Question: Ek sunni ladke se bina gawha or bina wali ki ijazat k muta padha,likin anjane me nikha k sighe padh diye,to kya nikha ho gya,ab talaq lena hogi.ladki kuwari h.
Answer: ye nikah hi durust nahi hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Pls guide me kiya chand ki tareeekhun ka asr nikkah pr parta hai....agr girte hue chand ki tareekhun pr nikkah kiya jaye tu
Answer: Qamar dar aqrab or cahaand ki aakhri 3 tareehain jin main chand chup jata hay, nikah karna makrooh hai.(Ref : Minhajus saliheen, part#3, maslah#3) [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1 larka shadi shuda ho r dsri lrki ko zbrdsti dra dhamka k shadi krna chahy ..lrki raza mand na o r uski kahin r shadi na hony day
Answer: agar larki raazi nahi hai tou nikah bhi durust nahi hoga. Ref:(Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335 point 5). [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ek Larki sy Pyr krta hn wo Shadi shuda ha wo b muj Sy pyr krti oski husband sy b nai banti 2 sal ki bachi ha oski husband bhr chala gya kya ham nikha kr sakty Han?
Answer: shadi shuda orat sai nikah karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2366). [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Larki dili tor par razi nhe hy or us k walid us ke jaga py qabool hy kah dyty han to kia nikkah ho jay ga?
Answer: Jee nahi is treeqay ka nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 2379) [Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi larki rishtay ka lia razi hai or usay sirf wahe rishta qabool haii or agr walid razi na ho kisi waja say tou Kia walid ki mojudgi ma nana ya ammi ijazat da saktay haiin? Refer to Agha Sistani.
Answer: Ammi or nana ki ijazat ki zarorat nahi hai. Kunwari ghair mustaqil larki ka wali (Baap ya dada) ki ijazat k baghair nikah durust nahi hoga or isi tarah ehtiyaat e wajib ki bina per khud mukhtaar larki ka nikah bhi wali ki ijazat k baghair jjaiz nahi hay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341). [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr nikkah say phelay larki say sex kary or usay nikkah krna chahy tou touba lazim hota haii. Kindly ap touba krnay ka tareeqa bata dain?
Answer: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah tu ehtiyaat e wajib ki bina par wo shaks is aurat k tauba karne se pehle is se shadi nahi kar sakta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2364). Sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Larki baap ki ijazat k bagher shadi kin wajoohat ki bina per kar sakti hai
Answer: Agar ladki konwaari na ho ya konwaari ho laikin baap aur dada har os mard k sath ose shadi karne k liay ijazat na dete hoon jo urfan o shar’an os ka hampalla ho ya baap aur dada beti k shadi k maamle mein kisi tarah shareek hone k liay raazi nah hoon ya deewangi ya is jaisii dusri wajah se ijazat dene ki ehliyat na rakhte hoon to on tamaam suuraton mein on se ijazat lena lazim nahi hai. Isi tarah on k maujood na hone ya kisi dusri wajah se ijazat lena mumkin nah ho aur ladki ka shadi karna behad zaruri ho to baap aur dada se ijazat lena lazim nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2342). [Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya me Dadi ke bhai ki beti ke sath shadi kr sakta hun ?
Answer: Jee nikah kia jaa sakta hai Q keh wo aap ki na mehram hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 05-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikkah main mard hi gawah hoskta hai ya aurat bhi?
Answer: Fiqhe jafferia ke mutabiq Nikah main gawah ka hona zarori nahi hay chahe mard ya aurat. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2335). [Updated on 27-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]