Question: Ma khandan ma shadi k lia raazi nhi ho pa rhi or mary ghar waly is bt ko jan k bhi zabrdasti kar rhy hain mjhy kia karna chiye?
Answer: nikah ki sharait me se aik shart yeh bhi hai keh aurat aur mard azdawaj (nikah) par razi ho. ( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2335 ). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Do sagy bhai hon bara bhai apni bevi ko talaq dy de to chota bhai us hi aurat sy nikah kr sakta hy ya nhi
Answer: Sahe Talat hojane ke baad or aurat ke iddat guzaarne ke baad , chota bhai apni bhabhi se nikah kar sakta hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 2349). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kisi orat k shohar ka inteqaal hojaye magar wo iddat e wafat na kare tou iske liye kiya hukum hy??
Answer: agar koi aurat se nikah kare jo dosre ki iddat mein ho to agar mard aur aurat dono ya un me se koi aik janta ho keh aurat ki iddat khatam nahi hui aur yeh bhi jante ho keh iddat ke doran nikah karna haram hai to agar cheh mard ne nikah ke baad aurat se jima na bhi kia ho to woh aurat hamesha ke liay us par haram ho jayegi aur agar donon iddat ke doran hone ya iddat mein nikah ke haram hone se bekhabar ho to nikah batil hai, agar humbistri bhi ki hai to hamesha ke liay haram ho jayenge, agar humbistri na ki ho to haram nahi hain aur iddat ke khatam hone ke baad dobara nikah kar sakte hain. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masala # 2365). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum mera sawal ha mein pakistan se ho or mera cuisin bangladesh se hum 2no umrah krne jarahy ha mera sawal ha kia hum waha ja kr nikah kr saktay ha ya nai?
Answer: wsalam.haalat e ehraam mai nikah karna or parhna haraam or baatil hai.han ehraam ki haalat mai na ho or nikah ki deegar sharait moujood hoon tou nikah durust hoga.(Ref:"Al-Hajj"of ayatullah khoie and ayatullah seestani moallim syed ahmed ali abidi page no 67). [Updated on 13-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia bahan ki beti se nikhan ho sakta hai jaiz hai k nahi
Answer: Jee nahi, Jaiz nahi hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani (D.B), Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2349). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum Mara quest ya hai ka kia ma dubara shadi kar sakta ho jis ko mana divorce de ho phle us he sa dubara or kya hallal ka bagar koi or rasta nai hai kya plzz help kara mari
Answer: Fiqhe jaferia ke mutabiq ap dobara nikah kar sakte hain, aur halala karne ki zaroorat nahi hai. ( Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 2486 ). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salaam. Meri shadi ko abhi 3 mahine hue hai. After marriage mujhe pata chala ki meri wife died apne papa ki marzi ke liye nikah ke liye bismillah Kiya. Lekin Uske bismillah me uski marzi Dil se Nahi thi. Kya ye nikah durust hai. Plz guide kare
Answer: agar larki dil se razi thi agarcheh zaban se na ho to nikah sahi hai, warna nikah sahi nahi hai, kyunkeh nikah ki sharait me se aik shart hai, kyun ke nikah ki sharait me se shart hai keh aurat aur mard azdawaj par razi hon, agar bazahir na pasadidgi ka izhar karen aur maloom ho keh dil se razi hain to nikah sahih hai. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani,Tauzeeh ul masail, Masla No # 2335). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar ek momin ladki kafir me saath Zina kare aur fir woh shaadi karna chahe toh kya yeh jaiz hai?
Answer: musalman aurat kafir mard se nikah nahin kar sakti khuwah daimi ho ya muwaqqat, kafir ahl e kitab ho ya na ho. ( Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, tauzeeh ul masail, masala no# 2362 ). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: main ek shadi shuda aurat se pyar krta hu or meri age 21 hain or wo b mojsy bohut mohubat krti hain or us.k 4 bachay hain kya main shadi kr sakta hu us say
Answer: Agar ab bhi wo kisi k nikah mai hai yaanay kisi ki biw hai tou us sai nikah karna haraam hai lekin agar us ka shohar agar mar chuka hai ya talaq de chuka hai or iddat khatam ho chuki ho tu phir nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2366). [Updated on 20-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Us larky k sath Shaadi nae krna chahti jis k sath ghr waly Shaadi krwa rahy hai Koi wazifa Bata dy jis sy yeah Shaadi na ho.
Answer: Nikah ki chand sharaet hain jis me aik shart yeh bhi hai keh aurat aur mard azadawaj par razi hon lihaza agar aurat ya mard dono me se koi aik bhi razi nahi ho to phir nikah nahi ho sakta. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no # 2335, Shart no 5 ). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]