Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 12515
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalumualikum, kya zaani aurath toubah karne ke baad koi good muslim( jo zaani nahi hi) usse shadi kar sakthi hi plz answer me

Answer: Jee kar sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2364). [Updated on 02-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12516
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qamar dar Akhrab mein shadi karna Haram hai ya mukrooh.

Answer: Qamar dar aqrab mai nikah karna makrooh hai.(Ref: Minhajus saliheen, ayatullah syed ali hussaini sistani part#3, maslah#3). [Updated on 13-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12540
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Mera sawal ye hai ki ek gair Muslim ladka jab Islam Qubool karle to Kya musalman ladki usse nikaah kar sakti hai..Kya Islam me ye jayaz hai?

Answer: wsalam. jee Islam qobool karne k baad nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12553
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera rishta ek ladki se laga tha or mai uske ghar gaya tha lekin mai ne apne hone wali saas ko sohbat k saath chhu liya to kya mera nikah uski ladki se jaiz hai ya haram hai

Answer: Ye amal aap ka haraam or gunah kabiraa kia hai aur is ki tauba aap par laazim hai lekin aap un ki beti sai nikah kar sakte hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2361). [Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alikum jnab mujhe puchna ye tha k meri walida ka intqaal ho gya hai or mai apnay abbu ki shadi krwa raha hun khushi se apnay imaan ko samjh k to islam me is bat ki kya hasiat hai

Answer: Islam is baat ki ijaazat deta hai aap k walid nikah kar sakte hain.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/19/1042/ and Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part #3 masla #68). [Updated on 17-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12576
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya haiz ki halat me nikaah hoskta h ...? Jaiz haii

Answer: ji nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 10-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12578
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah kab kab kab kar salty hen kia 2 eidon k darmiyan shadi kar skty hen

Answer: Nikah ki agar sharait poori hain tou nikah kabhi bhi kia jaa sakta hai lekin qamar dar aqrab mai or chand ki aakhri on tareekho main nikah karna makrooh hai jab chand chup jaata hay.. (Ref : E-mail rec from sistani d.b. dated 2 - oct -2010). [Updated on 10-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12582
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya kisine shadi k phle sex Kiya ho Phir usse nikah hoskta h? jisk sath Kiya ho sex

Answer: Zina karna haram hai aur is k zariay jo aulad ho gi wo haram zada ho gi lekin us sai nikah kia jaasakta hai magar aap par tauba laazim hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30). [Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12583
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shadi k phle fiance k sath sex Kiya ho Phir usk sath nikah krskte h???

Answer: 1) Zina karna haram hai aur is k zariay jo aulad ho gi wo haram zada ho gi lekin nikah kia jaa sakta hai or is haraam kaam k lie aap par tauba laazim hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30). 2) Agar koe shaks aisi bay-shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina par wo shaks is(aurat) k taubah karne se pehle is se shadi nahi kar sakta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2364). [Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12593
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya banjh aurat sy nikah karna mana kiya gya hy

Answer: Nikah karna jaiz hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 25-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!