Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 15298
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar larki kay walid ko bina bataya nikha kr lain or unkay razi honay ki umeed ho to kia nikah ho sakta ha . Kukay larka sayed ha or ameer bhe ha to walid inkar bhe nhi karain gay.

Answer: Nikah me larkay or larki ke razi honay k saath saath kunwari larki k baap ya dada ki ijazat bhi zaroori hai un ki ijazat k baghair nikah durust nahin hoga. aur shadi k liye larkay ko apne walid ya ghar walo sai ijazat lene ki zarorat nahin hay. kanwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirf ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho. agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kanwari hi kehlaay gi.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2328,2341. + Minhaj us Saliheen, part #3, maslah #70). [Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15302
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alaikum mara sawal ha agar ruksati sa pahlay talaq day di jaye hoah o hawaz ma to kaya dobara ussi larki sa nikkah ho sakta hai ease

Answer: Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. 2: Agar shadi k baad aur talaq se pehle hambistari nah hoe ho tu phir biwi ke liye koi iddat nahin hai, lekin Agar hambistari hoe ho tu iddat rakhni hogi aur biwi ko itni muddat tak sabar karna hoga k biwi ko 2 baar haiz aye or phir pak ho jaye or jese hi teesra haiz ayega to biwi ki iddat khatam ho jaye gi phir aap us se dusra nikah kerna chahain to kar sakte hen. 3: Agar hambistri say pehly talaq ho jaey to is halat men mahr ka nisf half biwi ko dena hota hay agar pehly hi poora mahr day chuky hen to bivi ko chahiay k nisf mahr wapas day.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2475.+Minhaj us Salaheen, part #3, mafhoom e maslah #309). [Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15315
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ek kunwari ladki se zina ho jae or uska Haiz 4-5mahine mein aata ho 1-2din hi haiz aata ho to kya wo kisi or mard se shadi nahi kar sakti plzz reply m bhot jada pareshan hu Mera haiz 5-6 baar aa chuku hai to mein shadi kar sakti huna

Answer: Nikah ke baghair kisi bhi mard or aurat ka sex (jinsi lazzat hasil) karna zina kehlata hai aur zina gunah e kabira hai lehaza us ke liye zaroori hai ke pichlay gunah k liay tauba karey aur aenda gunah na karne ka ehad karey. aur shadi karna chahe to wali(baap/dada) ki ijazat se shadi kar sakti hai, (Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30.+ Tauzeeh ul masail, edition #42, Maslah #2364). [Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15326
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr baap dusri shadi kr le to pehli wali ma se jo ulaad hy use kia krna chaye ? Kia apji maa k liye baap k hilaf jana chaiye?

Answer: Islam men Mard par 4 shadi karna jaiz hai, chahay uski biwi ijazat nah bhi day.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #202). Aik musalmaan biwi ko apne shohar ko dosri shadi karne se nahi rokna chahiye Q ke Riwayat ki roshni main mard ka aik se ziyada shadiyan karna Allah Taala ko pasand hai.(Ref: Nigah aur libas, sawal #106, pg #69). (Note: pehli biwi ki aulad ki koi zimmedar nahin hai un ko kisi cheez ke karne ki zaroorat nahin hai or wo walid ki is masle me mukhaalfat karne ka haqq nahe rakhte ). [Updated on 02-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15327
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar aik mard orat se mohabbat karta hai to wo guse mein aakar usse bura bhala kiun kehta hai hamesha uske kirdaar ko kiun galat sabit karta hai

Answer: Kisi namehram say mohabbat krna jaiz nahi hay q k ghunah may parhnay ka khof mojood hay. Ref : Website ayatollah sistani d.b. ques no 10 topic internet, http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1739&page=1&perpage=10)Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) [Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15346
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi larki ka nikkah hojaye ar bad main larka inkar kar day kay wo larki uski bv hy ar koi saboot bhi na ho kay wo uski bv hy ar kahin gaib hojaye larka tw asy main us larki ko kia karna chahiye???

Answer: is masle main aap kisi aalim deen k paas jaa kar mukammal tafsilaat bayan karain, phir wo aap ka ka maslah hal ho sake ga. [Updated on 20-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15353
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya syed ki shayed geir syed se hosakti hai imam ke hawale se bataye sir

Answer: Musalman, musalman ka kufo(barabar), hai aur momin mard momin aurat ka kufo hai isi liye syeda shia aurat ka nikah ghair syed shia mard k sath jaiz hai aur isi tarah gair syeda shia aurat ka nikah syed shia mard sai ho sakta hai. Hazrat Rasool Akram(s.a.w.w) ne miqdaad bin aswad jo ghair syed the, in ki shadi apni chacha zaat behen zabaeah binte zubair bin abdul muttalib (jo syedani thi) se ki thi. or Rasool Akram(s.a.w.w) ki phuphi ki beti zainab jo syeda thi in ki shadi zaid (jo ghair syed the) se hoei thi.(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistan(d.b), part #3, maslah #221, + Wasaail-us-shia, jild #14, pg #81,82). [Updated on 01-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15370
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia shohar apni 1 biwi se 4 nikkah karsakta ha

Answer: Pehla nikah hi durust kehlaaye ga baaki nikah dummy nikah honge us ki sharai haisiat nahi hai kyun k faqat pehle nikah mai hi qasde insha kia gaya hai baki 3 mai is soorat mai k woh pehle sai biwi hai tou qasd e insha sahi nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 20-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15372
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujay ya jan haii ki meri mangani ho chuki haii or hum apas ma batain kr rahy hain or miltay b hain jo ki jaiz nahe haii. Ma ic haram say bachany ka lia kia hum dono khud nikkah par saktay hain q ki ghar wala 3 saal baad nikkah krwana chahtay hain?

Answer: Larkay or larki k razi honay k saath saath Larki k wali (yani baap ya dada) ki ijazat zaroori hai un ki ijazat k baghair nikah durust nahi hoga. Q ke Baligh larka maan or baap ki ijazat k baghair nikah kar sakta hai. lekin wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali baap ya dada ki ijazat zaroori hai or agar larki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali baap ya dada ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #68. + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, maslah #2328,2341). [Updated on 27-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15376
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meraa sawal y h larka or larkii Apna relationship nikahh krr k halal Karna chahty LAkin woo Dono abii sex orr kooii b rasam nhii krnaa chahty kyaaa is trhaa nikahh qabool ho sktaa ??

Answer: nikah ki kai sharait hain jese nikah k seegahy arabic mai parhay jaayen, larki k wali (baap ya dada) ki ijaazat hona zaroori hai.. is k ilawa or bhi kai sharait hain in sharait ko poora kiye baghair aik larka or larki aik doosre par halaal nahi hote.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2335). [Updated on 22-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!