition,1439 Part #3 , masla # 215). [Updated on 12-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10546
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jis larki se shadi lagi ho kiya haramkari se bachne ke leye nikahe mutah padh sakte hai

Answer: Kunwari virgin lerki jo khud mukhtiyar na ho wo os waqt tak nikah daimi mutah nahi ker sakti jab tak lerki ka baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat lay (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masail maslah#2341). [Updated on 11-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!