Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 13164
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rukhsati se pehle hmbistri jaiz hy? Nikkah hua hua ho

Answer: Agar nikah mukammal sharaet k saath hoa hai tu nikah k baad or rukhsati sai pehle wo aik doosre par halaal hain yaani humbistri bhi kar sakte hain. (Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, pg#357). updated on 26-07-2019. Agar riwaaj yehi ho kay jab tak rukhsati nahi hoti larki apnay aap ko shohar k liay pesh nahi karti to aisi soorat main larki ka aapne shohar ko mana karna jaiz hay aur is main gunah bhi nahi hay (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part 4 ques 149 pg 93) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13171
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main ek bewah se shadi karna chahta hoon

Answer: Jo aurat bewah ho jaaye us ki iddat mukammal hone k baad un sai nikah kia jaasakta hai q k wo na-mehram hay.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41, maslah#2349,2481). [Updated on 12-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13184
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri mangni mere ghr walo na zbrdsti krdi h or shadi b kny lgy ha, ma kya kro?

Answer: Nikah main larki ka raazi hona zarori hay Aur agar larki raazi nahin to nikah dursut nahi hoga. (Ref: Minhajus saliheen, jild#3,ayatullah sistani, maslah#77). Surah e ahzaab surah # 33 ko hath say likh kar aik dabbay (box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hasb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13187
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya larki maan ka larki k sasur sy nikah ho sakta hai

Answer: Jee han, nikah jaiz hai. Q ke aurat ki maan aur aurat ka susar (yani aurat ke shohar ka baap) aapas me na mehram hain.(Ref: Ayatullah Sistani (d.b), Tauzeehul masail, edition #39, maslah #2349,2354) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13199
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr ma kisi larki k sath nikah Karo too larki k ghr wly sath or larka k ghr wly sath na ho too esy nikah ho jty hai

Answer: wo larki jo khud mukhtar nah ho os k nikah main os k wali (baap ya dada) ki ijaazat laazmi hai warna nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 2341). [Updated on 15-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13202
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr nikaah ma larka k sath koi nhi ho just larki k ghr wly ho too nikah ho jty hai esy

Answer: agar nikah ki tamaam sharait moujood hon jese larki k walid ki ijaazat ho wagaira....tou nikah durust hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2341,2335). [Updated on 15-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13213
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, kia shadi shuda aurat ka nikah pr nikah jaiz hai bgair phli talaq k?

Answer: Shadi shuda aurat sai nikah karna haram hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#maslah#2366,2367). [Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13214
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, kya ek lrka lrki akely khud apna nikha parh skty bgair kisi tesrh gawah ki maujidgi mae. Aur kya yh nikah jaiz ho ga?

Answer: w/salam, Yeh nikah durut nahin hoga q ke larki or larkay k razi honay k saath saath ghair khud mukhtaar kunwari larki k wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai un ki ijazat k baghair nikah durust nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah #2341) [Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13216
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah pe nikah zyada bra gunah hai ya zina? Agr kisi shadi shuda aurat se muhbat ho jae to kya zina se bchny k lye us se nikah pr nikah kya ja skta hai?

Answer: Jee nahin Shadi shuda aurat se nikah karna haram hai. Shadi shuda aurat sai agar koi zina karay tou ehtiyaate e wajib ki bina par wo zaani par hamesha k liay haraam ho jaati hai. aur Zina aik gunah e kabeera ha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition 39th, mafhoom e maslah #2366,2367). [Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13227
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam-o-Alaikum! Actually question ye hy ky, farz karta hon ky main kisi ghair mulk ki larki sy piyr krta hon aur ham dono nikah karna chahty hain tu kiya ham online video call ky through nikah kar sakty hain aur kiya ye jaiz ho ga in Islam?

Answer: Walaikumussalam, Phone per nikha kiya jasakta hai, wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os ka apne ya dada ki ijazat k Bager nikah nahi hosakta, Is ke elawa nikah ke liye aur bhi shartain hain jese ke nikah men seege parhe jate hain, waghera. nikah k seegon ko jaanne ke liye kitaab Tozeeh ul masail ya kitaab tuhfaht ul Awaam main dekhiye.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 39th, maslah # 2335,2341,2342) [Updated on 20-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!