Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 11009
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar baap faraq hoon aur maa aik ho tau kia larka aur larki shadi kar saktay hain ??? jabkay wo sotailay behan bhai bhi hain

Answer: mehram aurat se nikah haram hai , aur woh apki behen hai is liay apka nikah usse nahi ho sakta. (Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie ,Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2393 ). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11040
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam Walaekum sir kiya biwi ke wafat ke baad biwi ki bhanji se nikkah jaiz hota ha ...

Answer: jee han, Jaiz hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla # 2357). [Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11043
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalm alkum, Agha jab kisi lardki ki dada aur walid dono zindah nhi ha to kiya krna chaye? Aur lardki khud kamati ha but Bhai abi hayat ha

Answer: Ijazat sirf ya to larki ki walid se ya dada se lena zaroori hai aur agar donon zinda na hon to apni marzi se shadi kar sakti hai. Maa aur Bhai se ijazat lene ki lazim nahi hai. (Mafhoom e masla) (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 2341). [Updated on 29-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11071
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia larka aor larki nikah e muta k seghay akelay mai parh sakty hain, yani kisi waqeel aor gawah wagera k bagair? Larki kay walid aor dada wafat pa chukay hain aor wo 40 saal kee umar mai apni walida aor behen k sath rehti hy aor kanwari bhe hy.

Answer: jee agar baaqi tamaam sharaet moujood hai or wali (baap ya dada) bhi moujood nahi hain tou phir wo apni marzi sai mutah kar sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341) [Updated on 24-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11072
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mara sawal y hai k Mai me Cort marage ki hai Ghar walo s chup kr magar ap mra Ghar wale razi hai us larki s nikha k Lia to agar Mai bagar batay dobara us he larki s nikha KR sakta ho y nhi plezzz mri madat kra Mai bohat parashan ho

Answer: Court marriage kafi nahi hay ehtiyaat e lazim ki bina par balkeh nikah k alfaz zuban say ada karna zarori hen lekin kunwari virgin lerki jo khud mukhtaar nah ho wo os waqt tak nikah daimi mutah nahi ker sakti jab tak lerki ka baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtaar ho wo ehtiyaat ki bina par yehi hukum hay k apnay walid ya dada say ijazat lay (ref ayat ullah seestani d b tauzee hul masail maslah 2328 2341). doosra nikah kia jaa sakta hay agarcheh pehla nikah sahi hone ki sorat main is ki koe ehmiyat nahi hogi (Ref : tauzeeh ul masail, ayatullah seestani ,edition#41 maslah no 41). [Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11078
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr lrka lrki ka nikah kr dyty hhr waly.. Lekn ruksati ni hoti.. Kya wo humbistri kr skty hain ya phr ruksati k bd jaiz hoga

Answer: Nikah karne ke baad miyan biwi ek dosre ke liay pori tarah mehram hain , aur woh nikah ke baad sexual intercourse (humbistri) kar sakte hain.(Mafhoom e Masla) (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2376). [Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11103
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ladhka ladhki ne zina kara aur phir unka nikah ho gya to kya vo nikah k baad tauba kark apna nikah continue rakh sakte h?

Answer: Jis shakhs nay kisi bay shohar aurat sai zina kia ho aur os say shadi karna chahae to is k liay ehtiyaat e wajib ye hay k wo os aurat k toba karnay say pehlay nikah nah karay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 403 pg # 235) [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11122
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jesa k ap ny btaya k bap dada ki ijazat k bgair shadi nhi kar sakti aik aurat .. Matlab is lihaz sy kia aik larki jo khud cort marriage kr ly wo haram ha .? Bhut si girls jab ghr waly nhi manty to khud court marriage kr leteen.. Kia ye trika haraam ha ?

Answer: Jee nahi is tareekay ka nikah durust nahi hai kyun k nikah ki sharait mai sai hai k nikah k seeghay sahi arbi mai parhay jaayen or doosri shart ye k ghair mukhtar kunwari larki k liye zarrori hai k wo apne wali (baap ya dada) sai ijaazat le un ki ijaazat k binaa nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341) [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11140
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamaualikum, kya biwi apne shohar se bina talak k dobara nikah kr skti h ya aurat apne shohar se kitni br nikah kr skti h.. Plzz reply as soon as possible

Answer: Agar darmiyaan me talaq bahe hoe hay tu doosra nikah kia jaa sakta hay agarcheh pehla nikah sahi hone ki sorat main is ki koe ehmiyat nahi hogi (Ref : tauzeeh ul masail, ayatullah seestani ,edition#41 maslah no 41). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11146
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr apny kisi larkii s nikaah s pehly humbistri kee ho tou kia usi larki s nikaah kiya ja skta h?

Answer: 1)agar koi shaks aisi be shohar(jis ka shohar na ho) aurat k saath zinaa karey jo iddat main nah ho to ahtiyaat e wajib ki bina par wo shaks us aurat k tauba karney sai pehley us sai shaadi nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2363) [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!