Question: Agr ak larka ar larki ak dosry ko fill sy husbnd wife maan ly to kia wo husband wife ho jay gy. Ar wo sohbat b kr ly. Ia k bary me bta dy.
Answer: Jee nahin, Mian biwi ka taluq qaim karnay k liye faqat dil mai iraada kaafi nahin hai. balke nikah ki buhat saari sharait hain jin ki pabandi karna zaroori hai is ke bager Mian, biwi wala taluq qaim nahin kar sakte. jin me aik ye hay nikah ke maksoos alfaaz perhe jaay or larki ke walid ki ijazat ho. or agar in dondo ne sahe nikah ke begair jima ya dosere tuluqaat qaaim kie hay tu ye galat hay or zarori hay ke furan juda hojaay . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341,jadeed fiqhe masaail ,maslan no: 439). [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikah nama k rules jo aurat ko likhney chaia?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jaffariya ke mutabiq Nikah namay ka shariyat sai koi talluq nahin hai. agar fiqhe jafferia ke mutabiq tamaam sharaait ke sath nikah hoa hay tu nikah sahe hay or nikah naame ki zarorat nahe hay albatta nikah naaama pakistani law ko follow karne ke lie hota hay or kise dosero ke daikhane ke lie ya pakistan me kise dosere country jane ke lie is ki zarorat hosakte hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328). [Updated on 17-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar larka mufti hai or larki doctor ye nikkah islam me equality rakhta hai?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafaria (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain ). Muslman mard muslman aurat ka kufu(equal, barabar) hai aur momin mard momin aurat ka kufu hai isi liye Islam mai aik musalman ki doosray musalman sai shadi ho sakti hai is mai doctor hone ya na hone ka koi amal dakhal nahin hai. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Seestani(d.b), Part #3, Maslah #221). [Updated on 09-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Nikah khwan larki ka nikah parhatay hoay larki se "qubool hai?" pouchnay k bajae "ijazat hai?" pouchain aur larki jawab me ijazat hai bolay tou ye tareeqa durust hota hai?
Answer: -Fiqh jaffariya k mutabiq nikah ke sahe hone ki sharaait me se aik ye hai ke ehtiyaate wajib ki bina per nikah ka sigha arabi me perha jaae chaae insaan khud perhe ya kise ko vakeel banaae Jee han, agar wakeel (Nikah khwan) muqarar kiya jaye to nikah ke bol arabi me wahi parhta hai lehaza larki se se sirf razamandi maloom karni hoti hai or larki ki razamandi is tara se bhi hasil ki jasakte hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335). [Updated on 10-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikah k bad rukhsati kitny arsy k bad kar peni chiya?
Answer: Sharaei taur par to is ki koi muddat muqarar nahin hai. bas Miyan, Biwi or is Ghar wale jitni muddat (kam ya ziyada) chahen rakh sakte hain. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, mafhoom e maslah #4). [Updated on 16-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mene apni magetar se shadi se pehle sub kuch kya tha mutlb sex iska koi kafara hai ya nhi
Answer: 1: Mangetar apas men na mehram hain aur Nikah ke baghair kisi se sex (jinsi lazzat hasil) karna zina kehlata hai aur zina haram or gunah e kabira hai, aur is ka kaffara ye hai ke sachay dil se or nidamat ke sath is gunah ke liay tauba ki jaye aur aenda gunah na karne ka ehad karen. 2: Agar koi shakhs aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu Ehtiyat e wajib ki bina par zaani (zina karne wala) is aurat ke tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. (Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30.+ Tauzeeh ul masail, edition #42, Maslah #2364). (Note: Sharaei masalah to yahi hai jo bayan kiya gaya hai lekin is masale men Ehtiyat e wajib ki soorat bayan ki gaei hai wo is tarah se ke Ehtiyat e wajib hai ke zaani us aurat k tauba karne se pehle us se shadi nahin kar sakta. aur Ehtiyat e wajib men kisi doosre mujtahid ki taraf ruju kiya jaa sakta hai lehaza is Ehtiyat men kisi doosre mujtahid (Ayatullah waheed e khurasani) ki taraf ruju kiya jaye to aap ka nikah sahi ho jaye ga aur agar kisi doore mujtahid ki taraf ruju nahin na kya jaye to ka nikah batil ho jaye ga or dono ko alag hona pare ga or wo aurat wati ba-shubah ki iddat rakhe gi or is ke baad wo aurat tauba kare gi is baad ke us se nikah kar sakte hain). [Updated on 08-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri wife mere mamu ke beti he.hamari shadi ko 3year hogye he.or hamara 1bacha b h ab pta chala k meri wife ne meri nani ka doodh piya he.ab Quran ki roshni me hamara liye Kya hukum he.
Answer: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1)Bachene ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay 2) Ya Agar 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piaya ho ya 3) 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho tu phir ye larki is aurat ke baite se shadi nahi ker sakti. agar mazkoora tareekay mai sai kisi aik k mutaabiq doodh piyaa hai tou phir aapas mai mehram ho jaaye gay nikah haram ho jaaye ga warna nikah sahi hai. agar is baat me shak ho ke bacche ne itni miqdaar me doodh jo mehram banne ka sabab hai ya nahe pia hai ya gumaan ho ke is ne itni miqdaar me doodh pia hai tu baccha kise ka mehram nahe hota or shak ki surat me mamo ki beti aap ki mehram nahe bane ghe or us se shadi sahe hai (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2438,2461). [Updated on 13-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nikkah k baad bgar rukhsti k hamal ho jana jaiz hai??
Answer: Aqd e nikah ke zariye aurat, mard per aur mard, aurat per halaal ho jate hain (yani mian biwi wale talukat qaim kar sakte hai). Aur nikah k baad rukhsati hona zaroori nahin hai). aur mian biwi wale talukat qaim karne ki soorat men hamal ka ho jana jaiz hai.ye dono nikha k baad hasband o wife hain, lekin agar riwaaj ye ho ke jab tak ruksati nahi hoti us waqt tak larki apne aap ko apne shohar ke liye pesh nahi karti, is terhan ke is ko goya ik zimni shart samjha jata ho to phir orat per apne is shohar ki is muaamle main itaat wajib nahi hai. )Ref: Tauzeeh ul masal, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before Maslah #2328, pg #357, mujtahid se poche gaae sawalaat , part # 4 , masala # 149) [Updated on 13-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Agr main kisi se pyar krti hun or wo bhi kartay hain or dono ki niyat nikkah ki ho or dono baat kartay hon to is baray mai kia hukum hai?
Answer: Kisi mard or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat karna jaiz nahin hay. Haan aap faqat us ke ghar nikah ka paighaam bhej sakti hain or dua ker sakte hain. (Ref: Nigah aur libaas, Mafhoom e sawal #106, pg #69). [Updated on 02-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Kia shia larki or nurbakh shia larkay ka nikkah ho skta hai? Is main koi harj to nhi na or ghar walon ko manany k liye kia dalaaiel paish ki jaye?
Answer: Musalman, musalman ka kufo(equal, barabar), hai aur momin, momin ka kufo hai lihaza aik momina larki dosre momin larke se nikah kar sakti hai. Albatta agar Larki ko apne mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf ho or apne wazaaif ke anjam dene men rukawat banne ka khouf ho to wo us se shadi kar sakti hai lekin agar mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf nah ho ya apne aamal apnay wazife ki bina par anjam day sakne ka khouf bhi nah ho to jaiz hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1439, Part #3, mafhoom e maslah #215,221). (Note: Apne ghar walon ko manane ke hawale se zel men diye gaye Link ko visit karen. https://www.erfan.ir/urdu/76807.html ). [Updated on 02-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]