Question: Ma kisi sy Nikkah nai krna chahti ma Sari Zindagi Apny maa Baap ki Khidmat krna chahti hun un ky sth rhna, chahti hun or Koi mra bhai nai Jo Un ko Smbhaly.. Kia islam Ma Ya Jaiz ha?
Answer: Nikah karna wajib (zarori ) nahe hai balke mustahab e maukkadah (yani jis mustahab ki bohat takeed ki gae ho) hey or ahadees main nikah ki taraf targheeb dilae gae hay or kaseer ahadees main is k tark kernay ki muzammat ki gae hay. Lekin aik soorat men Nikah wajib ho jata hai ke jab koi shadi na karne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho. (Ref: Minhaaj us Saliheen, part #3, pg #7, + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2407). [Updated on 06-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya syed larki ki ghair syed se shadi ho sktii h plzz dalail k sath batayn plzz
Answer: Muslman, muslman ka kufo(barabar) , hai aur momin mard momin aurat ka kufo hai isi liye syeda shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k sath jaiz hai aur isi tarah gair syeda shia aurat ka nikah syed shia mard sai ho sakta hai. hazrat rasool akram ne miqdaad bin aswad jo ghair syed the , in ki shadi apne chacha zaat behan zabaeah binte zubair bin abdul muttalib jo syedani the , se ki the .or rasool akram ki phoppi ki beti zainab jo syaida the in ki shadi ,zaid jo ghair syed the ,se hoe thi (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistan(d.b), part #3, maslah #221, wasaailushia , jild # 14, pg# 82 ) [Updated on 09-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 1) Kia bewa aurat ka mutta ke liye apny bachay se ijazat laina zaroori hay? 2) kia bewa nikah mutta ko apny bachay se poshida rakh sakti hay?
Answer: 1-2) Jo aurat bewah ho jaaye aur iddat mukammal hone ke bad agar wo nikah e daimi ya mutta karna chahe to us ke liye kisi se ijazat lene ki zaroorat nahin hai. wo bager kisi ki ijazat ke nikah e daimi ya mutta kar sakti hai. aur bachay ko is bare men batana zaroori nahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2481,2342). [Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Slaam! Mera sawal ye h ek shadi shuda aurat ghr se nekalti h( rukhsti ni hoi thi) or dusri shadi krti h pehlay nikha k hotay hoye bagir kesi zaberdasti k, ab use Kya krna chaiye?
Answer: wsalam. kisi larki ka aik nikah mai hote howe doosra nikah karna haraam hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 42 maslah no 2366). [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager ek lerka or lerki nikah ka pakka irada rakhty to kya wo nikah sy pehly sex ker sakty please bta dain kyn k yeh buhut preshani hai...
Answer: 1: Mian biwi ka taaluq qaim karnay k liye nikah shart hai faqat shadi ka iraada kar lena kaafi nahin hai. or nikah ke sahe hone ki khuch sharaait hai jin ke begair nikah sahe nahe hota 2: Agar nikah ke baghair jinsi talukaat qaim kiye jaaye or intercourse kia jaaye to ye zina shumaar hoga jo k aik gunah e kabeera hai (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2335,2328,2364). [Updated on 13-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum meri khala ne mujhe ek baar dhud pilaya tha bachpan me tab unki beti paida nhi hui thi kya mera unse nikha ho sakta h
Answer: Jee han, ho sakta hai wo aap ki na-mehram hai aur aik dafa doodh peeney sai mehram nahin hotay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #2428). [Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum shadi ke baad biwi se sex kab kar sakte hai aur Biwi ke marzi ke bina sex karna haram hai?
Answer: 1: Sigay nikah k zariye mard aurat per aur aurat mard per hamesha ke liye halal ho jate hain yani (shadi or ruksati hojaane ke baad) jab bhi chahen mian biwi wale taluqat qaim ker sakte hain siwaye chand dinon men jin men jima karna haram hota hai 2: Aurat kay liye zaroori hay ke jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharee uzr kay baghair shohar ko hambistari say na rokay. Haan shohar ki razamandi say taakheer karna jaiz hay. 3: Shohar ke liye apni biwi k sath khuch Awqat(Times) mai jima(intercourse) karna haram hai. 1. Haiz (yani wo khoon jo umoman har mahinay chand dino ke liye aurton ke reham(sharamgah) se kharij hota hai) us halat mai jima karna. 2. Nifas (yani jab aurat ko bacha paida honay k baad 10 din tak khoon aata hai) os halat mai jima karna. 3. Rozay ki halat mai jima karna. 4. Etikaaf ki halat mai jima karna. 5. Hajj ka ehraam bandhnay k baad jima karna. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #2328, 2376,448,504,1553, pg #479). [Updated on 14-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: why it is haram to marry two sister at the same time?
Answer: Aksar ahkam e sharaei ki asabab or illatain(reasons) or shariyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazar kiye baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain. (Ref: Lumah #6, kitab e miraas, nashir maktab e naveed e islam, pg #472). [Updated on 15-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me apne pope k sath niqqh kar na chahta hon .q k me apne popi k sath her raat humbstri kar ta hon shoher ki tarha.
Answer: Phoophi insan ki mehram hoti hai aur mehram afrad se nikah karna haram hai. isi tarah Zina karna bhi haram aur gunah e kabeera hai lehaaza lazim hai k is gunah ki wajah se khuda sai tauba talab ki jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349)+(Ref: Minhaj us Saleheen, Part #1, Masalah #30). [Updated on 26-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera ek sawal h apsg k agr lrka lrki court m nikha kren wali ki ijazat k bina r bd m lrki ki bap ko pta chele r wo talaq ly lain zbrdasti tu kia usy lrki sy dobara nikha jaiz h jabky pehli bar nikha court m.hua tha bina wali ku ijazat k
Answer: Court marriage kafi nahin hay ehtiyaat e lazim ki bina par, balkeh nikah k alfaz zaban say ada karna zaroori hen, aur Kunwari(virgin) larki jo khud mukhtaar nah ho wo os waqt tak nikah (daimi / mutah) nahin kar sakti jab tak larki ka wali (Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtaar ho wo ehtiyaat ki bina par yehi hukum hay k apnay wali (baap ya dada) say ijazat lay. Agar ye shart maloom nahin thi aur is dauran jima bhi kar liya ho tu mian biwi ko alag hona paray ga biwi ko watee bish shuba ki iddat rakhni hogi us k baad larka larki k baap sai ijaazat le ga or phir aik naya nikah hoga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2341)+Minhaj us Saleheen, Part #3, masalah #565). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]