Question: Larka aur larki serf dil se ik dusri ko bhen bhai bolte hou kiya wo dono nahka kre skte hain
Answer: Dil say yah moon say aik dosray ko bhen bhai bol danay say aik dusray k mehram nahi bantay lihaza in say nikha karna jahiz hay..(Ref: Tuzi ul masahil aga sistani masla # 2349 edition 2019) [Updated on 31-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jis larkay se banda khud zana kare uss ke sath apni sister ka rista karna jaiz hai
Answer: Jee kar sakta hai kyun keh ,ighlam karne wale ki maa, behen aur beti ighlam karwane wale par haram nahi hain. ( Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzih ul masail 42 edition, Maslah # 2369). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya khala ki bati sy nikah jaiz haa
Answer: Jee wo aapki na mehram hai lehaaza un sai nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 mafhoof e maslah no 2349). [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aik zani mard toba kr ly tu kya us sy nikah jaiz hai?
Answer: Munasib hay keh zani mard se nikah nah kia jaey.(Ref:Minhajus saliheen, part#3, maslah#2). [Updated on 02-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya walda ki cousin se nikah ho skta h??
Answer: Waalda ki cousin se nikah jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #90 , Eidition 1427 hij). [Updated on 04-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mene ek larky (boy) ke. Sath sex kia tha ab us larky ka nikah meri sister se he kiya ye nikkah hoga.
Answer: jee jaiz hai,(laikin ye kaam haram hay,gunaekabera hay ) (Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2398,2399). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alekum budh (wednesday) ke din nikah ho sakta hai? Budh (wednesday) ke din nikah karne se life me Koi problem to nhi hogi??
Answer: Chaand ki akhri tareekhen jin me chaand chup jata hai aur qamar dar aqrab me bhi nikah karna makrooh hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Minhaj us Saliheen Part 3, Masla no 3). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya ammi ki chacheri bahan se nikah jaiz hai
Answer: Jee ap apni ami ki chacheri behen se nikah kar sakte hain. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Minhaj Us Saliheen # 3 ,Masla No # 90) [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar kisi larki ka imam zamin ki date fix hogayi ho lekin wo na paak hojaye. Toh kya imam zamin ki rasam jaiz hogi?
Answer: Jee han jaiz hai, (Ref :Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail , Masla no 2335). [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Can a non syed marry a syeda ?
Answer: jee, ghair syed ki shadi syeda se ho sakti hai. (ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/12483/ ) [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]