Question: jism na pak ho to nakkah ho jata ha
Answer: Jee han jisam ka paak hona ya na hona nikkah ke sharait me se nahi hai. (Aayat ul Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul masail, edition 41st , masla no #2335 ). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Kia doosri shaadi kernay k lye apni Bv or maa baap ki ejaazath zaroori hai?
Answer: Baligh mard ko nikah k liay ijazat lene ki zaroorat nahi hoti na baap ki aur nah hi dada. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Minhaj us Saliheen part3, masla no 67). [Updated on 09-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam...mera sawal yeh hai ke koi shakhs apni biwi ki bhanji se nikah kar skta hai...plz mujhe mujtahid fatwa ke sath sath qurrani ayat aur hadith say bhi agah kijia..fee Aman-e-ALLAH..
Answer: isnan apni biwi ki ijazat ke beghair is ki bhanji ya bhateji se azdawaj nahi kar sakta lekin agar woh biwi ki ijazat ke beghair un se aqd kar le aur baad mein biwi ijazat de de to phir koi harj nahi.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie, Tauzeeh ul masail, Masla no 2401). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Nikah se pehle hi agar larki 5 months ki pregnant ho Jaye air phir agar wihi larka us se nikah karna chahey to kar sakta he ya nahi (pregnancy ki halat me)
Answer: Agar koi shaks kisi aise aurat se zina kare jo be shohar ho magar iddat me na ho to ahtiyat e wajib ki bina par toba karne se pehle usse shadi nahi kar sakta. lekin agar zani ke ilawa koi dosra shaks us aurat ke toba karne se pehle us ke sath shadi karna chahe to koi ishkal nahi hai, magar us surat me keh woh aurat zinakar mashoor ho to ahtiyat e wajib ki bina par us aurat ke toba karne se pehle us ke sath shadi karna jaiz nahi hai. isi tarah koi mard zina kar mashoor ho to toba karne se pehle us ke sath shadi karna jaiz nahi hai aur ahtiyat e mustahab yeh hai keh agar koi shaks zina kar aurat se jis se khud us ne ya kisi doosre ne zina kiya ho shadi karna chahe to haiz ane tk intizar kare aur haiz ane ke baad us ke sath shaadi kar le. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 2418). [Updated on 14-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: slam sir swal yeh ha k agar kisi larke ne kisi dusre larke se fail e haraam kia hu lekin yeh yaad na hu balke shak hu k dakhool hua ya nai tu kia iss surat mein b dusre larkay ki behan pehle pr hraam hogi ya nai?
Answer: shak ki sorat main maf,ool ki behen lawaat karne wale per haram nahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2369). [Updated on 13-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya dada ke bhai ki beti se nikal kar sakte hai?
Answer: Jaiz hay.((Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#90,eidition 1439 ). [Updated on 13-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri khala ny meri bri bhn ko feed kya (dhoodh) pilaya ho jo wafat pa gai hn.. to kya ma apni khala ki beti sy nikah kr skta ho?
Answer: Agar koi aurat aik bachay ko doodh pilaye to woh us ke bhaiyon k liay mehram nahi ban jati aur us aurat k rishtedar bhi us bache ke bhai behnon ke mehram nahi ban jate, lihaza ap apni khala ki beti se nikah kar sakten hai.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 2431).(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Mafhoom e masla#2431). [Updated on 13-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr larki sy nikkah k waqt zuban sy na poocha jar or sirf signatures krwae jaen to kia nikah ho jata ha?
Answer: Nikah ki sharait me se aik shart hai keh, Aurat aur mard azdawaj (nikah) par razi hon, han agar bazahir na pasandidgi ka izhaar na karen aur maloom ho keh dil se razi hain to nikah sahih hai. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslah No # 2335). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walekum mere ghar wale meri pasand ki Shadi ke liye razi nahi ho rahe
Answer: Shadi k liye larkay ko apne ghar walo sai ijazat lene ki zarorat nahi hai. ( Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 2341). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Mai kisi larki se mutah krna chao jis K father aur dada zinda na ho to kya sirf uski ijazat kafi hy mutah K liye. Kindly ayatollah sistani aur ayatollah khamenei dono Ka fatwa bataye ga
Answer: jis larki ke baap ya dada zinda na ho to usko kisi ki bhi ijazat ki zaroorat nahi hai, sirf larki ki ijazat kafi hai. (mafhoom e masla) ( Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]