Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 11634
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam alaikm (Agr bhanji ka nikah uske mamu k naam se parhaya jae to na k baap k naam se to nikah jaiz hoga ? Q k mamu b mehram hn

Answer: 1. Jee han, is tariqay se nikah sahi ho jayega. 2. Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sey ijazat ley . (ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, tauzeeh ul masail 42nd edition, masla no 2335- shart no 4,2341). [Updated on 18-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11650
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai ye pouchna chahti hun k islam mai 2 bhaiyo ki ye behan bhai ki ek sath shadi hoskti hai shadi k bad koi masla to nai hota hai logo ka khena hai k ek khush or ek na khush hojata hai shadi ki bad asa hota hai kia

Answer: Islam main do bhaio ki apas main shadi jaiz nahi hay,or isi tarah do behno ka nikah bhi haram hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2349). [Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11678
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya barelvi larke or shia larki ka nikah jaiz hai?

Answer: shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) [Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11689
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Qureshi Larki se Ummati Nikah kar sakta hai?

Answer: Jee han, jaiz hay....(ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Web Address: https://www.sistani.org/urdu/qa/search/12483/ ) [Updated on 05-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11692
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: me ne apne khalu se chup k nikkah kia 1 saal ho gia nikkah ko abi pata chalak khala aur bhanji dono 1he admi k nikkah me nai reh sakti.ab ham log kia kre

Answer: Agar kisi shaks ne pehlay nikah kisi aurat se kia ho or os k baad osi ki bhaanji se nikah os sorat main ker sakta hai jab bivi raazi ho. lekin agar bivi raazi na ho to nikah batil he, agar nikah k baad bhi ijazat day day tu bhi nikah durust hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2357,2358) [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11699
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Student k sath nikha jaiz hai

Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). [Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11709
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi lrki k peeche waaali side pe sex ho jaye aur baad me lrka lrki se nikaah krna chahe to nikah kr skta ha?

Answer: Agar koe shakhs kisi aisi aurat se zina karay jo be shohar ho aur iddat me bhi na ho to ehtiyaat e wajib ki bina per os larki se toba karnay se pehlay os se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2364) [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11711
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa kia larki r larka ghar walo ko btye bgair nikah kr skty h ya nahi dono baligh ho???

Answer: Nikah sahi nahi hoga Q ke nikah mai shart ye hai k kunwari (virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka wali (Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nahi deden. or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bin (base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar larki kunwari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay uskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kunwari hi kehlaay gi). (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11719
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamualikum mai syed ladka hon ky mai out of caste nikkha kar sakhta hon mere parents allow ni karte ha

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11722
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Cousin ki beti se nikah karna chahiye ya nahi

Answer: Jee wo aap k liay na-mehram hay lehaza un sai nikah jaaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2349). [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!