Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 11726
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Syedzadi ki gher Syed sy Shaadi ho skti h?

Answer: Shia Syed mard ka nikah gair syeda shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah gair syed shia mard k saath ho sakta hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 221, Eidition 1417 hij / Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-42). [Updated on 12-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11733
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA Sir agar kisi larki sy phone par karty huy bato bato me larka or larki aik doosry ko boly key tum mujhy qabool ho to kya unka nikah ho jata ha

Answer: Was-salam. Nikah karne k liye kuch sharaet hai jin ka khayal rakhna zaroori hai.nikah mai seeghe parhe jaatey hai,doosri baat jo larki baligh ho kunwari hai or zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjaam na deti ho tou agar wo shadi karna chahey tou zaroori hai k wo apne baap ya daada sai ijazat le balkeh agar zindagi k umoor apne ikhtiyaar sai anjam deti ho tab bhi ahtiyat e wajib ki bina par apne baap ya dada sai ijazat le albatta maa sai ijazat lena lazim nahi.lehaza ye jo nikah kia gaya hai wo sahi nahi hai q k ye nikah apni sharait par nahi utarta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2335 &2340 ). [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11761
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ar lrki k ami abu ki talakq hui ho or lrki khufia nikah krna chhati ho tb b bap s ijazt lena zrori hta?

Answer: Jee han, zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2341). [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11762
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia lrka lrki es niyt s nikah kr skty k jb tk unk ghr waly unki khn or shadi ni krty wo ye nikah continue rkhngy ta k koi gunah na kr sky jb apas m mile.or jb lrki ki khn or shadi fix ho jay or lrka divorcw dy... Kia es base py nikah kr skty lrka lrki?

Answer: 1) Jee nahin, Q ke nikah ki sharaet main se aik shart ye hai k nikah karney k liye larki apne wali yani (baap ya dada) sai ijazat le agar un ki ijazat k baghair nikah kia jaaye tu wo nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2341). 2) Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 2) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11763
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalm o alikum Mera swal he k Kya nekha mobile pa hu skta he ? Wakel ko Jana zarore he ? Mera nekha hhw he mobile k zaryi or mi apni wakel ko nahe janty voice mesg pa hejab o kabol huwa he Kya Yi nekha huw hi ? Muge detail mi btyi plz

Answer: agar nikah ke sare sharaait moujood hain tu nikah sahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #2335 ) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11764
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya honi wale biwi (cousin ) ki maa ki sarmgah ko sirf hath touch kiya ho to kya honi wali biwi haram hojati hai ya nahi????

Answer: Jee nahin wo aap k liay na-mehram hay lehaza un sai nikah jaaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2349) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11783
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Chachere bhai ke beti se nikah ho skta hai.....or jayaz hai

Answer: Chachere bhai ki beti sai nikah jaiz (sahi) hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2349) [Updated on 24-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11790
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo allaikum mera ye sawal hai ke kya chacha apni bhatiji se shadi kar sakta hai. But wo uske apni bhatiji nai hai relative hai. To kya ye halal hai?

Answer: Merd k liay apne Haqiqi bhai ya behen ki baiti (bhatiji ya bhanji) se nikah kerna haram hai Q k ye uski mehram hain Laikin chacha zaad , khala zaad or mamo zaad bhai ya behen ki baiti se nikah kerna jaiz hai our ye merd k liay na-mehram hai . (Ref:Ayat Ullah basher najafi(d.b), almustafa deenul qayyum, pg #271) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11796
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik aurat k kisi mard k sath talukat thy jsmani .or ab wo ye chor chuki hai .kia an wo apni baiti ka us mard se nikah krwa skti hai .ye nikah jaiz ho ga

Answer: Agar koe shaks apni phophi ya khala k alawa kisi or aurat se zina kare tu ehtiyaat e mustahab ye hay keh oski baiti k sath shadi nah kare, agarche shadi karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2361). [Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11805
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum, mujhse ye janna hai k agr ek ladka or ek ladki pyar krte h or un dono k ghar wale shaadi k liye raazi nhi h lekin ladka ladki apas me Allah ki gawa rakh k Nikah kar skte hai?.. plz reply me as soon as possible

Answer: 1) Nikah main sigah (nikah k bool) perhna zarori hai (chahay phone par ho ya samnay beth kar)aurat aur mard ka faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai. Aqd e nikah ki kuch shrait hain jin mai sai kuch ye hain 1). Ehtiyaat e wajib he nikah ka sigah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazmi nahi hay. 2. sigha parhne wala aqal mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada) rakhte hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328+2335) 2) Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina (base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) [Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!