Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 11915
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ehram me nikah jaiz hai ki nahi

Answer: 1) Agar koi shakhs ehram ki halat shadi me kisi aurat se shadi kare to nikah batil (galat )hai agache wo aurat ehram k halat me na ho. aur agar use ilm tha ke kisi aurat se ehram ki halat nikah karna haram hai to bad me wo is aurat se kabhi bhi shadi nahin kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2371). 2) Jo aurta ehram ki halat me ho agar wo kisi mard se shadi kare to nikah batil hai agache wo mard ehram ki halat me na ho. aur agar auart ko maloom tha ke ehram ki halat me shadi karna haram hai to ehtiat e wajib ye hai ke bad me us mard se kabhi bhi shadi na kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2372). [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11922
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir... kya biwi ki khala se zina krne se nikha toot jata hai?

Answer: Jee nahin kisi aurat k saath shadi hojane k baad us ki mah (saas) khala k saath zina karne se us aurat aur mard ka nikah nahe tootta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2360 ). [Updated on 11-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11929
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum. Sir kia syedah aurat ka gher syed ky sath nikah jaiz hy ya ni to is ky baray mn koi ayat, ahadees ya kisi imam ka tarz amal tahreer farmain

Answer: Syed mard ka nikah ghair syeda aurat k saath ho sakta hay or isi tarah syedah aurat ka nikah ghair syed mard k saath ho sakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah# 221). [Updated on 02-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11936
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya zina ki hui ladki se sadi karni chahiye

Answer: Zaani k alawa koe doosra shaks os aurat se oski tauba karne se pehle os k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364). [Updated on 02-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11937
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya zina ki hui ladki se sadi karni chahiye

Answer: Zaani k alawa koe doosra shaks os aurat k sath os ki tauba karne se pehle os k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364). [Updated on 02-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11938
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere sawal yeh hai k kya hum zina sy bachne k liye nikkah kar sakty hai? Ghr walo ko bina btaye qk ghaar wale toh kehty do saal dekhengy phir shadi krengy pr hum gunnah sy bachne k liye nikkah karna chahty h answer detail me dijiyega please

Answer: 1) Jo shaks shadi nah karnay ki waja say haram fail maslan zina, istimna (hand practice) waghera may mubtala hota ho us per wajib hay kay wo shadi karay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 2019 , maslah # 2407) 2) Nikah ki sharaet main se aik shart ye hai k nikah karney k liye kunwari larki apne wali (baap ya dada) sai ijazat le agar un ki ijazat k baghair nikah kia jaaye tu wo nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2341). [Updated on 03-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11945
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya student jis ko 2 maheena parhaya ho se shadi jayez he.?

Answer: Agar aap ki wo na mehram hai tou un sai shaadi ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349) [Updated on 02-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11958
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ye puchna chahta hun ke main ek larki se pyaar krta hun par uska jo pehle boyfriend tha uske sath usne sex krliya ek bar meri life me aane se pehle to kya us se shdi krna ya pyaar krna theek rahega ya nahi aur usne tobah b krli hai Allah tala se

Answer: Gee han Aap us larki se shadi kra sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2364). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11988
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me r mera fiancy nikah k seeghe prh kr nikah kr skty hain

Answer: jee agar nikah ki sharait mukammal hai to seeghay bilkul parhay jaa saktay hai jese larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat hona laazmi hai,seeghay arbi mai parhay jaayen,dono raazi hon wagaira....(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341). [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11989
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jb maa baap ki marzi sy nikkah hota hai to kya us waqt larki k cnic card ki zarurat parti hai ya nhe plzzzzz jawab zarur dain..agr shenakhti card nhe ho to kya nikkah nhe hoga

Answer: larki k wali (Baap) ki rizamandi k saath saath larki ki rizamandi bhi zaroori hai lekin cnic ka hona shart nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341) [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!