Question: Aslamu Alaikum, maine ek ladki ko pasand karti lekin woh kisiki nikah per hai.phir vi mera dusre nikah karne per jaiz hai ya na matlab usne kaha ki ek nikah ki upper mai dusre ladka sath nikah karne ka bat hai.yahi bat ko thora explain kijiye
Answer: Shohar daar aurat sai shaadi karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah Khoe maslah no 2411). [Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia married larka un married larki sy mutta kar sakta hy
Answer: Agar tamam sharait poori hon tou mutaa kia jaa sakta hai jese larki raazi ho,or agar larki kunwari or mustaqil ho tu os k wali (baap ya dada) ki ijaazat ho,wagairaa(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2341,2335). [Updated on 19-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia married larka un married larki sy mutta kar sakta hy. agr larki apny parents ko na btai to mutta ho sakta hy
Answer: Ghair mustaqil Kunwari Larki k wali (baap ya dada) sai ijaazat lena zaroori hai. un ki ijazat k bagair muta nahi ho sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341) [Updated on 19-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mane 10 din pahle sharab pee thy or agle 10 din bad mra nikah ha or mne toba b kr le ha to kya mera nikah jaiz ha
Answer: Nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2335) [Updated on 20-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya Baap ki 2nd cousin ( jo mari age sa 2 ,3 saal bari ha ) sa shadi jaiz hay?
Answer: Cousin ki cousin se shadi karna jazi hay. (Ref:tauzeeh ul masail aayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 20-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: meri biwi ne shadi se pehle bohut zina kia hy. me ne us se shadi kar li kia ye thek hy ya ghalat?
Answer: Gee han Aap ka us larki se shadi karna sahih hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2364). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agha mera sawal hai ky oral nikah hamarey fikah mn jaiz hai jo ky sirf larka larki khud he parh kar seeghy kar lety ?
Answer: 1) Agr nikah ki sari sharait ka lehaza kiya jaye, misal k tor per larki k wali (bap ya dada) ka nikah se razi hona e.t.c, to phir larka or larki apna nikah khud parh sakte hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2335). 2) jo larki san e bologh ko pohanch chuki ho our rashida ho agr shadi karna chaheye our kanwari ho our apni zendgi ke umoor khud mukhtari se anjam na deti ho to usy bap our dada se ejazat lena zarori hay our agr khud mukhtari se apni zendgi ke umoor anjam deti ho to ehtiat wajib ki bena par bap our dada se ejazat lena zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalaikum main ek hindu ladki jo ki musalmaan ho chuki h usse shadi krna chahta hu kya nikah ke liye ladki ke baap se ijazat lena zaruri h
Answer: W/salam. Kunwari larki jo khudmukhtar nah ho agar wo nikah karna chay tuos ka nikah k liay baap ya dada ki ijazat lena zaroori hai lekin agar os k baad or dada dono ka inteqal hogaya ho tu phir larki ko bhi kisi sai ijaazat lene ki zaroorat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#2341) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoalaikum maine ek hindu ladki jo ki qalma padh chuki thi uske baap ki ijazat ke bagair sunni tareeke se nikaah padhwaya kya wo jayez h jbki mai shia hu.plz help kre
Answer: W/salam. kunwari larki jo khudmukhtar nah ho agar wo nikah karna chay tuos ka nikah k liay baap ya dada ki ijazat lena zaroori hai lekin agar os k baad or dada dono ka inteqal hogaya ho tu phir larki ko bhi kisi sai ijaazat lene ki zaroorat nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#2341) 2) Sunni nikah krnay k baad larki halal nahi ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-44) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shaadi krny k liye sataro ka match krna Islam m jaiz hai?
Answer: Shohar or bivi k dermiyaan onki saadat ya saqawat k aytebaar se sitaroo ka koe dakhal nahi hota, nah faqat shohar or bivi k dermiyaan balkeh on k alawah doosray insano k dermiyaan bhi oska koe asar nahi hay. Ye sirif najumiyoo(astrologist) ki iftira hay or sharan ,is ki koe haqiqat nahi hay. layhaza aap k liay zarori hay k shareek e hayaat k silsilay main is baat ki justujo karain k lerka kis qadar deendaar or ba akhlaaq hay or agar mashwaray k baad bhi aap ko shak rahay tu phir Allah se talab e khair kijiay(yani istekhara kijiay) or os per tawkkul kijiay. (Ref: Deen k Ahkaam, pg#218). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]