Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 15015
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualekum... biwi apne shohar se kitni baar nikah yani Shaadi kr skti h yani ek baar nikah kr k Phir dusri baar miya biwi kisi vjah s dusri baar nikah kr skte hain?

Answer: 1:agar phela nikah tamaam sharaait ke sath hoa hai tu wo nikah sahe hai dobaara nikah ki zarorat nahe hai .( or sahe nikah ke baad dobaara nikah karna chaaie koi haraj nahe ) 2: Agar nikah apni tamam sharaet ke sath howa ho to Nikah usi soorat mai khatam ho sakta jab shohar tamam sharaet ke sath apni biwi ko talaq day day. 3: Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar oski taraf roju kar lai ya usay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad roju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq k baad wo aurat is mard par haram ho jae gi. laikin agar choti bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hain jin ki pabandi karna zaroori hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition, maslah #2335,2341,2475,2491). [Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15027
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA ...muhtram...muje Muslim (Sunni) male ne nikah k liae proposal beja ha....or mere ghar wale b razi ha ...jb k larka ka apna business ha...muje kia krna chahiae Islam k daira main reh k

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafaria (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar shia larki ko apne shia mazhab ke tabdeel hone ka khouf na ho to sunni larke se shadi kar sakti hay. Laikin phir bhi larki k liye is larke se shadi karna makrooh hay. Aur agar shia mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf ho to shia larki k liye sunni larke se shadi jaiz nahin hai.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3 Maslah # 215). [Updated on 21-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15029
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u Alikum Sir mujhy ye puchna h Kia aik sued syedzadi sy shadi k bad kisi gair Syed zadi sy shadi KR skta hai agr pehli bv b usky nikah me ho ...Syed zadi ki sotan gair syedzadi ka bnna gunah ya Haram to Ni?

Answer: Aik se zaaid shadiyan karna riwayat ki roshni men mustahab hai aur doseri shadi karna makrooh nahin hai aur na hi koi gunah hai chahe pehli biwi syedani hi kiyon na ho. (Ref: Mujtahid say poochay gaye sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, sawal #105, pg #53). [Updated on 21-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15037
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA Ya Ali Madad mere sawal yeh Hain k Main shadi krna chahta hn Lakin kaisa pata chala wo larki achi hain or sharif hain

Answer: Riwaayaat ki roshni men shadi ke liye aisi aurat ka intikhab karna mustahab hai jo shareef khanwada se taluq rakhti ho or umda sifaat ki malika ho. Lihaaza Aap apne rishte ke apne waliden ya rishtedaron ko bhejen ke wo aisi aurat ko talash karen jis men achi sifaat paai jati hon or deendar o nekokar ho or Aam taur par bhi yahi hota hai waliden ( ya koi or ) rishta dekhne jate hain. (Ref: wasail-us-shia urdu, part #14, page #66,68). [Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15047
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: How to propose a girl for nikah ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Na-mehram say dosti jaiz nahi hay.Aik mard kisi khatoon say aisi batain kar sakta hay jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jab kay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota..Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125. ( aap kis ko us larki ke hay apne sath shadi ke lie pegaam bejwasakte hay) fiqh e jafferiya Nikah ki chand sharaet hen, jion ke begaire nikah sahe nahe hota jin men se aik yeh he ke larka or larki donon razi hon. or dono khud seegha parhen ya apne apne wakeel se seegha jari karwaen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #2334 to 2342. + Minhaj us saliheen part #3 maslah #70). [Updated on 17-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera bohat mann hota ha me kisi larki ke sat sex kero kiya me kar saktha hu bina shadi kare

Answer: Jee nahin, Nikah ke baghair kisi bhi aurat se sex karna zina kehlata hai aur zina karna gunah e kabira hai. (Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30). Agar shaadi na karne ki wajah sai haraam kam men mubtilaa hote hon hai tou aap k liye shaadi karna wajib hai or is soorat mai agar shadi na ki to gunah hoga or agar kisi haram kam ka men mubtilaa nahin hote hon to phir shadi karna mustahab hai. (Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul Masail, edition #42, maslah #2407). [Updated on 10-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15065
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assallamoalikum, me apne se 16 sal ki larki se shadi kar sakta hon or larki ki shadi 17 sal hoto shadi ho sakti he ya nahi

Answer: Jee han, Yeh shadi jaiz hai Q ke shadi men umr ki shart nahin hai. Faqat hambistri men yeh shart hai ke larki (chand ki hisab) se 9 saal poore kare, aur 9 saal se pehle hambistri jaiz nahin hai. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, mafhoom e maslah #8،60,61). [Updated on 09-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15075
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri pheli maa ki death ho gayi thi mera bap na dosri shadi ki kaya uski bhen sa meri shadi ho sakti ha dosri maa ki bhen sa

Answer: Suteli maan ki behen aap ke liye na mehram hai lihaza Aap us se nikah kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349). [Updated on 07-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15078
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shadi ghr walon ne zabar dsti karwai. Shadi ko 3 saal ho chuke hn. Lekin wife k sathh koi lagao nahi h pehle din se hi. Kbhi bat krne ko bhi dil nahi chahta. Kya usy PHR bhi rkha jaye sathh sharai tor pr Kya hukam h

Answer: (agar aap shuru se he nikah se razi nahe the or nikah ke baad bhi razi nahe hoe tu aap itne arse se aik namehram ke sath reh kyu rahe the) ,kyu ke namehram mard aur aurat ka tanhaai me aik aise jagha hona jaha ghuna me mubtela hone ahtemaal(chance) ho haraam hai or agar aap nikah pe kabhi bhi razi nahe hoe the or abhi bhi razi nahe hay tu aap ko us aurat se lag hojaana chaaie furan. or Agar us waqt aap khud raazi nahi the aur ab bhi razi nahin hain to nikah durust nahin hoga Q ke larka or larki dono ka nikah ke waqt raazi hona shart hai. lihaza agar larka ya larki men se kisi aik ko ya dono ko nikah par majboor kiya jaye to wo nikah durust nahin hota. lihaaza aap dono sharaei taur par miyan biwi nahin hain. Han agar aap ab razi ho jate hain aur ijazat de dete hain to nikah durust ho jaye ga. or jab aap raazi hojaate hay nikah pe tu aap ke upper jo aik shohar ke hawale se wajebaat bante hay us ko ada karna zarori hay . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #2335, point 5.maslano: 876) [Updated on 07-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15092
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam o alim agar koi shaks ksi shadi shuda larki sy zena krta hy pher kch arsy baad os larki ka talak ho jay to kia wo shaks os larki sy shadi kr sakta hy kia ?

Answer: Zina Gunahan e kabeera men se hai lehaaza lazim hai k zina karne wale allah sai tauba karain. Agar shadi shuda aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina kernay walay shakhs) par hamesha ke liye haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zaani (zina kernay walay shakhs) sai nikah nahin kar sakti hai chahe shohar use talaq de ya na de. Laikin shohar per haram nahin hogi. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul Masail, edition #42, maslah #2367). [Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!