Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 14869
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum mera sawal yeh h k mera nikah hua ha par abhi tak ruksati nai hui, to agar main apni bv k sath oral sex karty huy ar wo b asy k ham barhana nai thy diacharge hua usky jism k sath ragar kar to kia yeh gunnah ha?

Answer: Sigah e nikah ke zariye mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale talukat qaim ker sakte hai) laikin nikah k baad aur rukhsati se pehle agar larki apne baap ke ghar me ho to us larki ke shohar ke liye us larki k baap ke ghar me aane jane aur larki se raabte ke liye zaroori hai ke larki k baap se ijazat le. Lekin agar riwaaj ye ho ke jab tak ruksati nahin hoti us waqt tak larki apne aap ko apne shohar ke liye pesh nahin karti, is tarah ke is ko goya ik zimni shart samjha jata ho to phir aurat par apne is shohar ki is muaamle main itaat wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), before Maslah #2328, nigah o libaas, dafter aqai sistani(d.b). mujtahid se poche gaae sawalaat, part #4, masalah #150). [Updated on 26-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14895
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Step father sy nikkah ho sakta hn agar main bhi razi hon or wo bhi or meri ammi sy unki. Aik beti bhi hn agar wo dono talaq ly ly to me nikkah kr sakti hon

Answer: Agar larki ke sutailay baap ne larki ki maan ke sath shadi karne ke baad us se jima bhi kia hai tu larki ka sutaila baap larki ka mehram ho jaata hai aur mehram ke sath nikah karna haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2351). [Updated on 03-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14897
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar nikah nama pae sahi trah sign nhi hoske ya pen sahi trah nhi pakr ske to kya kiya jaye?? ya aese nikah qabool hoga galat sign krne se?

Answer: Note: Is website par Fiqh e jaffariya (mazhab e shia) k mutabiq jawabat diye jatay hain. Aur Fiqh e jaffariya k mutabiq Nikah namay ka shariyat sai koi talluq nahin hai agar nikah mai tamaam sahrait moujood hain jese ke larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat hona, seeghay ka sahi arabic main adaa karna, wagaira wagaira to nikah durust ho jaaye ga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335,2341). [Updated on 03-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14904
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ghair muslim larki se zina krne k bad insan ghusal kare to phr b pak nhi hota hai? Agr aisa hy to is halat me kya krna chahye ?

Answer: Zina karna haram aur gunah e kabeera hai lehaaza lazim hai k is gunah ki wajah se khuda sai tauba talab ki jaye. Aisa nahin hai, balke jab koi shakhs kisi wajah se mujnib ho jaye aur agar wo ghusl e janabat kar lay to wo pak ho jata hai aur namaz, ya deegar ibadat bhi anjam de sakta hai. Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref: Minhaj us Saleheen, Aytullah Sistani(d.b), Part #1, Masalah #30)+Tauzeeh ul masael, edition #42, maslah #344,356,2407). [Updated on 04-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14916
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bap ki khala ki taraf se bahen se nikah jayaz hai ya nahi

Answer: Jee han, wo aap ki na mehram hai lehaza aap ka us se nikah karna jaiz hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2353). [Updated on 05-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14930
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Larki ka baap ni man raha to kiya larki bager apney ghar m kisi ko bataye larky sy nikkah kar skti hy ? yani dono k ghr sy koi b nah ho to kiya nikkah kar skthy hy ? reply jaldi kijye ga

Answer: Jee, nahin kar sakte, Q ke Nikah ke liye larkay (boy) or larki (girl) ke razi honay k saath saath agar larki (girl) kunwaari ho to us ke baap ya dada ki ijazat zaroori hai un ki ijazat k baghair nikah durust nahin hoga. aur shadi k liye larkay ko apne walid ya ghar walo sai ijazat lene ki zarorat nahin hay. aap ko aik fiqhi masale ki taraf mutawajeh kia jata he Agar waldain ka hukum ya rook took aulad say shafaqt (mohabbat) ki wajah say ho aur iski mukhalfat say inhain aziyyat hoti ho to aulad par unki mukhalafat karna haram hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #2341,1387). [Updated on 05-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14935
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia nikah namay py talaq ka haq biwi ko bhi mily likha skty? Dosri shadi k lia mard ko biwi ki ijiazt ki leni chaia?

Answer: 01) Fiqhe jafira me talaq dene ka haq aurat ko haasil nahe hai balke mard ko haasil hai. laikin agar aurat yu shart kare ke wo shoar ki taraf se vakeel hai ke khaaz sharaait ke tehat ya beghair kise qaid or shart ke apne aap ko is ki taraf se talaaq de sakte hai tu ye shart sahe hai or baad me shoar ise apni vakalat se hata nahe sakte . agar wo aurat is tara khud ko taalaq de tu talaaq sahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2503 ) 02)Islam men Mard par 4 shadi karna jaiz hai, chahay uski biwi ijazat nah bhi day lehaza mard agar dosere shadi kise musalmaan aurat se kar raha hai tu use phele biwi se ijazat lene ki zarorat nahe hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), minhajus saliheen part #3, maslah #202). [Updated on 07-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14944
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o allaikum Agar koi ghar se dor rehta ho kia wo apni bv ko ijazat de dy moota ki tu kia moota ho jae ga husband ki ijazat k bad ? Kia is ki ijazat hy ?

Answer: Jab tak aik aurat kisi k nikah main ho tab tak wo kisi doosre mard sai nikah (daaimi / muta) nahin kar sakti. shohar apni jawan biwi se 4 mahine se ziyada ke liye ham bistari tark nahi kar sakta. jab zawja 4 mahine tak sabr na kar sakti ho is tarh se ke shohar ko khof ho ke agr us ne ham bistari na ki to zawja haram me par jayegi tu is soorat me ahteyate wajib ki bina par shohar ko4r mahine se pahle ham bistari karne me jaldi karni hogi (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no2366,. 2377) (minhajus salehin Aytullah Seestani jild-3, page104 masaala no. 341) [Updated on 09-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14946
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mare walada ne mera chota bhai ky sath 1 larki ko 1 bar doodh pelaya h kia mera us larkii ky sath nikah jaiz h aur hazrat Aysha se rewayat h ky 5 dafa doodh pelane se رضاعت sabit hoti h

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). [Updated on 30-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14950
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: After nikka and before ruksati can husband touch wife private parts and do foreplaay?

Answer: Aqd e nikah ke zariye aurat, mard per aur mard, aurat per halaal ho jate hain (yani mian biwi wale talukat qaim kar sakte hai). Aur nikah k baad rukhsati hona zaroori nahin hai). aur mian biwi wale talukat qaim karne ki soorat men hamal ka ho jana jaiz hai. ye dono nikha k baad hasband o wife hain, lekin agar riwaaj ye ho ke jab tak ruksati nahin hoti us waqt tak larki apne aap ko apne shohar ke liye pesh nahin karti, is tarah ke is ko goya ek zimni shart samjha jata ho to phir aurat per apne is shohar ki is muaamle main itaat wajib nahin hai.( albatta larki ke baap ke ghar me nikah hojaane ke baad or ruksati se phele ,larki ke baap ke ghar me ,larki ke baap ki ijazat ke baghair ye dono shohar ,biwi wale taluqaat qaaim nahe karsakte ,kyu ye ghar larki ke baap ka hay or baap ki marzi hay ke wo is tarh ke taalluqat se man karsakta hay.jise ke koi insaan apne ghar me is tarah ke talluqaat se man karsakta hay) (Ref: Tauzeeh ul masal, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before Maslah #2328, pg #357, mujtahid Se Pooche Gaye Sawalaat, part #4, maslah #149). [Updated on 17-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!