Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 12053
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa mjy aik masly ma apki rehnumai chahye? kia ahlesunnat larki or ahletashi larky ka nikkah jahiz ha? agr jahiz ha k dono hr hal ma nikkah krna chahty hon k gunnah se bach sken lykn larki k parents na manty hon k larka shia ha to kia hal ha?

Answer: Sunni ka shia se nikah jaiz hai albatta agr larki ka walid nikah se razi na ho or wo nikah ki ijazat na de to nikah sahi nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2342) (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 215-221 [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12066
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam..sir mee syed gharane ki larki hun orr ek larka hy wo khoja hy uske parents ne second year bad mere ghar ane ka bola hy but meri Ami said syed ke bagir rishta nhi krngyn so what I do know?

Answer: 1) Shia Syed merd ka nikah ghair syed shia aurat k saath ho sakta hay or isi terah syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221) 2) Balig aur bakra larki ki nikah k lie apnay wali ki ijazat zaroori hai. Aur wali sai murad baap aur dada hai. maan aur bhai nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Imam Khomeni(r.h), Tehreer ul Waseela Part # 3). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12076
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya aik lrki ko bina shadi kay bacha ho jy mean wo pregnant hai or oski kese or k sth nikkah jaiz hai ... ya agr nikkah ho gya kese or k sth to kya wo halal nikkah hai ?

Answer: Jee han, nikah jaiz hai. Zaani k alawa koe doosra shaks os aurat k sath os ki tauba karne se pehle os k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12082
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Talaq k bad shadi

Answer: Talaq ki iddat : Jis larki ki umer pura 9 sal ho chuki ho aur jo aurat yessa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo usi talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2356,2475 ) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12096
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai janna chahti hon k lrka lrki gunahon or zina se bachne k lye agr chup k nikah kr lain to nikah jaiz h? Or agr ghr waly abi shadi ka irada kch salon tk na rakhty hon

Answer: 1) Kunwari (virgin) lerki os waqt tak nikah ya mutah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day dai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #) 2) Nikah main seeghah (nikah k bool) perhna zaroori hay. aurat or merd ka faqat razi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay, or agar khud mard or aurat sigah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2341, 2328) [Updated on 28-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12122
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia dulha nay shraab pee ho us halat mai nikaah ho jay ye jaiz hai??

Answer: jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335) [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12135
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya larki 17 year main nikah kar sakti ha

Answer: 1) Jee han kar sakti hai, Q ke Larki 9 qamari (chand waly) saal poray karnay k baad baligh hoti hai aur balig hone ke bad nikah kar sakti hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail 31st Edition,Maslah #2215,2216) 2) Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar na ho wo os waqt tak nikah (daimi ya mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ihtiyat ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada sy ijazat ly .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12140
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u alaikm sawal h k mra nikha mri khala k bety se ho chuka jbke ek br bachpan m mri khla ne mje srf 2 mint k ley feed krwya tha to kia rukhsati jaiz hogi

Answer: Aik dafa doodh peeney sai mehram nahi hotay lihaza nikah aur rukhsati jaiz hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2428) [Updated on 22-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12151
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr humny private mai nikha kra ho or bd mai sb ky samng usi bandy sy dubara nikha karyn tou ye jaiz hoga?

Answer: Agar larki kunwari laikin ghair mukhtaar ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par wali yaani baap ya dada sai ijaazat lena zaroori hai or baad main bhi doosra nikah kia jaa sakta hay agarcheh pehla nikah sahi hone ki sorat main doosra nikah kia ja sakta hay liakin is ki koe ehmiyat nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani, edition#41 maslah#2341) [Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12164
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamo Alaikum Arz ye he ky Mery nana Ny 2 Shadiyan ki he Tou jo meri Ami ki soutli behan he wo mujh sy Umar me Choti he or mjhy wo Passand he kia mera Us sy nikah jaiz ??

Answer: Agar aap ki ammi ki soteli behen aap k nana se paida hoe theen tu wo aap ki khala hhain or in se nikah haram hay, lekin agar wo nana se paida nahi hoe balkeh pehle kisi shaks se nikah k natije main paida hoe theen or baad main aap k nana ne nikah kia tu wo aap k liay na-mehram hain or aap on se nikah kar sakte hain..(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#2349) [Updated on 30-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!