Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 10588
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir main awan hazrat ali ki aulad hoon aur aik syeda ladki se shadi karna chahta hoon kya ye jaiz hoga khudara madad kar dain bta dain

Answer: Muslman muslman ka kafo barabar manind hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai isi lie syeda shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k sath jaiz hai aur isi terah gair syeda shia aurat ka nikah syed shia mard sai ho sakta hai. (Ref ayat ullah seestani d b minhaajus saliheen part#3, maslah#221). [Updated on 06-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10592
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar koi aurat or mard qasam khay Allah ko hazir maan k k unhoon ne aik doosry ko shohar biwi maan lia tau kia yh jaiz ha?/ or nikkah ho jata ha??

Answer: Nikah karne k liye kuch sharaet hai jin ka khayal rakhna zaroori hai nikah mai ye concept nahi k sub k saamne qubool kar liya to nikah hogaya balkeh nikah mai seeghe parhe jaatey hai doosri baat jo larki baligh ho kunwari hai or zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjaam na deti ho tou agar wo shadi karna chahey tou zaroori hai k wo apne baap ya daada sai ijazat le balkeh agar zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjam deti ho tab bhi ahtiyat e wajib ki bina par apne baap ya dada sai ijazat le albatta maa sai ijazat lena lazim nahi lehaza ye jo nikah kia gaya hai wo sahi nahi hai q k ye nikah apni sharait par nahi utarta. ref ayatullah sistani d b tauzeehul masail 39th edition maslah 2335 amp 2340). [Updated on 01-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10594
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi shuda Aurat ager kise se sacha pyar kry aur usky sath jinse taluk qayem kry tw nikha toot jasakta hy

Answer: Us shaadi shuda aurat ka apne shohar sai nikah nahi tootay ga lekin jis se is aurat ne jinsi talukaat qaim kiye they ab ye dono aik doosre par hamesha k liay haraam hogaey or shaadi bhi nahi kar sakti.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition#41, maslah#2367). [Updated on 02-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10597
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me ek talaq yafta larkii hu me syed shia hu or ek geir syed sunni larkay se shadi krna chahti hu ..or agr shadi nahi hui tw shak hy k gunah myn prh skti hu .. kiya mera us larkay se shadi krna yeh jaiz hy??

Answer: Shia larki ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na or nah hi apny wazaif ky anjam deny men rukawat banny ka khouf ho to wo sunne larky se shadi kar sakti hai lekin makrooh hay aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazify ki bina pr anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahi hai. (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. eidition,1439 Part #3 , masla # 215). Note: nikah shia tariqay se anjam daina zarori hay. [Updated on 04-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10608
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: M n apni mangetor jis s mri shadi hni h sex kia h lkin ab pachtava h kea is ki maffi h m n is nayyat s kia k mri is s shadi ho ga is k bry mn kch ntaen

Answer: Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) [Updated on 13-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10609
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya larki apni Marzi say Maan or baap ki Marzi k baghair Shadi ker sakti hay

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). [Updated on 13-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10610
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alaikum .. mujhe ye puchna tha k ager larki shadi ya nikkah k leye razamand na ho to kya wo nikkah ya shadi jaiz hogi ? .. ghar pe subko inkar kar dia lkn family wale pressure dal rahe jabke meri razamndi nahi to aisi shadi ho sakti hai ya nahi ?

Answer: Was Salam. Jee nahi, aisa nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2335 point 5). [Updated on 12-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10619
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaamualaikum ... Kya phone pe nikah jaiz he ..?

Answer: Was salam. Jee agar nikah ki baaqi sharaet moujood hai tu call par seeghay parhna sahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2328-2335). [Updated on 15-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10635
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nikah par nikah hone se pehla nikah tooth jaata hai???jab ky wo dusra nikah zabardasti karwaya gya ho gawahon ki mojoodgi main aur pehli shadi maa baap ki ijazat se ho.....plz bta dein

Answer: Doosra nikah durust nahi hoga q k shuhardaar aurat ka dobara nikah karna durust nahi hai chahay kisi ki ijaazat ho ya nah ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335 point 5,2341,2366). [Updated on 27-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10669
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya sunni larki ka shia larkey se nikkah jaiz hai?

Answer: Shia lerkay ka sunni lerki say or isi terah shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) [Updated on 17-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!