Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 13229
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shohar dosra nikka kary tu kia pehli bv k ilm m lana ye bat zaroori hai?? ( Ijazat k bary m nae poucha sirf ilm m lana pehli bv k zaroori hai ya nae ye janna hai)

Answer: Ijaazat ki zaroorat nahi hai.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#200,202, eidition 1439). [Updated on 19-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13244
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia larka or larki molvi sab ki mojudgi main without gawahun k nikah parh skta hain?

Answer: Gawahoon ka mojud hona zarori nahi hai, lekin Kunwari (virgin) lerki us waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day, or yehi hukum ehtiyaat e wajib ki bina (base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #2335,2341). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13275
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia wife ko divorce diye beghair wife ki sister sy nikkah ho skta hai ?

Answer: Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahiay wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs oski behan se shadi nahi kar sakta.(Ref: Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b masla#2355, [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13289
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr larki ko dar ho k walid ghusa krenge or mar bhi skte hai ya ghar se nikal bhi skte hai to us surat mai ijazat na le lakin sirf touch k lihaz tk mutta kre lakin is dar se walid se ijazat na le ske tb bhi mutta batil hai

Answer: Jee nahin ghair khud mukhtaar kunwari larki baap ya dada ki ijazat k bagair muta ya nikah e daaimi nahin kar sakti .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341) [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13311
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr baap ya dada ki ijazt zruri h to jo lg bhag k ya court marriage krty hn unka rishta najaiz rhta hy hmisha?

Answer: Larki ke wali (yani baap ya dada) sai ijaazat lena zaroori hai agar ijaazat na ho tou nikah batil hoga. or agar ye ijaazat waali shart maloom nahi thi aur court marriage kar li tu ye zina shumaar nahi ho ga, balkeh is ko wati shuba kehtay hain aur bacha haram zaada nahi kehlaye ga balke halaal zada hoga, agar nikah k baad wali ijazat day day tu yehi nikah durust shumaar hoga or alag se nikah perhne ki zarorat nahi hogi. (Ref:Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani, edition 39th, maslah # 73, 2341,+https://www.sistani.org/arabic/qa/0317/) [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13320
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya nikah ka 3 saal tak rukhasati na hona per nikah fasid hota ha

Answer: jee nahi is sai nikah baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13322
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ammi ke Mamu ki ladki se Shaadi ho sakti h shariyat me kuch h iske baare me

Answer: jee wo aap ki na mehram hai lehaza un sai nikah kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2349). [Updated on 28-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13323
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslaam o alikum, I want to ask that in Islam you can do marriage of your choice but if you can't look to a na-mehram, you can't talk to each other etc. Than how to choose a girl for marriage. Please guide!! Jazak Allah

Answer: 1: Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna islami nuqata e nazar jaiz nahi hay. Albatta islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai.(Ref : Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). 2: Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/). 3-Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). [Updated on 29-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13324
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alikum, I am a Muslim boy. I want to ask that can i look to a Muslim girl (chosen by me for marriage) face covered with hijab only face. Please guide me!! Jazak Allah

Answer: 1-Kisi mard or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna islami nuqata e nazar jaiz nahi hay. Albatta islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai.(Ref : Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). 2-Kunwari (virgin) lerki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada ssy ijazat lsy .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341). [Updated on 29-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13335
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ma baap razi ho par unko aisi surat hal nahi pata ho meri to kya bina bataye nikah ho sakta hai kya parents ki permission k bina bhale baad me phir karenge ye nikah ladke k aane k baad bahar gao se agar baap dada ko na bata pay to kya aise hoga

Answer: Larkay k liay kisi say nikah ki ijazat lena zarori nahi hai lekin Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (yani baap ya dada) ki ijazat zarori hay lekin maan ki ijazat zaroori nahin hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatollah Seestani Edition 39 Maslah no 2341) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!