Question: Shadi agar na krein to kya ye gunaah hy?
Answer: Agar shaadi na karne ki wajah sai koi fail e haraam mai mubtilaa hota hai tou us k liye shaadi karna wajib hai or is soorat mai agar shadi nahi karna tou gunah hoga or agar kisi haram fail ka irtikaab nahi karta tou phir shadi karna mustahab hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2407). [Updated on 08-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Me pochna chahti hn k ghr walon k pressurise krny c jou nikkah hwta ha vo jaiz hwta ha jab k larka Kici or ko pasand krta o?
Answer: wsalam.dono mai sai agar kisi aik ki bhi razamandi nahi tou nikah sahi nahi hofa.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2335) [Updated on 09-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar larki pehle zina kar chuki ha or toba kar chuki ha to ab ussy nikah karna kesa ho ga.
Answer: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is(aurat) k tauba karne se pehle is se shadi nahi kar sakta. Laikin zaani k alawa koe doosra shaks(is aurat k) tauba karne se pehle os k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364). [Updated on 13-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: haiz mai nikah jaiz hai
Answer: Haiz ki halat may nikha sahi hay q k nikha may haiz ki hanat say pak honay ki koi shart nahi hay...(Ref: tozi ul masahil Aga Sistani edi # 2019 masla # 2335) [Updated on 09-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: haiz mai nikah jaiz hai
Answer: Haiz ki halat may nikha sahi hay q k nikha may haiz ki hanat say pak honay ki koi shart nahi hay...(Ref: tozi ul masahil Aga Sistani edi # 2019 masla # 2335) [Updated on 09-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: haiz period mai nikah jaiz h
Answer: Nikah jaiz hay q k sharahit e nikha may say haiz say pak honay ki koi shart nahi hay...(Ref: tuzi ul masahil Aga Sistani eid#2019 maslan#2335) [Updated on 09-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere shohar ne mujhe Ek talaq di uske bad ghar se nikal diya maine iddat bhi puri kr li hai kya dubara usi admi se nikah k lye mujhe halala krna hoga?
Answer: Baghair halalay k nikah Jaiz hay. halale ki koi sarorat nahi.(tozi ul mashil Aga sistani edi #2019 masla # 2486) [Updated on 14-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam, haiz ki halat mai nikkah jaiz hai? or kya nikkah k wqt mard ya aurat ka wazu hona wajib hai?
Answer: Haiz ki halat may & bagair wazu kay nikha jaiz hay...(Ref: Tozi ul masahil Aga Sistani edition # 2019 masla # 2335) [Updated on 10-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sharam gah mn ungli dalnay sy virginity khatam hojati h kya ? Sir plz ans me
Answer: jee, ho sakti hay. [Updated on 11-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sir ma apnay bhabhi bhai kay sex krnay sa jelous hota hu wo fajar kay baad sex krtay ha aur un ke awazain b aati ha aur phr ma b jaag jaata hu aur phr mara dil b krta ha kay ma b aisa kru to kya mara aisa mehsoos krna gunnah ha
Answer: jo shaks shaadi na karne ki wajah sai fail e haraam mai mubtilaa hota ho lehaaza us k liye wajib hai k wo shaadi karey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2407). [Updated on 12-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]