Question: Sir me ak larki se pyar krta hun mere maa baap bhi raazi hai or us larki ki Maa razi hai lekin meri dadi or ak chachu nai maan rahy jb larki walo ne rishty ka pocha to dadi ne 6 7 saal ka delay bol diya kuch help kry plz
Answer: Nikah ki sharaet mai sai aik hai k larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat ho or larka or larki khud apne izdiwaaj par raazi hon or kisi ki ijazat ki zaroorat nahi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani eidtion#41, maslah#2335,2341). [Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia mazaq me lrki larke ka aik dusre se qabool ha (3 martaba) bolne se nikah ho jata ha??
Answer: Jee nahi is tareeqe sai nikah nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah#2335) [Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum ..mera sawal ye hai ki kya koi ladka ladki bina kisi ke izazat ke agr message ya phone se nikah karle ek dusre ko dil se kubool kar le to kya nikah ho jata hai... please mera sawal ka jawab dijiye...
Answer: wsalam. Jee nahi is tareeqe sai msg par nikah durust nahi hai balkeh nikah ki kuch sharaet hai jese seeghe arbi mai parhay jaaye,larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat ho,wagera ........ (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341). [Updated on 13-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum.. Kia abu k chachu ki beti se nikkah jaiz ha? Or agr jaiz ha to kasy? Or agr ni jaiz to kasy? Please answer de
Answer: was Salam. Jee un sai nikah jaiz hai q k wo aap ki namehram hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2349). [Updated on 15-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ek Ahmadi/Qadiyani lrki ka Sunni lrkay se Nikkah ho skta h ? Plz plz plz answer me
Answer: website per fiqh e jafferia k mutaabiq jawabaat diay jaatey hain. Jo shaks kisi musallamaat deen ka is tarah se inkaar kare k os ka ye inkaar nabi s.a.w.w ki baaz tablighaat ki takzeeb ka sabab banay.jaisay qiyamat waghaira tu aisa shaks kafir hay. musalman aurat kafir mard se nikah nahi kar sakti. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 16-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia nikah k lie wali ki shart ka Refrence quran ya hadees sy mil skta hai?
Answer: wasaelush shia jild#14, baab: aqad e nikah or auliyaa e aqd k muta,alliq baab. main riwaat maujood hain k kanwari larki k shadi k liay wali ki ijazat zarori hay. [Updated on 19-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar gwah mukar jaye to kya nikah hoga ya nhi????? Agr maine ek.ldki ko.bola.ki main tmse nikah krta hu wo bole qubool hai aur do ldka gwah me ho jbki gwah bole.ki hm kisi ko nhi btayege to kya nikah hua ya nhi?
Answer: Nikah ki sharait mai sai hai k agar larki kunwari ho tu nikah larki k wali (Baap ya dada) ki ijaazat ho or dono larki or larka khud bhi raazi hon,nikah k seeghay arabi mai adaa kiye jaaye or nikah main gawah ki zarorat nahi hoti waghera.......(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341). [Updated on 20-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aik he larki s do nikah jaiz hai .. Phlay hum n chup kr kiya tha ab ghar walay man gaye hain aur nikah krwa rahay.. kia yeh jaiz hai nikah per nikah karna?
Answer: pehla wala nikah agar larki k wali yaane baap ya dada ki ijaazat k baghair kia tha tu wo nikah hi durust nahi hoga. or agar nikah ki mukammal sharait moujood thi tu logo ko dikhane k liye aik taqreeb ki jaa sakti hai lekin asli nikah wohi pehla wala hi kehlaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341) [Updated on 23-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nikah nama ma intercourse kuch saloo ( 5--6) tk na karna ka agreement jaiz ha
Answer: Agar mian biwi dono raazi hai tu koi haraj nahi hay. (Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah seestani, edition#1439, maslah#334) [Updated on 24-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualikum mera nikha ho gaya h ladke k ghrwale mujhe nhi apna rhe h or mere ghrwale ladke ko nhi apna rhe h har mumkin koshish kr li h ab kya kre jo dono k ghrwale razi ho jaye
Answer: wsalam.ye nikah durust nahi hai q k larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat laazmi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aytullah seestani edition 41 maslah no 2341) [Updated on 24-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]