Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 11998
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera sawal ye hai ke mera dost aik larki ko pasand karta hn, jis ke bare me mujhe ilm hai wo zina kar chuke hai, lekin baqol uske ke wo uski nadani the, kia aise larki se shadi karna jaiz hai?

Answer: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is(aurat) k tauba karne se pehle is se shadi nahi kar sakta. Laikin zaani k alawa koe doosra shaks(is aurat k) tauba karne se pehle os k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12000
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar biwi ke piche daalo to kya nikah toot jata hai ?

Answer: Anal sex biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay or is sai nikah baatil nahi hota.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12015
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam Walekum Rehmatullah Barkat Ho Hazrat I have a question. Is a husband not talking to his wife for 6 years and neither has met his divorce?

Answer: So far they are husband and wife. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , ) [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12016
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a Mjy jana hai k kia gair moajal haq mahar ka nikah nanay me likhvaya jana zarori hai?ya sirf miyan biwi k knowledge hna kafi hai? Mehrbani kr k mjy is ki tafseef btai jae.

Answer: nikah form faqat or faqat government ki formality hai is ka shariat sai koi taaluq nahi hai lehaza form par koi maloomaat dena zaroori nahi hai agar dono ki knowledge mai hai tou bhi kaafi hai.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335) [Updated on 09-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12018
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mard agr saa sy Zina kr ly to wo apni BV py dobara halal ksy ho skta hai

Answer: Jee nahin kisi aurat k saath shadi hojane k baad us ki maan (saas) khala k saath zina karne se us aurat aur mard ka nikah nahe tootta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2360 ). (Note: nikah nahin toota lihaza wo aap ke liye halal hai.) [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12025
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا سوتلئ ماں کی بہنیں سےشادی ھو سکتئ ھے

Answer: Jee han wo aap k liay na-mehram hay lehaza un sai nikah jaaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2349) [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12027
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera Nikah ho chuka hy. But abhi yk Rukhsati ni hui. Jo ky 3 months main ho jayegi. Kia main Larki sy uski Nangi Tasaveer Mang skta hun. And kia uska farz hy ky wo meri baat maan kr send kry pics.

Answer: 1) Sigha nikah k zarie mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale talukat qaim ker sakte hai) .(Aur nikah k baad rukhsati hona zarori nahi hai) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328) 2) Agar riwaj yehi ho k jab tak rukhsati nahi hoti is waqt tak larki apnay aap ko apne shohar k lie pash nahi karti is tara se k ise aik zimne sart samja jata ho to phir aurat k laye nikah k baad rukhsati se pehle aurat per apne is shohar ki is muaamle main itaat wajib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72) [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12028
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera Nikah ho chuka hy. But abhi yk Rukhsati ni hui. Jo ky 3 months main ho jayegi. Kia main Larki sy uski Nangi Tasaveer Mang skta hun. And kia uska Farz hy mjhy pics bhaijna ???

Answer: 1) Sigha nikah k zarie mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai (yani mian biwi wale talukat qaim ker sakte hai) .(Aur nikah k baad rukhsati hona zarori nahi hai) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328) 2) Agar riwaj yehi ho k jab tak rukhsati nahi hoti us waqt tak larki apnay aap ko apne shohar k lie pash nahi karti is tara se k ise aik zimne sart samja jata ho to phir aurat k laye nikah k baad rukhsati se phele aurat per apne is shohar ki is muaamle main itaat wajib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12048
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu Alaikum Qibla talaq shuda larki jo khud mukhtiar ho usko wali ki ijazat zroori hy Nikah k lye?

Answer: wsalam. wo talaq yaafta jis k sath os k shohar ne hambistari ki ho os ko nikah k liay wali ki ijaazat ki zaroorat nahi hoti.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341). [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12051
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya koi bhi possibility hai jisse Islam main Mamo bhanji ki shadi hosakti hai? Jese Sacha pyaar?

Answer: On aurtoon k sath jo insan ki mehram hain nikah kerna haram hay. Maslan maan, behen, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji, saas. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2382) (Note: aisi koi bhi possibility nahin hai jisse Mamo bhanji ki shadi ho sakti ho.) [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!