Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 15096
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum, bade sharm aur afsos ke saath puchhna padh rahe k baar baar zina hojata h tauba bhi karta hu har baar lekin kya Allah aese zaani ko jannat me daakhil karenge?

Answer: 1: Sab gunah maaf ho saktay hain, Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk laazim hay. albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain. kyun keh Khuda kareen or meherban hay. or bakshnay wala hay. or tauba karnay walo ko doost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”. Koshish karain k khuch mufeed kamon main khud ko masroof ker lain jaisay sports, parhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar kare. Agar khud par qabon nah paa saktay hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon k muqabilay men dhaal ka kaam karta hai. 2: jo shaadi na karne ki wajah sai koi fail e haraam mai mubtilaa hota hai tou us k liye shaadi karna wajib hai or is soorat mai agar shadi nahin ki tou gunah hoga. 3: dosero ke saamne (apne ) gunaahu ka iqraar karna jaiz nahe hai.( ref: mujtahid se pouche ghe sawalaat ,hissa : 2 ,pg no: 88.sawaal no :223) (Ref: website Ayatullah sistani(d.b) ques #1, toba, https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2407). [Updated on 24-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15106
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Logo ki galat fehmi hai ke agar ek hi din behen or bhai ki shadi kre to khush nahi rehte wo is par koi hadees

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Kitab Masail-us-Shariya tarjuma wasail-us-shia, mukamal 20 jildi hai us men do jilden (14,15) nikah, talaq or in ke lawaheqaat ke bare men hai in do jildon men aisi koi Hadees nahin hai ke jis men aik din men bhai, behen ya do behnen ya do bhaiyon ki shadi karne ko mana kiya gaya ho. tasleelaat dekhne ke liye zel men diye gaye Link ko dekh sakte hain (Ref: https://archive.org/details/wasaileshiaurducomplete/MasailUsShariya14of20/ ). [Updated on 18-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15110
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia mera susar meri saas k marnay k baad meri bewa maa se shadi kar sakta hai?

Answer: Jee, wo dono aapas men na-mehram hain, or tamaam na-mehram ke Ahkaam un dono ke darmiyaan aaenge, aur nikah bhi kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349). [Updated on 13-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15116
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri fuffi ke beta ki beti matlab meri bhatiji to kya usse shaadi karna jayaz he

Answer: Phuphi ke bete ki beti aap ke liye na-mehram hai, or tamaam na-mehram ke Ahkaam us ke or aap ke dermiyaan aaenge, aur us se nikah bhi kar sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349). [Updated on 08-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15131
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum, mere husband ki doosri shadi hai wo aksar kabhi hum bethy ho to apni pehli bivi ki baat ker dety hain to mujhe bura lagta hai to mein b phir un ko keh deti hon k mein b kisi se pehly payar kerti the to aisa kerna jaiz hai?

Answer: Jins e mukhalif sai piyar o muhabbat karna jaiz nahin hai or isi tarah kisi dosre ke saamne apne Gunah ka izhaar karna bhi jaiz nahin hai, Lehaza aap ke liye ye jaiz nahin hai ke aap apne shohar ke samne apne ghunah ka izhaar karen. Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le. (Ref: Mujtahid se pouchey gaye sawalat, part #3, maslah #229). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) [Updated on 18-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15152
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ayk sunni talaq yafta ort hy wo main ayk dosre sy piyar krte hain or hm ne zina b kia hy ab us ka nikha ho gaya hy hm dono ne us k nikha k bad b zina kara hy, kia ab hm dono nikha kr skte hain agr wo phela nikha khtm kr dy q k abi us ki rukhsati nae hoi

Answer: 1: Zina karna haram aur gunah e kabeera hai lehaaza lazim hai k is gunah ki wajah se khuda sai tauba talab ki jaye. 2: Kisi merd or aurat k liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahi hay. 3: Agar shohar dar aurat zina kare to ehtiyat e wajib ki bina par zaani (zina karne wale shakhs) par hamesha ke liay haram ho jati hai lekin shohar par haram nahi hoti, lehaaza zaani (zina karne wala) ehtiyat e wajib ki bina zaania (jis ke sath zina kiya gaya ho) se nikah nahin kar sakta. 4Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le. (Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Masalah #30.+ Nigah aur Libas, Mafhoom e sawal #106, pg #69.+ Tauzeeh ul Masail, Edition #42, maslah #2367, 2407). [Updated on 25-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15174
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kaya meri shadi meri sotaly khala sa ho sakti ha meri ma ki death ho gayi thi mera bap na dosri shadi ki meri dosri ma ki bhen sa meri shadi ho sakti ha please jaldi reply karin

Answer: Jee han ho sakti hai Q ke wo aap ki khala nahin hai balkeh wo aap ke liye na mehram hai lehaza aap ka us se shadi karna sahi hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2349, + Minhaj us Saleheen, part #3, maslah #90). [Updated on 01-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15191
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Chachere mama se nikah kr skte h

Answer: Jee, wo aap ke liye na-mehram hai, or tamaam na-mehram ke Ahkaam us ke or aap ke dermiyaan aaenge, aur us se nikah bhi kar sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2349). [Updated on 07-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15192
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ladki ka uski maa ke khala ke ladke se nikah kr skte h

Answer: Jee han, kar sakti hai. Q ke aik larki ki maan ki khala ka beta us larki ka na-mehram hai aur na-mehram se hi nikah kiya jata hai. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2353). [Updated on 04-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15193
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Jis din nikkah kea hou. Ushe din nikah k baad walima krna jaiz hai? Yani rukhsati sy pehlay walima jaiz hai?

Answer: Waleema karna aik mustahab amal hai aur ye zafaf se pehle ho ya baad mai ho is se koi farq nahin parhta.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Maslah #4). [Updated on 04-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!