Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 12853
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi ldhki ne apne fiance se shadi k phle sex kiya ho? But bccha na Aya ho .....phir usi fiance se shadi k bad JB sex hua ho to bccha ajye wo jaiz h??

Answer: 1) Nikah k baad jo aulaad hogi wo halaal zaada hogi lekin jo zina pehle kia gaya wo gunah e kabira hay or is ki tauba aap par laazim hai.. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij). 2) Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina akre jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is(aurat) k tauba karne se pehle os se shadi nahi kar sakta. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzihul masael, Mafhoom e Maslah #2364). 3) Zina ka kuffara sache dil se toba karna hai lehaza Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijye.(Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37). 4) Tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12870
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri 3 shadian hochuki Hain aur talaq bhi Kya main 4th shadi karsakti hun?

Answer: 1)Jee haan lakin aurat aik sath 2 (do) merd k nikah me nahi aa sakhti jabke merd aik sath do kar sakhta he. 2)aurat dosri shadi apni iddat khatam honay k bad kar sakhti hein. Is me do cheezain hein aik talaq ki iddat hoti he aur aik wafat ki iddat hoti he. 1: wafat ki iddat : Agar koi aurat bewa ho jey aur agar wo hamila na ho to qamri 4 mahine 10 din iddat rakhe. Yani shadi karne se ruki rahe aur agar hamila ho to wazh e hamal tak iddat rakhe. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2481) 2: talaq ki iddat : Jis larki ki umer pura 9 sal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo usi talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 ) 3) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. 1) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-4,5 ). [Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12876
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya koi ladka apni ammi ke mamu ki beti se nikah krr sakta hai

Answer: jee bilkul kia jaa sakta hai kyun k wo aap k liye naa mehram hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12884
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya dadaji ke bhai ki beti se nikha kar sakte hai? kya shriyat iyse manti hai?

Answer: Jee nikah kia jaa sakta hai Q keh wo aap ki na mehram hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 18-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12893
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ma apny taya abu ki 2nd wife ki behan sa shadi kr skta ho

Answer: Jee wo aap ki na-mehram hai lehaza un sai aqd kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 18-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12894
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Larka larki without family shadi kar skty hai kia larki ki 16 larka ki 20

Answer: Agar larki kunwari ho or khudmukhtaar nah ho tu wali (baap ya dada) ki ijaazat lazmi hai is k baghair nikah nahi hosakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341). [Updated on 18-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12895
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Larka larki shadi ka proces kia hai larki ki age 16 larka ki 20 hai or wo family ko btaye bagr shadi karna chaty hai larka ka cnic hai larki ka cnic ni hai bay form hai kia shadi ho skti hai

Answer: Nikah mai cnic wagaira ki zaroorat nahi hoti. Nikah ki kuch sharaet hain un ka hona zaroori hai, on sharaet main se aik ye hay keh agar larki kunwari ho tu os k wali (baap ya dada) se ijazat lena zarori hay wagaira. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khoie maslah no 2385). [Updated on 18-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12898
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jiss lardki se hamne zina kiya ham usse nikah karna chahate hai par lardki mana karde shadi ke liye to kya karen

Answer: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is(aurat) k tauba karne se pehle is se shadi nahi kar sakta. aur Larka aur larki mai sai agar kisi aik ki bhi nikah ke liye razamandi nahi hai tou nikah sahi nahi hoga.( lehaza wo larki shadi se mana bhe karsakte hay). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2335,2364) [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12899
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: S/w mai y sawal puchna chahta hu ki main jis ladki s nikah karna chahta hu wo kisi ldke k thigs p baithi hai kya ye zina h or is se tauba kaise kre wo ladki or y jante hue kya mai usse nikah kar skta hu use maaf kr sakta sakta ho

Answer: Jee haan kar sakte hain, Agar mard ne dukhool nah kiya ho (yani mard ne apna penis (ala tanasul) aurat ki sharmgah me dakhil na kiya ho) to ye zina nahe kehlayega, lihaza aap us se nikah kar saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364) [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12920
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Lrki or larka mbil py agar 1 dusry sa nikah krna chahty bgar kisi gawah k 1 dusry sa puchty k qabol h qabool h qabool h to kia es trha sa nikah ho jata h or dono trf sa serious hon?

Answer: Is tareeqay ka nikah durust nahi kyun k nikah ki chand sharait hai jese nikah mai larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat ho, nikah k seeghay arabic mai parhay jaayen wagaira.......(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341). [Updated on 19-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!