Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 12982
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia shia larka ismaili larki sy nikah kar sakta ha

Answer: 12 imaamo ko maanne wala shia larka aise musalmaan sunni ismaili larki se nikah kar saktay hai jo shio ke 12 imaamo se bair or buqz (dushmani) ka izhaar na kare albatta ye nikah us waqt haraam ho jab 12 imaamo ko maanne wale shia larke ko khouf ho ke wo apne shia aqide me munharif hojaae ga ya ye nikah us waqt haraam ho ga jab is ki waja se wo shia larka apne shia mazhab ke mutabiq shareyat amal nahe kar paaega . .(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215) [Updated on 08-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12989
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ladka talakshuda ladki se nikkah karna chahe to kya woh apne maa bàap se ye baat chupa sakta hai ke ladki talak shuda hai?

Answer: Larka apnay wali (yani baap ya dada) ki ijazat k bagair shadi kar sakta hai. Talaq yaafta aurat se shadi ki ja sakti hai, Aurat Q k talaq yafta hai is lie us k wali yani baap ya dada sai ijazat ka masla bhi nahi hai magar is baat ka khayl rakhain k wo aurat talaq ki iddat mai na ho.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). (Note: Baap ko batana zaroori nahin hai ke larki kunwari hai ya talaq yafta.) [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12995
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1kisi aurat se zana karne k 3 month bad uski beti se nikah karna jaiz he

Answer: Agar koe shaks apni phophi ya khala k alawa kisi or aurat se zina kare tu ehtiyaat e mustahab ye hay keh oski baiti k sath shadi nah kare, agarche shadi karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2361). [Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13003
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kisi aurat se zana hojai or 3 month bad uski beti se rishta hojai nikah jaiz he? bewi ko talaq dene k bad uski pehli shohar se peda hone wai beti se nikah jaiz he?

Answer: 1)Agar koi shaks apni phophi ya khala k alawa kisi or aurat se zina kare tu ehtiyaat e mustahab ye hay keh oski baiti k sath shadi nah kare, agarche shadi karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2361). 2)Agar shohar ne us larki ki walida (yani apni biwi) se hambistari ki thi to ab us larki se nikah nahi kar sakta Q k ab wo larki shohar ki mehram ban chuki hai or mehram se nikah haram hai, albatta Agar shohar ne us larki ki walida (yani apni biwi) se hahambistari nahi ki thi or hambistri se pehle hi shohar ne us larki ki walida ko talaq dedi thi to is sorat men talaq dene k bad wo shakhs us larki se shadi kar sakta hai wo bhi is shart k sath k uska haqeeqi walid use is bat ki ijazat dede k wo shakhs is se nikah kare.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2351-2352). [Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13012
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: میرے والدین میری شادی اس جگہ کر رہے جہاں مجھے لڑکی پسند نہںں، اب میں والدین کو راضی لر کے شادی کر لو اور اگر کل کو مسلے ہوے تو کیا ہو گا، میں اپنے ماں باپ کے آگے بےبس ہوں. کیا کرو اس کا حل کیا ہے.

Answer: Agar aap raazi nahi hai tou nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). Dua e tawassul ko har waqt perh saktay hain, laikin kisi khaas maqsad k lie is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad 2 rakat namaz e hajat ada kernay k baad perh kar dua mangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). [Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13034
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ak bhai ny agr apny do bachon (beta, beti) ki shaadi dosry bhai k do bachon(beta, beti) sy krni ho to kya islamic rules k tehat ho sakti hy?

Answer: Jee bilkul ki jaa sakti hai kyun k wo aapas main na mehram hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 28-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13056
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: keya barber si nikkah kar sakty hai ya nahe

Answer: Jee han, Naae(Barber) se nikah kar sakty hain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215,221) [Updated on 02-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13062
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA Agha Sab, mera swal yeh hy ko kia Zani larki ky 7 mutta krna jaiz ya hram?

Answer: Agar aurat zina kaar mashhoor ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per is(aurat) k tauba karne se pehle is k satrh shadi karna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364). [Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13070
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: with blood realtion can do??

Answer: Mehram wo qareebi rishta-daar hotay hain jin se kabhi nikah nahi kia jasakta maslan aik merd k liay mehram khawateen os shaks ki maa behan, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji,saas hain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzeeh-ul-masa,il, maslah#2349 ). [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13071
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam keya phopho ki sath mutta kar sakty hn??

Answer: Mehram wo qareebi rishta-daar hotay hain jin se kabhi nikah nahi kia jasakta maslan aik merd k liay mehram khawateen os shaks ki maan, behan, baiti, phophi, khala, bhatiji, bhanji, saas hain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzeeh-ul-masa,il, maslah#2349 ). [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!