Question: Aoa. Jis din nikkah kea hou. Ushe din, rukhsati sy pehlay walima krna jaiz hai?
Answer: Waleema karna aik mustahab amal hai aur ye zafaf se pehle ho ya baad mai ho is se koi farq nahin parhta.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Maslah #4). [Updated on 04-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alikum Mera sawal ye hai ke lerki ka apni khala ke shoher se nikah jayez hai ya nahin. Khala wafat pa chuki hain or un ki olad mojod hai is sorat min Ayatullah Sistani sahb ki kehte hain?
Answer: Jee han, Jaiz hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e maslah #2356,2357). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum... Mera sawal ye hai ki kya Ek behen ki shadi bhai ke waleeme wale din hoskati hai ya nahi??? Isse un dono ke future pe koi farq to nahi padega??
Answer: Jee han, Is tarah se shadi ho sakti hai Q ke nikah ki sharait men aisa kahin nahin likha howa ke waleeme ke din koi aur nikah nahin kar sakte. or is se dono ki shadi men koi asar nahin parhta. (Ref: Tauzaah ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia shohar biwi ko maiky jaany se rook sakta hai?? Dosra mery shohar ko hafty bad main maiky jany ka kahoun to kehty hain pehly aapi se pocho.. Kia ye theek hai k aik biwi jo sirf maiky jaati ho issey roka jaaye?? Plz jaqab zaroor dejye ga..
Answer: Shohar biwi ko ghar se bahar jane se rok sakta hai. Albbatta mard ke liay munasib hay k apni biwi ko ijazat day k wo apne rishtedaron se mulaqaat karay. Aur dusri bat ye ke agar shohar ijazat de deta hai to us ki behen se poochne ki zaroorat nahin hai Q ke ghar se bahir jane ki ijazat shohar se lena zaroori hai us ke ghar walon se lena zaroori nahin hai.(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #337,338). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Pakiza Aurat Zina sy tauba kiye hoe mard sy shadi kr skti ha? Please help!
Answer: Jee han, kar sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42,Mafhoom e Maslah #2364). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Kya koi riwayat yeh batati hai k agar biwi ko shohar ki doosri shadi se shadeed aziyat ho tou shohar doosri shadi na kare?
Answer: wsalam. shohar apni marzi sai doosri shaadi kar sakta hai siwaye yeh k pehle nikah mai shart rakhi gayi ho k doosri shaadi par biwi sai ijazat leni hogi.(Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part# 3, sawaal# 105,pg# 53) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia khalo se shadi jaiz hai, Or agr koi orat apne khalo se shadi kre or uske bache ho to kia unke bacho ka jaiyedad me haq hoga?
Answer: Aurat ka apne khaloo se nikah karna jaiz hay or is nikah se jo bache paida hoon gay wo meraas mmain bhi hissa paeen gay. (Ref: Minhajus saliheen sistani, maslah#155-228, 988-1005) [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA sir aghar mardana kamzori ho tou shadi krna jaazz hai yah ni kindly guide
Answer: Nikah mustahab e maukadah (jis mustahab ki bohat takeed ki gae ho) hey or ahadees main nikah ki taraf targheeb dilae gae hay or kaseer ahadees main is k tark kernay ki muzammat ki gae hay. Jab koi shakhs shadi na kare aur shadi na karne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho tab to nikah karna wajib ho jata hai. (Ref : Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, pg #7), + Tauzeeh ul masail, maslah #2407). (Note: Is marz ka ilaaj maujood hai, jinsi ilaj k liay is link per click karain: johar homeo care – Johar Homeo Clinic https://joharhomeoclinic.com/johar-homeo-care/ ). [Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr apkn nhi pta sharab peeena sa nikah nhi hota or ap na peee hn Kya bd ma toba kr ka 40 din sa phela nikah hn ga ya nai ?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Sharaab peena haram hai or Baaz Ahadees men ise gunah e kabeera bataya gaya hai. aur riwayaat mai yahan tak moujood hai k 40 din tak sharaabi ki namaz qubool nahin hoti, Albatta namaz parhna phir bhi wajib hai or Khuda, farishte, ambiyaa or momineen us par laanat bhejte hain( or us ko allah se sacche tuba karne chaie). lekin in 40 dino ke andar nikah kar sakta hai or nikah ho jata hai.(yani is ki waza se nikah me koi faraq nahe perhta ,nikah hosakta hay.) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2596,2335). [Updated on 13-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia larki khud wali bana sakti ha nikah kay liya
Answer: Larki ka wali baap ya dada hote hain aur nikah waqt in dono men se kisi aik se ijazat lena zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #2341). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]