Question: Can nikkah can be perform during periods?
Answer: Yes nikah can be performed during periods..(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 19-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya shadi k liye sataro ka milna lazmi hai
Answer: Nikah mustahab e maukadah (jis mustahab ki bohat takeed ki gae ho)hey or ahadees main nikah ki taraf targheeb dilae gae hay or kaseer ahadees main is k tark kernay ki muzammat ki gae hay. Jo shakhs shadi na karne ki wajha se haram kaam main mubtila hota ho tu us per wajib he k shadi karey. (ref : minhaajus saliheen part#3,pg#7,tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2407)(Note: Shadi ke silsilay me sitaron ke milne koi haqeeqat nahin hai. [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shia larky k suni larki sy nikkah ki sharait????
Answer: Shia lerkay ka sunni lerki nikah os sorat main jaiz hai jab gummraah hone ka khatra nah ho. Nikah shia tariiqe se hona chahiay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: KIA soteli behen se nikah hosakta hai
Answer: Wo soteli behen jo soteli maan k pehle shohar se paida hoe ho, os se shadi kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #158). [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia larki shadi shuda hone k bawajood kisi dusre shadi shuda larke se mutah krskti hah?
Answer: jee nahi shadi shuda aurat k liye doosri shaadi karna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2366). [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr orrat talak ly lay mard sy to dobara nikah krna chah rahi ho usi mard sy to kasy ho ga nikah
Answer: Agar mard mukammal sharait k saath talaaq de chuka hai tou wo iddat k doran rujoo kar sakta hai or agar iddat ka waq guzar gaya hai tou dobara nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2488). [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I want to marry a boy who is non muslim but he is ready to convert into muslim, parents are not agree for this..pls help me out what should I do.?
Answer: Nikah ki sharaet mai sai aik yeh hai keh agar larki kunwari ho khudmukhtaar nah ho tu os k wali (baap ya dada) ki ijaazat ho is k baghair nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2341). Dua e tawassul ko har waqt perh saktay hain, laikin kisi khaas maqsad k lie is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad 2 rakat namaz e hajat ada kernay k baad perh kar dua mangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). [Updated on 22-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: جس کیساتھ زنا کرلیا جاے اس کیساتھ نکاح حرام ہوجاتا ہے۔ حوالہ بمطابق فقہ حنفیہ و جعفریہ دیں
Answer: Is website per fiqh e jaferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain. Answer: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is(aurat) k tauba karne se pehle is se shadi nahi kar sakta. Laikin zani k alawa koe doosra shaks(is aurat k) tauba karne se pehle os k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364). Update on dated 16-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 22-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shadi shuda orat ki sharmgah koi or nrd daikh ky to kiya uska nikah baki raha ya toot gya
Answer: Muslman ki Sharamgaah dekhna haraam hai. lekin sharmgah dekhne se nikah batil (toota) nahin hai. Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2400) [Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar larka ya larki gar main dono k relationship ka pata hoo or larke ki family shadi k liye na razi hoo too shadi ker sakte dono ek dosre se
Answer: Jins-e-Mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jaye, ye jaiz nahi hai q k gunah mai mubtila honay ka khof moujood hai (Ref: Nigaah aur libaas,ques# 106,pg# 69) Shadi k liye larkay ko apne ghar walo sai ijazat lene ki zarorat nahi hai lekin kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah #2341). [Updated on 11-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]