Question: Asalam u Alaikum main Janna Cahata Ko Ager Allah Ko Hazir Nazir Jan Kar Nikah Karle Tu Nikah Ho Jata Hai
Answer: Is terah nikah nahi hota. Nikah ki chand shrtain hain. 1)Ehtiyaat e wajib he ke segah sahi arabi me parha jae. 2)ye k mard aur orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasde insha rakhte hon. 3)sigha parhne wala zarori hai k aaqil ho aur agr apnay lie parhay tou balig bhi ho. 4)wakeel k lie mard aurat muaiyan hoon 5)mard aur aurat shadi per razi hoon. 6)kunwari (virgin) lerki os waqt tak nikah nahin ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina (base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi). isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabar(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zaroori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.(Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 39, Maslah #2328-2335,2341,2342) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr mere khala ka beta agr mere ammi ka doodh piya hai to kiya uske chotte behen se sadi ho skta hai mera
Answer: Agar koi aurat aik bachay ko doodh pilaye to woh us ke bhaiyon k liay mehram nahi ban jati aur us aurat k rishtedar bhi us bache ke bhai behnon ke mehram nahi ban jate, lihaza ap apni khala ki beti se nikah kar sakten hai.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Mafhoom e masla#2431). [Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ghair syed larka syeda sy shaadi kr sakta hy?agar haan to larky mn kya khasoosiyat honi chahye
Answer: 1: Jee haan jaiz hai, syed zaadi ka nikah gair e syed se hoskta hai isi tarah larka syed ho to wo bhi gair e syed larki se nikah ker sakta.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaj-ul-saliheen, 1st edition, masla # 221). 2: Aurat aur us k wali (yani baap ya dada) k lie behtar hai k on sifaat or khasiyaton ko ehmiyat dain jin ka shohar main hona zarori hay. aur aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo dendar, pak daman, or baa akhlaq ho. sharabi na ho or burai or muhliq gunaho ka irtekab na karta ho (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232) [Updated on 16-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alikum mera sawal ye hai k suteli khala or bhanji ka aik gar rishta ho sakta hai ya naii
Answer: Jaiz hay.(Ref: Tauzihul masael, maslah#2356) [Updated on 23-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Islam men Doosri Shadi ko Chupana Gunah hai?
Answer: Agar koi shaks doosri shaadi karna chahay tou kar sakta hai doosri shadi ko chupanay ki zaroorat nahin hai. lekin aik shab(raat) aik biwi k paas soey tou chaar raaton mai sai aik raat kisi biwi k paas bhi soay. 2)mard par biwi or bacho ka naan o nafq wajib hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaj us saliheen Part 3, maslah #200).(Ref: Jadeed fiqhi masaail, edition 39th, maslah # 434). [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ass salaam walaikum Jie Mai shadi shuda ladka hu 30saal umar hai, par mai dusra nikaah karna chahta hu, aur dusri biwi se chupaaana hai ki mai pehle se shadi shuda hu kya mera dusri biwi se nikaah jayaaz hoga
Answer: Musalmaan aik waqt men 4 muslim ortoon se shadi kar sakta hai, aur in main se kisi se shadi karne ke liye biwi se ijaazat lene ki zaroorat nahi hai. Islami lihaaz se mard ko dusri shadi krne k liye pehli biwi se ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 200). (Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 105, pg # 53) [Updated on 20-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zubani klami iqrar kar len meiyan bevi to nikha ho ga ?
Answer: maktab e jafferia mai is tarah sai nikah nahi hota balke kuch sharait ko mad e nazar rakhna laazim hota hai jese k larki k walid ki ijaazat ho,nikah k seeghay sahi arbi mai adaa kiye jaayen wagaira......(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335,2341). [Updated on 19-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam u alaikum, mujhe ye janna h k kia nikkah k liye CNIC hona must h. I mean me baligh hu 19 years old pr mere documents me 17 years ka hu to kia me nikkah kr skta hu ?
Answer: Nikah men CNIC ka hona shart nahin hai, lekin is ke elawa baqi tamam sharait ka khayal rakha jaye.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2335) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikkah ki shart main ye likhwa saktay hain k larka dosri shadi nahi karay ga
Answer: Nikah k waqt sharaet rakhna jaiz hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#3, maslah#330). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ایک لڑکی کے باپ کی وفات ہو جاتی ہے اور ماں دوسرے مرد سے شادی کرتی ہے اب اس لڑکی کا نکاح ہوتا ہے اور دوسرے مرد کا نام باپ کے نام کی جگہ لکھوا دیا جاےتو نکاح پر اسکا کیا اثر ہو گا؟ جواب بتا دیں شکریہ
Answer: Jee nahin, Is ka nikah par koi asar nahin hoga. Q k nikah me baap ke naam ki koi shart nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, maslah # 2828 ki heading, 2341,2342) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]