Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 13072
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: phopo se muta ho sakta h?

Answer: Jee nahin, wo aap ki mehram hai lehaza un sai nikah (daaimi ya gair e daaimi) nahin kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 pg no 357 and maslah no 2349). [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13086
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere mmy ke apne bahan ke bete ke bete se nikha ho sakta hai matlab mere khala ke bete ke bete

Answer: Jee han, wo na-mehram hai lehaza un sai nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349) [Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13089
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hindu larki ke islam kabool kr lene pr us se nikah kr skte haiñ Ham dono mohabbat krtey haiñ aur wo islam ko kabool karna chahti hai dil se

Answer: Hindu jab muslman ho jae to os k sath shadi jaiz ho gi albetta Kunwari (virgin) lerki os waqt tak nikah (daimi/mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341-42) [Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13095
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Apne Walid k sagi fuffi k bete se nikah zayaz hai ?

Answer: Baap ki phuphi ka beta na-mehram hai lehaza un sai nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349) [Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13100
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam u Alikum AGR larky kay ghr waly hn mgr larki ki tarf say koi na ho to kay masjid main nikha ho jata h plzzzz sir is ka answer day dain

Answer: fiqhe3 jafferiaNikah mai larki or larkay ka raazi hona zaroori hai is k ilawa larki k wali (yaani baap ya dada) ki ijaazat zaroori hai or baap ya dada ki ijazat ke bager nikah durust nahi hoga, or agar baap ya dada zinda nah hon to phir kisi se ijazat lene ki zaroorat nahin hai.or agar larki ke baap ya dada ki ijazat hay tu kise ke niakh ke waqt aane ki zarorat nahe hay (Ref:Tauzeeh ul masail aytaullah seestani edition 41 maslah # 2341,2335) [Updated on 03-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13130
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mara sawal hy kia ma rokhsati sy saal ya 2 sall pahly nikah kar sakta hon kia ya jaiz hy ??

Answer: Jee han, nikah k baad rukhsati hona zarori nahi hai) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328) . [Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13135
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: M ek siddiqui ladki hu... Mjhe ek ansari ladka S lagav h .. M unse shadi krna ch te hu .. Vo v mjh S shadi krna chte h.. Pr maire ghr vale bolte h vo neeche biradri M shadi nhi krege.... Yha kon glat H M ya maire parents?

Answer: Muslman, muslman ka kafo(barabar, manind) hai aur momin mard momin aurat ka kafo hai isi lie Islam mai aik musalman ki doosray musalman sai shadi ho sakti hai is mai bradri ka koi amal dhakl nahi hai. Lihaza arabi ki ghair arabi se shadi ho sakti hay, syed ki ghair syed se ho shadi sakti hay, is terah shareef or aonchay gharano k afraad ki shadi jharho dainay walay afraad se ho sakti hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). [Updated on 26-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13136
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAM alaikum mera sawal ye hai ki kya cousin sister se shaadi kar sakta par mai jb 2-3 month tha toh meri aunty ne mujhe apna doodh pilaya tha 1-2 baar toh kya is surat me nikah jayaj hoga

Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: number 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay, number 2) ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho, number 3) ya 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu ye phir ye bcahay is aurat ki baiti se shadi nahi ker sakta. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay or nikah baatil hojaaye ga warna nikah sahi hai. Aik ya do baar doodh pilane se mehram nahi banta.agar is baat me shak ho ke bache ne itne miqdaar me dooth pia hay jo mehram banne ka sabab banta hay ya nahe ya gumaan ho ke is ne itne miqdaar me dooth pia hay tu bacha kise ka mehram nahe banta laikin behter ye hay ke ehteyaat kare,( shaks ki surat me mehram nahe bane ga or aik dosere se nikah ho sakta hay albatta behter ye hay ke nikah na kare or is behter per amal karna zaroriu nahe hay) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41st edition, maslah #2438,2439,2461). [Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13150
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mene aik larki k sath bohat bar sex kiya lekin meh usse shadi ni kar pa rha mere parents ni mante kiu k vo out of family ha. lekin vo larki roti hai k meri izzat rakh lo kya mujhpe wajib hai k meh us larki se shadi krlu?

Answer: 1) Ye zina kehlay ga, zina karna haram or gunahan e kabeera mai sai hay. Aur Shohar aur biwi k ilawa kisi aur tariqe se jinsi lazzat hasil karna jaiz nahi hai.(Ref: Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. Part #1 masla # 30). 2) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition maslah #2364). 3) Shadi k liye larkay ko apne ghar walo sai ijazat lene ki zarorat nahi hai lekin kunwari larki ko apne wali yani (baap ya dada) sai ijaazat lena zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah #2341,2342). [Updated on 12-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13159
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: talaq ki iddat mukammal kiye bina dusra nikah jaiz hai?

Answer: Jee nahi, jaiz nahi hai jab tak iddat mukammal nah ho doosra nikah nahi kia jaa sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2475). [Updated on 12-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!