Question: السلام و علیکم کیا صیغہ متعہ یا دائمی نکاح باکرہ لڑکی کے والد کی اجازت کے بغیر کیا جا سکتا ہے. اگر والد فوت ہو چکا ہو تو صیغہ متعہ کرنے کے بارے میں کیا حکم ہے
Answer: Larki say nikah e mutah ya nikah daimi karnay k liay us ka 18 saal hona zarori nahi hay or Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtaar nah ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak larki ka Baap ya Dada larki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtaar ho ehtiyaat ki bina par yehi hukum hay k apnay walid ya dada say ijazat lay lekin agar baap ya dada nah hoon to kisi say ijazat lena zarori nahi hy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya shadi shuda orat se dobara nikah jaiz hai? Jb k us ka 1st husband alive ho
Answer: Shadi shuda aurat se nikah karna haram hai, chahe nikah daimi ho ya mutah ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). [Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I am shia syed aur mera nikkah aik sunni larki say hwa jis mai mery maa baap shamil nahi hoo larki k maa baap shamil thy sunni tareeka say nikkah hwa tha abb shadi ko 7 mahiny hogaye hai kia mera nikkah hogya tha aur jo hamal thara hai woo jaiz hai
Answer: Jee is main koe haraj nahi hay, nikah ho sakta hai albatta lazim hay k shia wala nikah har sorat main parha jaey Q k shumaar jo hoga wo faqat shia wala nikah hi hoga. Q k sunni nikah main wo sharaet nahi hoti jo aik shia nikah k liay zaroori hain.(Ref:Tauzaaeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2335). 2) Sunni nikah karnay k baad larki halal nahin hoti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2328-44) [Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam sir mujh koi aisa wazifa bataen jissy parh kr mn us insan ko apni muhbt ka dewana banadun jissy mujh beintha muhbt hn mn chahti hun wo mujh hmesha begharz muhbt kren plz koi wazifa btadyn
Answer: 1) Surah e ahzaab surah # 33 ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) 2) Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : Jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). 3) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ) [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kisi k nikkah men hone k bad ossi insan se dubara nikkah krna jaiz he?
Answer: Agar larki kunwari laikin ghair mukhtaar ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par wali yaani baap ya dada sai ijaazat lena zaroori hai or baad main bhi doosra nikah kia jaa sakta hay agarcheh pehla nikah sahi hone ki sorat main doosra nikah kia ja sakta hay liakin is ki koe ehmiyat nahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani, edition#41 maslah#2341) [Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamualaikum ! Mera swala yh h ki kya ek ldka aur adki aaps me nikah kr skte h puri shriyt se ? Agar dono ko nikah ka tarika pta ho aur khud ka nikah krna chahte h to kya kr skte h ?
Answer: Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtaar nah ho wo os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak larki ka Baap ya Dada larki ko nikah ki ijazat nah day dain or jo larki khud mukhtaar ho ehtiyaat ki bina par yehi hukum hay k apnay walid ya dada say ijazat lay lekin agar baap ya dada nah hoon to kisi say ijazat lena zarori nahi hy. Agr larki ka walid ya dada is nikah se razi he to nikah ki dusri sharait ka khayal rakhte hue nikah sahi hoga, lekin agr larki ka walid ya dada ko is bat ka elm nahi hai to nikah jaiz nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). [Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamualaikum ! Hazrat mera swal yh h ki agar ldki ke Walid sahb ke bina nikah ho skti h ???
Answer: Kunwari (virgin) ghair mustaqil larki us waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k larki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat na den , bs jis jagha aurat k liye baab ya dada se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat liye beghair nikah karen to us ka nikah batil hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342) [Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamoaikam sir meri ek sawal hai ke ma ek larki ko passad karta hun or who be karti hai but msala ye hai molna sb ke who risti me meri mami hai or mamo osy talaq deny waly hai kya ap bta sakty hai k hum dono ka nikah jaiz hai k ni
Answer: Jee talaq k baad jab un ki iddat mukammal ho jaey tu un sai nikah kia jaa sakta hai Q k maami na mehram hai aap k liye.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا شیعہ نکاح میسج پہ ہو سکتا ؟ پراپر پروسیجر سے کیا گیا ہو۔ لیکن میسج پہ۔ دونوں بالغ ہوں اور امام زمانہ کو گواہ بنا کہ کیا گیا ہو ۔ فزیکل تعلق نہ ہو لیکن اک دوسرے کو شوہر بیوی مان کہ بات کرتے ہوں ؟
Answer: jee nahi msg par nikah nahi kia jaa sakta albatta call par nikah kia jaa sakta hai jub tama sharait poori hon jese larki agar kunwari ho or mustaqil nah ho tu baap ya dada ki ijazat ho, nikah k seeghay arabic mai parhay jaayen wagaira wagaira........(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341). [Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mangni k 4 sal baad b agar walidan shadi main susti kar rhy hu to kia walidan ki ijazat k baghair shadi kar sakty hain ? Rehnumai farma dien
Answer: Larkay ko nikah k liay kisi ki ijazat lena zaroori nahi hai. lekin larki agar Kunwari (virgin) Ghair mustaqil ho to us waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k larki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat na den , bs jis jagha aurat k liye baab ya dada se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat liye beghair nikah karen to us ka nikah batil hai. (Ref: Minhajus saliheen, part#3,ayatullah seestani edition 1439, maslah#67). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335-2341-2342) [Updated on 21-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]