Question: A.o.a I hope k AP theek ho gye mara AP se sawal hai k Kiya kisi ko btye bhgr shadi krna jaiz hai ? Us k koi gunnaah tou nai h ?
Answer: 1: Aurat or mard dono ka izdawaj par razi hona zaroori hai agar in mai sai kisi aik ko nikah k liye majboor kia jaye or wo baad mai bhi wo is nikah sai raazi na ho to wo nikah sahi nahi hoga. (Ref: tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 41 maslah 2339). 2: Baligh larka maan or baap ki ijazat k baghair nikah ker sakta hay (Ref: Minhaj us salaheen ayat ullah sistani d b part#3, maslah#68). 3: Wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali baap ya dada ki ijazat zaruri hai or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali baap ya dada ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masael edition 41 mafhoom e maslah 2328 2335). [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ek ladki Jo bgaair Shaadi shuda ho aur kisi ladke se mutah krna chahe to Kya usko Ghar walo se ijazat Lena zruri hai?
Answer: ijazat laina hogi q k kunwari lerki os waqt tak mutah nahi ker sakti jab tak k lerki ka baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day dain or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtaar ho or baligh bhi ho haan agar larki ka baap ya dada os mard k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hoon jo sharan islam ki nazar main or urfan mea ashay ki nazar main os k brabari equal ka ho tu ijazat ki zarorat nahi. (Ref: Ayat ullah seestani d b tauzee hul masail maslah#2341, 2342). [Updated on 24-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mai bht parashan ho mai jis ko like karta ho r wo b mjy like karte hai phr os kia abu is leya rishta nae da ra hai k humary cast different hai is ka koi hal hai ?
Answer: wsalam. Jab tak larki ka wali (baap ya dada) ijaazat nah dai nikah nahi hosakta.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition#41, maslah #2341) [Updated on 24-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sunny larkay aur shia syed larki ki shadi jaez hay
Answer: Shia larki ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na or ho nah hi apnay wazaef k anjam deny men rukawat banny ka khouf ho to wo sunni larky se shadi kar sakti hai lekin makrooh hay aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazify ki bina pr anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahi hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. eidition,1439 Part #3 , masla # 215). [Updated on 22-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai ek aurat se nikah karna chata hun. Par uske ya apne ghr walo ko bina baty...
Answer: Nikah k sharaet main sai aik ye hai k agar larki kunwari ho or mustaqil nah ho tu wali (yani baap ya dada) sai ijaazat li jaey lekin agar aap ko ye shart maloom nahi thi or nikah kar liya aur Baad mein baap ya dada nikah ki ijazat day dain tu pehle wala nikah durust ho jaey ga ref tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2341) [Updated on 28-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera ek sawal ye bhi hai.. mai aur meri gf duniya k liye nahi apne liye shadi karna chate ki baad me agar kahin aur shadi ho jay hm dono ki to bhi hm log rishte me rahen.. ti hm log chup ke nikah kar sakte. Aur us nikah me kya kya cheeze zaruri hai..
Answer: Nikah ki sharaet main se aik shart ye hai k agar larki kunwari ho or mustaqil nah ho tu nikah karney k liye larki apne wali(yani baap ya dada) sai ijazat le agar un ki ijazat k baghair nikah kia jaey tu wo nikah durust nahi hoga (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2341). [Updated on 28-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ek nikah me kya kya cheeze farz hai.. jinke bina nikah nhi ho sakta...
Answer: Nikah k sharaet main sai aik ye hai k larki k wali baap ya dada sai ijaazat li jaey lekin agar aap ko ye shart maloom nahi thi or nikah kar liya or jo bacha paida honey wala hai wo halaal zada kehlaey ga lekin agar baap ya dada nikah ki ijazat day dain tu pehle wala nikah durust ho jaey ga.(Ref tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39, maslah#2341) [Updated on 28-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar kisi ladki ne alg alg ladko ke sath zina kiya ho aur use is bare me nhi pata ki ye sab islam me shaadi se phle allow nhi h aur ab uski shaadi kisi aur se hone wali h to kya uska nikah ho payega aur use is waqt kya krna chahiye
Answer: agar wo aurat zina mai mashoor hai tou ehtiyat ki bina par us aurat k tauba karne sai pehle koi larka us sai shaadi nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#2364) [Updated on 28-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Syed larki kisi or cast main shadi kar sakti hai??
Answer: Jee syed larki gair syed sai nikah kar sakti hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1439 hijri). [Updated on 27-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ek insan se 2 baar ni kah ho sakta hai, jaise agar ek baar ek sheher mai nikah karke phir dusre sheher mai jaake dobara nikah karke bidai ho, kyunki dono pariwar ek jagah nahi jama ho paa rahe and dono jagah nikah karna padh raha hai
Answer: Nikah kahin bhi karay lekin agar larki kunwari laikin ghair mukhtaar ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par wali yaani baap ya dada sai ijaazat lena zaroori hai or baad main bhi doosra nikah kia jaa sakta hay agarcheh pehla nikah sahi hone ki sorat main is ki koe ehmiyat nahi hogi (Ref tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslahvD341) [Updated on 06-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]