Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 13339
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi shakhs Kaseer us shak ho aur kisi khyal ya waswasay ki wajah se usko ye lagey ki uska Nikah shar'an durust nahi hoga to wo kya Karey ?

Answer: Aise shaks kise kable ahtemaad aalimedeen se raabta kare or une Abne shak ke bare me mukaammal bataae ke use kyu shak horaha hay ke us ka nikah sahe nahe hoga take wo aalim use shariyat ke hisaab se bataae ke us ka nikah sahe hay ya sahe nahe hay,or wo shak karne Wala shaks shareyat ki pawande kare ,bus [Updated on 14-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13348
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.a sir ... Agr shadi ko 3 sal honay waly hon r mian bv ka koi physical relation na ho start se to lya islami treeky se nikah khtm ho jata h ? R na aps mn koi rabta ho

Answer: jee nahi nikah khatam nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2462-2472). [Updated on 31-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13349
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia larki larka khud ko Allah or osky rasool ko hazer man k husband wife Mann lain? To wo husband wife Hain?

Answer: Jee nahin balke Husband wife ka taluq qaim karnay k liye nikah karna zaroori hai, aur nikah ki chand sharait hain. faqat Husband wife Mann laine se nikah nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 17-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13350
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-o-Alikum mian ny suna hay kay agr ak lrka lrke dil sy ak dosry ko nikah main kabool kr lyty hain to unka nikah o jata hai is bat main ktne hkeekt hai please guide me in this kind of query

Answer: Jee nahin aisa nahin hai balke nikah ki kuch sharait hain faqat dil mai iraada karna aur Qubool hai kehna kaafi nahi hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 41st, maslah # 2335). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13355
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri jisse shadi hone wali he usne kisi ger muslim se zina kar liya me fir bhi usse nikah karna chahti hun kya ye sahi rahega or wo touba bhi karna chahta he to aap tarika batayr

Answer: Je han, us se nikah jaiz hay.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani Edition 41 Malsah no 2335,2341). [Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13356
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Islam ma shaadi ka bad sex karna kew jaiz ha

Answer: Nikah k baad mard or aurat aik doosre par halaal ho jaate hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 pg no 357). [Updated on 02-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13362
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya biwi ke sath bhi zina hota hai ? Ahle sunnat hazraat ke yahan ek hadees hai ke Qurb e qayamat mein mard apni biwiyon ke sath zina karenge . Kya ye sahi hai ?

Answer: Biwi ke sath jo hambistri (intercource) ki jati hai usay zina nahin kehtay. balke Sigha nikah k zariye mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hain (yani mian biwi wale taluqat qaim ker sakte hain). (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Tauzeeh ul masail Urdu, maslah# 2328 ke upar ka paragraph pg # 357). [Updated on 04-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13376
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera ek sawal h ek shaadishuda aurat ky saat zina agr huwa hoo or phir uska shohar us taluq dye dye or edad m b zina huwa ho or phir bad m zina sy bacha paida hu jye tu kiya es aurat sy nikkah kea ja skta h

Answer: Agar sohardar aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo (zaani) yani zina kernay walay shakhs par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi (zaani) yani zina kernay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai chahe shohar use talaq bhi dede. Lekin agar shohar talaq dede to iddat ke bad zaani ke elawa kisi dosre mard se nikah kar sakti hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition, maslah # 2367) [Updated on 05-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13382
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: The girls and boys who run away from their homes and get court marriage. Is that marriage valid?

Answer: Court marriage kafi nahi hay ehtiyaat e lazim ki bina par balkeh nikah k alfaz zuban say ada karna zarori hen lekin kunwari virgin lerki jo khud mukhtaar nah ho wo os waqt tak nikah daimi mutah nahi ker sakti jab tak lerki ka baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtaar ho wo ehtiyaat ki bina par yehi hukum hay k apnay walid ya dada say ijazat lay (ref ayat ullah seestani d b tauzee hul masail maslah # 2328 2341). [Updated on 07-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13383
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: The girls and boys who run away from their homes and get court marriage. Is that marriage valid?

Answer: Court marriage kafi nahi hay ehtiyaat e lazim ki bina par balkeh nikah k alfaz zuban say ada karna zarori hen lekin wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho wo os waqt tak nikah daimi mutah nahi ker sakti jab tak lerki ka baap ya dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtaar ho wo ehtiyaat ki bina par yehi hukum hay k apnay walid ya dada say ijazat lay (ref ayat ullah seestani d b tauzee hul masail maslah 2328 2341) [Updated on 07-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!