Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 5194
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam alaikum.. mujay ya malum karna tha ke. talaq shuda aurat say nikha. karna sunath hai ya nhai

Answer: Wssalam o alykum,G han riwayat ki roshni main mustahab hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 105 , pg # 53 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7256
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar maa nay dosare shadi kar le hay or us shohar say bata hota hay to us say phaly shohar ki bati ki bati say shadi ho saqti hay yani kya mamo say shadi ho sakti hay agar nani k dosary shohar ka bata hay plz ansar me

Answer: Agar koe larka aur larki na apne mah ki taraf se haqiqi behan bhai ho aur na apne baap ki taraf se haqiqi behan bhai ho aur ye dono kise bhi tara se aapas me nahmahram ho to in ki aapas me shadi ho sakte hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2349, before masla 2328 ) On aurtoon k saath jo insan ki mehram hoon nikah haram hay. maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji, naani , daadi , saas. etc (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7938
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mujy shadi sy dar lgta ha.ma shadi nhi kerna chahti but mry parents mri shadi ker rhy hain.mujy shadi sy khoof ata ha.ma kia kru?

Answer: Shadi karna taaqeed k saath mustahab hai. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 385 , pg # 231, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8280
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Nikah k Seeghy or mutta ik hi hai???

Answer: Mutta bhi nikah hi hai albatta is k seghe or muddat men faraq hota, Aam tor per jo nikah hota hai us men koi muddat moyin nahi ki jati isko daami nikah kehte hen, or jab kuch muddat moyin k liye nikah kiya jaye to is ko Gher-Daaimi nikah ya phir muttah kaha jata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2333,2334 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8442
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri koi real sister ni haha. . Or men ne dil o jaan say aik larki ko apni behn bnaya ha. . Men usy sagi behnu ki trah treat krta hon. . Men jan'na chahta hon k Islam is bary main kia kehta ha.? Kia mera ye kaam theak ha?

Answer: jo aurat insaan ki sagi behan na ho srif mou boli behen ho wo aurat insaan ki namehram hai aur mard Aik (namehram) khatoon se aise batain kar sakte hai jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi nah ki jarahi ho jis ka kise ajnabi khatoon k saath kiya jana munasib nahi hota . Isi tarah beghair lazzat k irade k is ki batain bhi soni jasakti hain jab k haram me bhi na perhne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedari bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2349 ) (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) Na mehram aurat ka jism dekhna aur isi terah in k baloo ko dekhna chahae lazzat k iraday sai ho ya is k baghair, haram mai mubtila honay ka khof ho ya na ho, haram hai.in k chere per nigah daalna aur hatho ko kalayo tak dekhena agar laszat k irade se ho ya haram me mubtela hone ka khof ho to haram hai balke ehteyaate mustahab(is ehteyaat per amal karna wajib nahe hai) ye hai k lazzat k irade k beghair aur haram me mubtila hone ka khof nah ho tab bhi na dekhe aurat k liay namehram mard k jism per nazar daalna lazzat k irade se aur haram me mubtila hone k sath haram hai balke ehtiyaat e wajib ki bina per lazzat ka irada aur haram me mubtila hone ka khof nah bhi ho tab bhi mard k badan per nigah nahi daalne chahiay laikin agar aurat mard k jisam k in hisso maslan sar, dono hath aur dono pindliyo per jinhe umoman mard nahi chupate ,lazzat k irade k beghair nazar daale aur haram me mubtila hone ka khof na ho to koe haraj nahi hay.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2397). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 9034
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir hum 2 9 ek dusre se pyar karte hyn me or rafay lekin beech me ek or banda agaya hai bohat chhata hai uska naam zohaib hai or wo kehta tumse shadii na huwe maar jaoonga jabke me ussy like nai karte ap batein iska haal plzzzzzzzzzzz

Answer: Answer: Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahi hay. Haan aap faqat os k ghar nikah ka paighaam behjh sakte hain or dua ker sakte hain. (Ref : Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). [Updated on 19-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 9078
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere papa ke bde bhai ke ladke ki ladki se nikha ho skta hai kya

Answer: jaiz hay (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #90 , Eidition 1427 hij). Update on dated 17-05-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10007
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA agar meri maan ki suteli behn hai jo k umer m mery sth ki hain us say nikah jaiz hai or unka koi gar chlane wala nhn hai es sourt mein kia hukam hai

Answer: Agar on dono behno ki maan aik hay ya un dono ka baap aik hay to ap os say shadi nahi kar saktay hen. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Minhajus Saliheen, Edition# 1439, part#03,Mafhoom e Maslah #90/91 ). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10008
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ladki kisi or se mohabbat karti ho or vo ladki maa baap ke kehne par ijjat ke liye kisi or se majboori me nikah kare par vo dil se nikah na karna chahti ho or uske husbad se humbistsri bhi na karna chahti ho to kya vo nikah vajib he?

Answer: agar larkay or larki mai sai koi aik raazi na ho tou nikah sahi nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2335 point 5).khuda aap ko uloom e aale muhamad s.a.w.w seekhne ka ajar ata farmaaye. [Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10013
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya me shia larki se shia ka nikah kr sakta hu me khud suni hu????

Answer: Shia larki ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na or nah hi apny wazaif ky anjam deny men rukawat banny ka khouf ho to wo sunne larky se shadi kar sakti hai lekin makrooh hay aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazify ki bina pr anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahi hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. eidition,1439 Part #3 , masla # 215). or Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar na ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat ly .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 27-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!