Question: Agar biwi maa nhi ban skti ho to kya uski apni chhoti bahan se nikah kr skta hun. Aur kya dono ko ek sath biwi ke roop me rkh skta hun.
Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakhta (Ref: Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b masla#2355, Note: Quran main sorah nisaa ki ayat 23 main bhi is hokum ka zikr aya hay k tum per haram kia gaya hay k do behno ko nikah main jama karo. [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: shadi kis umar ma karni chaya or balig hony ka bad shadi kar sakty is bary ma koi hadees bata dy shukriya
Answer: wese tou is mai insaan ka ikhtiyaar hai k wo kub shadi karta hai lekin agar shadi na karne ki wajah sai haram fail mai mubtila hota hai tou us k liye shadi karna wajib hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2405). [Updated on 14-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia saas ki behn se nikah jaaiz he?
Answer: Jee wo aap ki Na-mehram hai or un sai nikah jaaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 12-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamualaikum, sir ek baar hmari family car se kahi ja rhi thi. Mere pass meri khala thi . Jb khala so gyi to me unke hatho ko sohbat se touch krne. Unhe kuch pta nhi chla . Kya me unki beti se nikah kr skta hu .
Answer: wsalam. lazzat k iraaday sai mehram k badan ko chooona balkeh nigah karna bhi haram hai lekin aap un ki beti sai nikah kar sakte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2401). [Updated on 13-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Baghir kaghazi karwai k nikah jaiz hai?
Answer: Nikha may faqat nikha k seegay ada karna kafi hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#2019, maslah#2335) [Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia aik larki mazoor larke se shadi se inkaar kr skri hai
Answer: Larki k paas ikhtiyaar hai agar wo raazi hogi tu hi nikah hosakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalaam u alaikum!!! mera sawal yai hy ky agr larka aur larki sanjedagi sy sirf aik doosry ko 3 baar qabool hai keh dein tou kiya nikkah ho jaye ga??? Iss baray mei kia hukam hai plzzz bateyein????
Answer: wsalam.jee nahi fiqh e jafferia mai is tareekay ka nikah durust nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoi maslah no 2377-2379). [Updated on 20-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam alaikum Mera sawal hai ap se k mai ek larky se apni marzi se nikah krna chahti hon or baligh hon mere baap dada mai se koi bhi zinda nahi hai kya mjhe kisi se ijazat lene ki zarort hogi choty bhai se ya phr kisi or ki ijazat please jawab dijiye
Answer: wsalam. Agr larki ka wali (baap ya dada) in dono men se koi bhi zinda nah ho to is surat men larki ko nikah kerne k liay kisi se bhi ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). [Updated on 20-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alaikum mera question tha agr lrka apni faimly k dbao ma shadi krta ha or apni ko khta ha br Br mene tuma dil sa qbool nhi kia tha to kia nikah jaiz ha? Or hambistry b ho jaia un ma to wo jaiz ha?
Answer: Agar larka larki mai sai koi aik bhi agar nikah k liye raazi nahi tha or nikah k baad bhi raazi nahi tha tu ye nikah hi durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335) [Updated on 23-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia shadi se 8 yan 10 saal pehly nikah kr lena jaiz ha jabke ladka aur ladki k maa baap dono raazi hon to kia nikkah ho sakta ha???nikkah k 8 se 10 saal baad ladki ki rukhsati ho jaye???
Answer: Jee aisa kia jaa sakta hai is sai nikah baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 30-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]