Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 10321
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam u alikum mera sawal ha k kya ustad teacher sy shadi jaez ha ?

Answer: wsalam.agar wo na mehram hai or deegar tamaam sharai moujood hai tou nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10323
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam , Hazrat main ek Hindu ladki se muttah karna chahata Hu kya Yeh jayaz hai.but o ladki kuwari hai.o apne walid se puch bhi nahi sakhti to kya walid ko puche bagair jayaz honga ya nahi.ladki ki age 18 saal hai.

Answer: Wsalam.Hindu aurat sai nikah e daimi ya nikah e ghair daimi (mutaa) nahi kia jaa sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani editon#41 maslah#2362). [Updated on 19-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10332
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun allaikum Kia dusri shadi k liye pehli biwi se shadi ki ijazat lena zarori hai ?

Answer: Musalmaan ek wqt men 4 muslim ortoon se shadi kar sakta hai, aur in main se kisi se shadi karne ke liye biwi se ijaazat lene ki zaroorat nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 200). [Updated on 25-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10351
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 27 ramazan ko agar nikkah ho jy to 2 sal rukhsati na ho is surat me koi gunah to ni hai 2 sal ka wakfa jaiz hy rukhsati ka nikkah k bad

Answer: Jee koi maslah nahi aap dono nikah mai hi rahay gay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10358
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye ha k kya message pyy nikah k bol bolny sy waqaii nikah hojata ha??plzzz jldii btaen

Answer: nikah ka sigah (bol) perhna zarori hay is tarah mard our orat ka mahaz razamand hona our ishe tarha nikha nama likhan hatiyat e wajib ki bina per kafi nahi hay. (ref tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 2019 maslah no 2328) [Updated on 01-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10363
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya mamu ki bv sy shadi krna jaiz ha agr mamu ka intakal ho gya ho

Answer: Mumani ki iddat mukammal hone k baad un sai nikah kia jaasakta hai q k wo na-mehram hay.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41, maslah#2481,2349). [Updated on 08-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10365
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia aik Suni larka shia larki sa Shaadi Krskta ha?

Answer: Agar shia aurat ko apne shia mazhab k tabdeel hone ka khouf na ho to sunni mard se shadi kar sakti hay. Laikin phir bhi aurat k liay is mard se shadi karna makrooh hay. Aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho to shia larki k liye is mard se shadi jaiz nahi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 215,eidition4th). [Updated on 08-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10366
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi ladki ke saath zinnah ho jaye toa ky baad mai uss ke saath mera nikah hosakta hai

Answer: Agar wo ladki pehle hi shaadi shuda thi tu ehtiyat e wajib ki bina par wo aap k liye haraam ho gayi hai us sai nikah nahi hosakta lekin agar kunwari thi tu ehtiyaat e wajib ki bina par us k tauba karnay sai pehle aap nikah nahi kar saktay.(Ref: Ayatullah sistani(d.b), Tauzihul masael, maslah#2364,2367). [Updated on 08-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10371
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar larka larki just kissing and touch karte houn aur phir us larki ki shadi kisi or se ho jaye to kaya yeh shadi jaiz hai?

Answer: Shadi sai pehle jo ye kaam kiay ye haram hain or is k liay in ko chahiay k tauba karey lekin shadi agar wo kar rahi hai tu nikah mai agar mukamal sharait moujood hai tou nikah hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2335). [Updated on 06-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10373
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: مجھے وہ دلائل بتا دیجئے گا کہ کنواری لڑکی کے لیے ولی کی اجازت کفو میں نکاح کرنے کے لیے ضروری نہیں ہے

Answer: Mujtahid apney fatawaa bayaan kartay hay daleel bayaan nahi kartay or fatwaa ye hai k agar larki kunwari ho laikin baap ya dada har os shaks k sath osay shadi karne se har sorat main mana karte hoon jo sahran or urfan os k munasib ho tu is soran main on se ijazat laina zarori nahi hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani eiditon 41 maslah no 2341). [Updated on 06-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!