Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 10689
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamualiekum ji Hume ghar walo ko bina btaye nikah kiya wo b mob par hum dono to saat the but molana shab bhar the to kya hamara nikah ho gya h aur hum miya biwi hai

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). [Updated on 31-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10705
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: larki ka zabrdasti nikkah ho or wo registerd na ho or rukhsati b na hui hoo kia wo dusra nikkah kr skti ha

Answer: Nikah main larhki ka raazi hona zarori hay warna nikah dursut nahi hoga. (Ref: Minhajus saliheen, jild#3,ayatullah sistani, maslah#77). [Updated on 04-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10738
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ma pasand ki shadi krna chahti hn ..mgr mere ghr waly nai maan ray

Answer: 1) Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. Agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2828 ki heading,2341,2342) 2) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) [Updated on 18-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10748
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya wife ki sister se dosri nekah karna jaiz hai Kiya Deen is ki ijazat deta hai ?

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahae wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355) [Updated on 01-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10753
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager nikah k lyea Lerki ka baap dada zinda na ho to.. uski Ami ijazat dedy to ? Hoskta h nikah?

Answer: Agar kunwari larki ka baap or dada zinda nah ho tu phir nikah k liay kisi se ijazat lene ki zarorat nahi hay. Ammi ki ijaazat ki zaroorat nahi hai nikah hosakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aayatullah seestani edition 41 mafhoom e maslah no 2341). [Updated on 05-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10765
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A nikah was performed between adult man woman (virgin) with their own will, but father of girl was not agreed. Whether this nikah is valid in the opinion of Ayatullah Agha Behjat

Answer: Agar baap ya dada kisi mard se nikah karne per mana kar dain jab keh wo mard os larki ka kufu ho or tamaam muqaddimaat or sharaet ka hamil ho,or larki bhi shadi ki janib maael ho,or nikah bhi is ki maslihat main ho tu phir tamaam sharaet k sath wo os mard k sath nikah kar sakti hay.(Ref: ayatullah behjat ki website: http://www.aviny.com/Ahkam/ResalehBahjat/bahjat1004.aspx#link119 ) [Updated on 11-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10771
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ghair syed larki ki shadi Syed larky sy ho sakti ha

Answer: Jaiz hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1439 hijri) [Updated on 14-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10805
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya dulha nikah ke baad salam kar sakta hai

Answer: jee nikah k baad aik doosrey k liye mehram hojaate hai lehaaza mukammal tor par aik doosrey k liye halaal hojaate hai or baat cheet ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 page no 357). [Updated on 21-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10828
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri age 18 saal aur 8 month hai mai taqreeban 13 saal ki age se musht zani kar rha hu kia agr mai ye chor dun to meri shadi ho sakti ha??? Please tell me

Answer: Aap par shaadi karna wajib hai kyun k jo shaadi na karne ki wajah sai fail e haraam (istimna , zina etc) mai mubtilaa hota ho tou us par shaadi karna waajib hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2407) Homeopathic store se mektum T-10 le kar is ke under di gaae malomaat ke mutabiq istemaal karain.(Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai). [Updated on 08-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10830
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aurat ke liye kitne nikah jayez hai

Answer: jub tak aurat kisi k nikah mai ho doosra nikah nahi karsakti.(Ref:Tauzeeh ul masail aayatullah seestani edition 41 maslah no 2366). [Updated on 08-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!