Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 12738
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya lrka lrky ak dosry ko fone pr husband wife khe to nikah ho jata h

Answer: Jee nahin, is tarah se nikah nahin hota. 1)Nikah ki sharayit hen un me se khuch ye haain k:- 1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae. 2. ye ke mard w orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3. sigha parhne wala ehtiyaat ki bina per baligh aur aaqil ho . 4. mard aurat mu’aiyan hoon 5. mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2379) 2)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina (base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2341-42). [Updated on 18-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12741
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Lurki apni 2ri shadi wali k bina kr skti hai?

Answer: 1) jis larki ki phele sahe shadi ho or us ke shohar ne us larki se jima ho ( or sahe talaq hoe ho or iddat mukammal ki ho tu aise ) , larki apni doosri shadi apnay wali ki ijazat k baghair kar sakhti he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70,jadeed fiqhe masail,aqa sistani,masla no:398) [Updated on 18-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12754
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum Mera rishta jahan se aya he uske lia sab razi he bas taya nh maan rahe please mujhe koi Qurani ayat btaden?

Answer: Nikah me Taya ki ijazat ki zarorat nahi hoti sirf baab ya dada nikah ki ijazat dede to nikah saheeh ho jai ga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341) [Updated on 09-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12759
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum Kya shiya maslaq ki larki ko sunni maslaq main laya ja sakta hai?? Or phir us se nikah jaiz hai ya Nhi ??

Answer: Note : Is website per fiqhe jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Or fiqhe jaferia ke mutabiq Agar shia larki ko Apne shia mazhab choorne ka khouf ho tu us shia larki ke lie ghaire shia larke se shadi karna jaiz nahi hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. eidition,1439 Part #3 , masla # 215) [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12774
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rukhsati se pehlay kitna lamba nikkah rakh skte hain yani k agr hum nikkah k 5 saal bd rukhsati krain toh kia iss me koi gunnah hai k nhi?

Answer: G nahin is me koi gunah nahin, Aisa kia jaa sakta hai is sai nikah baatil bhi nahi hota. Sath me is masle ki taraf bhe tawajju ki jaae ke Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2407). [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12778
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A/s mere samne ek maslah aaya hai aur mai apse yeh sawal puchta hu Kiya ammi ki khaleri bahen se nikah jaiz hai???

Answer: Jee nikah kia jaa sakta hai Q keh wo aap ki na mehram hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 09-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12786
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera shohar or mera 8 years sa koi taluq nhi per him ek h ghar ma rhty h kia hamara nikkah qaim h

Answer: nikah baaki rahay ga, ziada muddat lataluqi karne sai talaq nahi hoti or nikah khatam nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12809
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa mai ek bangli larki se baaag kar shdii kR raha hu kya ye sai ho ga k nhi

Answer: Nikah ki chund sharait hai jese larka or larki dono raazi ho or larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat ho wagaira... agar sharait mukammal na ho tou nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341). [Updated on 11-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12840
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mard ki dusri shadi

Answer: 1) Islami lehaza se mard ko dusri shadi krne k liye pehli biwi se ijazat lena zaruri nahi hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) 2) Shohar per apni is biwi ka naan o nafaqqa wajib hay. jis ka nikah daimee hoa ho or jin baato main shohar ki itaat wajib hay in main wo iski ataat guzaar ho. is bunyaad per shohar hay keh wo bivi k liay khana, libaas, aisa makan ferhaam karay jis main zarori wasaail maujood hoon.Jis shaks ki 2 biviyaan hoon agar wo aik k paas raat guzaaray tu doosri k paas bhi raat guzarna wajib hay.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 407, minhajus saliheen, part#3, maslah#342) 3) Shohar apni jawan biwi sai 4 mahine sai ziada muddat k liye humbistri tark nahi kar sakta siwaye ye ke koi majboori ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2382) [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12841
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dusri shadi

Answer: 1) Islami lehaza se mard ko dusri shadi krne k liye pehli biwi se ijazat lena zaruri nahi hai.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) 2) Shohar per apni is biwi ka naan o nafaqqa wajib hay. jis ka nikah daimee hoa ho or jin baato main shohar ki itaat wajib hay in main wo iski ataat guzaar ho. is bunyaad per shohar hay keh wo bivi k liay khana, libaas, aisa makan ferhaam karay jis main zarori wasaail maujood hoon.Jis shaks ki 2 biviyaan hoon agar wo aik k paas raat guzaaray tu doosri k paas bhi raat guzarna wajib hay.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 407, minhajus saliheen, part#3, maslah#342) 3) Shohar apni jawan biwi sai 4 mahine sai ziada muddat k liye humbistri tark nahi kar sakta siwaye ye ke koi majboori ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#2382) [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!