Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 15385
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I'm a girl. Mera ye question hai k main agar shadi ni krti kisi reason ki waja say to ALLAH mujj say naraz to ni ho jaye gay?

Answer: Agar aap Shaadi na karne ki wajah sai koi Fail e Haraam mai mubtilaa hongi tou aap ke liye Shaadi karna Wajib hogi lehaza is soorat mai agar Shadi nahin karen gi tou aap Gunahar hongi lekin agar aap kisi Haram Fail ka irtikaab nahin karen gi tou phir aap ke liye Shadi karna Mustahab Takeedi hai lehaza is soorat mai agar Shadi nahin karen gi tou Gunahar bhi nahin hongi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2407). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15389
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hai ke meri umar 17 saal hai or mai shadi krna chahta ho lekin is umar mai koi rishtay nhi dega or mujay galat kaamo mai padnay ka khof hai or mujh se sabr ya roza nhi rakha jaa rha meherbani farma kr meri rahnumayi farmye

Answer: Larkay ki shadi ka wazifa:- agar koi shakhs surah e aale imran ki ayat #73,74 ko likh kar bazo par bandh lay or kisi larki ko nikah k liay paigham bheje tu Inshallah paigham manzoor ho jaey ga or qasid kamiyaabi k sath wapis aay ga.(Ref: Naeem ul amaal, pg #326,327). Jo shakhs shadi na karnay ki wajha se haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masayl, Maslah# 2407 [Updated on 28-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15394
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar larka larki razi hon nikha ky liye or larky ka baap razi nh ho to kia unko bina bataye nikha kar sakty hain

Answer: nikah me larkay (boy) or larki ke razi honay k saath saath agar larki (girl)kuwaare ho ho k baap ya dada ki ijazat zaroori hai un ki ijazat k baghair nikah durust nahin hoga. aur shadi k liye larkay ko apne walid ya ghar walo sai ijazat lene ki zarorat nahin hay. aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajeh kia jata heAgr waldain ka hukm & rook took aulad say shafaqt (mohabbat) ki waja say ho aur iski mukhalfat say inhain aziyyat hoti ho to aulad par unki mukhalafat haram hay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2341, 1387) kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. Mazeed ye k court marriage kerna sahi nahi.kun k court marriage main nikah ki jo shrait hain on per amal nahi hota.maslan nikah k sighay (bool) arabi zaban main perhna waghirah. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70). [Updated on 27-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15395
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سر میں نے اپنی بہن سے غلط کام کیا اس سے زنا نہیں کیا لیکن اسے کیس ہاتھ وغیرہ پھیر کر خود کو فارغ کرتا رہا ہوں میں اب توبہ کر چکا ہوں کیا میری توبہ قبول ہو جاے گی کیا وہ نیری بہن نہیں رہی پلیز گاہیڈ کیجیے

Answer: Behen mehram hai aur mehram k sath jinsi lams bager jima (Intercourse) k zina nahin hai laikin yeh amal haram aur gunahan e kabera hai. lekin is se wo behen ke rishte se nahin nikle gi yani wo behen hi rahe gi. Albatta aap par laazim hai k sachay dil se tauba karein or tauba ka sahi mafhoom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Mafhoom e Maslah #155.+Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2401. + (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) (Note: Agar aap ne is tarah se tauba ki hai to yaqeenan khuda wand-e-mutaal Ghafoor-o-Raheem hai aur apne bandon ko muaaf karne wala hai aur yaqeenan aap ko muaaf karega). [Updated on 27-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15398
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Relationship Mai wada Karke toor diya tou gunnah hai or usai samnai walai ka dill dukha ho

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Sab se pehli baat to ye ke Shadi se pehle namehram se is trah ke Relationship rakhne ki shariyat men ijazat hi nahin di hai aur ham is men ye kahen ke is men wada kiya gaya phir tora gaya phir kahen is se gunah hoga ya nahin ye to buhat door ki baat hai.(Ref: Jadeed Fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #439,467).Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) [Updated on 28-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15405
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr baap dada zindga na ho or ladki ki sar prsth uski ma ho or ladki nai maa sai puchay baghair sigha kr lia ho toh kiya yae sigha qabil e qabul hai sahe hai ya batil hai.

Answer: Agar kunwari larki ka baap or dada zinda na ho tu phir nikah k liay kisi se ijazat lene ki zarorat nahin hay lihaza mah se ijaazat lena zaroori nahin hai aur maah ki ijazat ke bager bhi nikah ho sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Mafhoom e Maslah #2341). [Updated on 26-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15407
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum sir ma na Choti bachi sa apni hajet pori ki h.ma na us ki sharmgha ma Apani sharmgha ni Dali lakin us ka jism ka istamal kia h hawahish pori kerna ka Liya .kia ya Zina h? Aur Kiya mujhay us sa Mafi mangni chahiya.

Answer: Ye zina to nahin hai kyu ke us larki ki sharamgha me uzutanasul dakhil nahe hoe hai lekin is tarah apni khuwahish poori karne se gunah zaroor hoga aur zaroori hai ke allah se tauba talab ki jaye. (Ref: mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66, + kitab nigah aur libas, pg #31,58). Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) [Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15411
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mer nikkah jis admi se hone wla hai usnay zina kar lia kisi larki kay sath ab wo maafi b maang rha hai. Kia main usse shadi ker loon ? agr baad mai b ni chori ye adat to kia hukum hai islam main.

Answer: Nikah ke baghair kisi bhi aurat se sex karna zina kehlata hai aur zina karna gunah e kabira hai lehaza us ke liye zaroori hai ke pichlay gunah k liay tauba karey aur aenda gunah na karne ka ahad karey. aur aap ka us se nikah karna sahi hai albatta wo is gunah ko baad men bhi anjam dega ya nahin to is bare men us ko naseehat ki jaye ke gunah na karey Q ke zina kabira gunahon men se hai.(Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30). [Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15412
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ek syed shia larki ek gher syed sunni larky sy nikkah kr skti dalel lasmi dy dena plz relp jldi krden

Answer: Shia larki(syed, ya gair e syed) ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho or nah hi apny wazaif ke anjam deny men rukawat banny ka khouf ho to wo sunni larkay se shadi kar sakti hai lekin makrooh hay, aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazifay ki bina pr anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahin hai.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #215). [Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15415
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera app sy ya sawal ha ky kia ma mangni ky Baad apny fiancé ka haath pakar sakta hon??

Answer: Nikah sai pehle mard aur aurat aik doosre k liye na mehram hai lehaza na mehram ko choona jaaiz nahin hai.(Ref: Jaded fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), masalah #259). (Note: Mangni ka islam men koi aytebar nahin hai, jab tak aap ka nikah nahin ho jata hai tab tak aap dono ka kisi qism ka relation rakhna haram hai, q k aap ki mangetar bhi dusri auraton ki tarah jab tak nikah nahin ho jata, wo bhi aap k liye na-mehrm hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Sawalat or jawabat 10 marajaye kiram k fatawa k mutaiq, pg #31). [Updated on 26-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!