Question: Meri ak mahny k baad Shaadi hai or Mai us larky k sath Shaadi nae krna chahti jis k sath ghr waly Shaadi krwa rahy hai.koi ayisa haal batay k Shaadi hi na ho
Answer: Nikah ki sharaet me se aik shart hai ke aurat aur mard azdawaj (nikah) ke liay razi hon. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie, Tauzeeh ul masail, Masala No # 2379, Shart no # 5 ). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jaiz baatoun k liye sohahr ka hukum na mannay ka kya gunnah hai
Answer: Jis aurat ka daaemee nikah ho jaey os k liay haram hay keh shuhar ki ijazat ke baghair ghar se bahar nikla chahay os ka nikalna shuhar k haq k manafi nah hi ho magar yeh keh koe aham zarurat pesh aay ya ghar mein rehna os k liay nuqsaan ka bais bane ya ghar os k monahsib nah ho.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2376). [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere nana do bhai hain bade nana se meri ammi hain chote nana se meri sabse choti khala hain unse mere bade bhai ki nikah ho sakti hai kya zaiz hai bhai mere 35 ke hain khala meri 30 ki hain chacheri khala hain
Answer: Ye nikah jaiz hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#90,eidition 1439 ). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia larka larki apas main nikkah kr sakty hain mtkb k dono ka phone py rabta hai aik dusry se kia us trha nikkah krna jaiz
Answer: 1)Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). 2)Wali ki ijazat ho to phone par nikah ho sakta hai Q k nikah mai sigah parhna zarori hai chahae phone par parhain ya saamnay parhain laikin faqat (nikah nama) likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-2335). [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia larka or larki secret nikkha k bd apni family k samny dubra nikkha kr skty hain?
Answer: Kunwari (virgin) larki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak larki ka Baap ya Dada larki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr lrki ki age 18 saal se kam h toh nikah ho skta hai kya
Answer: Jee bilkul nikah kia ja sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullahseestani edition 41 maslah#2335). [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Ek ladka waled ke cha cha ke ladki se nikah kar sakta hai
Answer: Jee, nikah kia ja sakta hay... (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masail, mafhoom e maslah#2349,2360) [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: larka kis umar ma shadi kar sakta ha
Answer: shariat k ahtebaar se larka aur larki ki shadi k lie koi umar fix nahe hai lehaza chuti umer me bhi shadi ho sakte hai aur bari umer me bhi shadi ho sakte hai .aur shadi k lie behtreen umar wo hai k jis umar me zindaghi ki zimmidaria nibhasake , (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2343,2374), (ref:sistani.org, urdu, topic :shadi,que:36) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 2nd marriage conditions for men? specially if current not allowing me then what should I do?
Answer: Aik mard k liye haram hai k wo 4 sai ziada daimi nikah kare.yane 4 daimi nikah karna jaiz hai or is k liay kisi ki ijazat ki zaroorat nahi(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/19/1042/ and Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #68) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa, muge ye poochna tha k kia shadi k waqt mard aur aurat aik sath bth kr Nikkah pr skty hain?
Answer: 1 nikah main sigah nikah k bool perhna zarori hai chahay phone par ho ya samnay beth kar aurat aur mard ka faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai aqd e nikah ki kuch shrait hain jin mai sai kuch ye hain 1 ehtiyaat e wajib he nikah ka sigah sahih arabi me parha jaay or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazmi nahi hay 2 sigha parhne wala aqal mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he 3 merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha nikah ka irada rakhte hon (ref ayatullah sistani d b tauzee hul masail maslah # 2328,,2335) 2 kunwari virgin lerki os waqt tak nikah daimi ya mutah nahi ker sakti jab tak k lerki ka baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari jima intercourse kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan islam ki nazar main or urfan meaashary ki nazar main os k brabri equal ka ho tu ijazat ki zarorat nahi isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay jis jagha aurat k lie baab ya dada se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat lie beghair nikah kare to us ka nikah batil hai laikjn agar baab me ijazat de de to nikah sahe ho jaay gha (ref ayat ullah seestani d b tauzee hul masail maslah # 234,,2342 ref sistani org) [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]