Question: Kia kabool ha boley baghaar Sirf nika hamey pr sign krney sey Agr larki ney ye kia ho or larkey ney kabool ha bola ha or larki ney sirf sign kiye ho to nikkah hota ha?
Answer: 1)Nikah main sigah (nikah k bool) perhna zarori hai (chahay phone par ho ya samnay beth kar)aurat aur mard ka faqat razi hona aur isi terh nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nhi hai. Aqd e nikah ki kuch shrait hain jin mai sai kuch ye hain k:- 1). Ehtiyaat e wajib he nikah ka sigah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arbi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazmi nahi hay. 2. sigha parhne wala aqal mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari he . 3. ye k merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada) rakhte hon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2328+2335) 2)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or os kay kawaray pan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho. agar zina ya aisay hi kisi kaam say oska kawarapan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay jis jagha aurat k lie baab ya dada se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat lie beghair nikah kare to us ka nikah batil hai laikjn agar baab baad me ijazat de de to nikah sahe ho jaay gha. . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) )(ref: sistani.org,arbi, ) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alikum Mujhe yeh pochna that ke kya larka karki secret nikkah kar saktay hai and bad mai logo le samne farzi nikkah ho sakta hai ?
Answer: Was Salam. Nikah ki sharaet main se aik shart ye hai k nikah karney k liye larki apne wali (baap ya dada) sai ijazat le agar un ki ijazat k baghair nikah kia jaaye tu wo nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2341) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam u alikum! Kya bewa aurat ke pehle khawand mein se beta or unhon ne jin se nikah kiya un ki pehli zouja mein se beti ka nikah jaiz hai
Answer: Jee, jaiz hay.(Ref: (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#90-228,eidition 1439 ). [Updated on 27-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aik shakhs se 2 behnu ki shadi hoskti h..?
Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355). [Updated on 27-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya koi student kisi female teacher sy nikah krna chahy to nikah ho skta ha?
Answer: Jee wo aap k liay na-mehram hay lehaza un sai nikah jaaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2349) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Main shadi shura Hu umr 36 hai meri aur Kisi aur ek ladki se Jo k 22 saal ki baligh hai usko bhi chahata Hu aur agar wo tayar hoto shadi bhi Karna Chahta hoon, kya ye rishta jayaz hai???
Answer: Aik mard k liye haram hai k wo 4 sai ziada daimi nikah kare. yani 4 daimi nikah karna jaiz hai or is k liay kisi ki ijazat ki zaroorat nahi(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/19/1042/ and Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #68). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein shaadi nahi karna chahta Kya shaadi karna bohat zaroori hai? kya mere Maa Baap zabardasti meri shaadi karwa saktay hain?
Answer: Jo shaks shadi nah karnay ki waja say haram fail maslan zina,istimna(hand practice) waghera may mubtala hota ho us per wajib hay kay shadi karay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 2019 , maslah # 2407) [Updated on 27-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi larki nikah karna chahti ho or baligh ho lekin Baap or dada dono zinda na hon to kya nikah k liye ijazat lena zarori nhi hoga os larki ko??
Answer: Agr larki ka wali (baap ya dada) in dono men se koi bhi zinda nah ho to is surat men larki ko nikah kerne k liay kisi se bhi ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam alikum..... Mai apni marzi se nikah krna chahti hon or baligh hon mere walid or dada dono Zinda Nahi hain abh mjhe nikah k liye ijazat lene ki zarort Nahi hogi???
Answer: Agar kunwari larki ka baap or dada zinda nah ho tu phir nikah k liay kisi se ijazat lene ki zarorat nahi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail aayatullah seestani edition 41 mafhoom e maslah # 2341) [Updated on 15-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya Ek Sunni Larki Ek Shia Larky Sy Shadi Kar Sakti Hai
Answer: Shia larka nasibi (jo ahlebath se dushmani ka izhaar karte hay )k alawa dusre sunni firqe ki larki se shadi kar sakta hai, albatta agar us shia larke ko apne deen se gumrah hone ka khoaf ho to phir ye shadi karna haram hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221, Eidition 1417 hij). [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]