Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 15458
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia nehes tareekh mai valima karna jayz hai?

Answer: Jaiz hai.(Ref: Minhaj us Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #5) [Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15461
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe yeh sawal puhchna tha apne husband sai hum kitni dafa nikkah kr skte hai jaise abhi hum dosri dafa nikkah krna chahay phele nai sahi say ho paya tha event wgra toh kar skta ha dosri dafa ??

Answer: ( shadi ke program or events ko dobara kia dasakta hay ya use bare paimane per kia jasakta hay deen or shariat ki pabande karte hoe ,masalan us prograam me mixes grathering na ho ,haraam gane na bajaey jaay aurate be pardah na mehram ke saamne na aahe or namehram mardo se aurtain photograhapi ,movi na baanwaahe ,kise lady se banwasakte hay ) Miyan biwi ka doosra nikah kia jaa sakta hay agarcheh pehla nikah sahi hone ki sorat main is doosre nikah ki koe ehmiyat nahin hogi, aur is ke pehle nikah ke sahi hone ki sorat me koi sharait nahin hain. lekin agar pehla nikah hi sharait ke sath nahin huwa tha to pehla nikah sahi shumar nahin kiya jaye ga, Aur is soorat me miayn , biwi ke taluqaat qaaim karne ke liye dobara nikah karna zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 14-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15483
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ameer aurat ka gareeb mard sai nikah ho sakta hai? Can rich woman marry poor man?

Answer: Nikah ke liye Islam men ameeri or ghareebi ko koi tarjeeh nahin di gaei, Islaam faqat ye taleem deta hai ke muslman mard muslman aurat ka kufu (equal, barabar) hai aur momin mard momin aurat ka kufu hai, isi liye Islam mai aik musalman ki doosray musalman sai shadi ho sakti hai, lihaaza is men ameeri or ghareebi ka koi amal dakhal nahin hai. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, mafhoom e maslah #221). [Updated on 15-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15488
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam mera sawal hai nikkah ke waqt agar larki ke wali yani walid sahab qabool hai bolen tou nikkah hojye ga ya larki ka bolna lazim hai?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq agar Larki ke wali (baap ya dada) ne tamaam sharaait ke sath nikah ke seeghe ada karne se pehle larki ko nikah ki ijazat de di thi or larki ki marzi maloom kar li thi or ijazat bhi de di thi to ab nikah ke seeghe ada karte waqt larki ka "qabool hai" bolna zaroori nahin hai or nikah sahi ho jaye ga or wali ka "qabool hai" bolna bhi zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2328,2335,2341). [Updated on 24-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya beti ho ya behn uska shdi krna zaroori hai agr ldki shdi krne nhi mang rahi hai toh kya zindagi bhar bina shdi k ussey rkh skte h usme koi gunha nhi hai or shdi krna ldki k liye zaroori h toh ap bata skte h quran mai konsi aayat ya surah mai likha hai

Answer: Nikah karna bazaat e khud wajib nahin balke mustahab e takeedi hai (yani jis ki buhut ziyada takeed ki gayei ho) lekin agar shaadi na karne ki wajah sai kisi haraam kam mai mubtilaa hoti hon to un k liye shaadi karna wajib hai or is soorat mai shadi nahin ki to gunah ho gi or agar kisi haram kam ka mein mubtila nahin hoti to phir shadi karna mustahab hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2407). [Updated on 23-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15498
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Larki k bahi shadi k leye razi nai ho rahy aun ko razi karny ka koi aisa wazifa k wo khud bolan shadi ka

Answer: Kunwari (virgin) larki jo khud mukhtiyar nah ho tu wo us waqt tak nikah (daimi / mutah) nahin ker sakti jab tak larki ka wali (Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day or jo larki khud mukhtar ho wo ehtiyaat e wajin ki bina pr yehi hukum hy k apny walid ya dada se ijazat le, Albatta maan ya bhai se ijazat lena ya raazi hona zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2341). [Updated on 23-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15516
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hum kese shadi shuda ort se nikkah ki khwish rakh skty hain or dua nyn mang skty hai.

Answer: Agar koe aadmi kisi aurat ko warghalaay k wo apne shohor se muta,alliq azdawazi zimmedariyaan pori nah karay takeh is terah shohor ose talaq daine per majbor hojaay or wo khud os aurat k saath shadi ker sakay tu talqa or nikah sahi hay.Laikin dono ne bohot berha gunah kia.(yani aurat or os ko behkane walay ne). Note: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #2502. + kitab nigah aur libas, ques #106, pg #69). [Updated on 28-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15518
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia mamo Mr jany KY bd oski biwi geer ho os sy nikha Jaz h ya ni h

Answer: Mumani (mamo ki zauja) na mehram hoti hai yahan tak ke mamo ke nikah ke dauran bhi na mehram hoti hai, or mumani ki iddat mukammal hone k baad un sai nikah karna bhi jaiz hai Q k wo na-mehram hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2481,2349). [Updated on 28-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15522
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aik lrki jo k raazi nhee thi os k sath 3 4 br zina kea gya wo kafi mheenu sy pareshan hai ur Allah sy maafi b maang le pr kea agr oska kise ur mrd sy ab nikah ho jye tu kea osk prdy phir sy bn chuky hungy?

Answer: Jis aurat ki shadi na hoi ho or kisi or tareekay sai bakarat zaail (khatam) hogai ho tub bhi wo kunwari shumar hogi or wali (baap ya dada) ki ijazat sai hi us ka nikah durust hoga. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0734/). (Note: Agar kisi wajah se parda e bakarat zaail ho gayei ho to dobara khud ba khud seal band nahin hoti siwaye ye ke doctor se ruju kiya jaye ya koi medicine li jaye ). [Updated on 04-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15528
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya kum amadani wale murd ko nikah nahe Karna chaheya

Answer: nikah ke sahe hone me ye zarori nahe hay ke shohar ,biwi ke naano nafaqa dene per qudrat rakhta ho.( yane agar wo faqeer bhe hay tu bhe nikah karsakta hay or us ka nikah sahe hoga)albatta biwi ka naano nafaqa geza,rehaash, or zindaghe ki baqe zaroriyaat shohar per wajib hay .agar shohar ihe cheezo ko nahe deta ya dene ki qudrat nahe rakhta tu wo ,biwi ka maqrooz hay. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, mafhoom e maslah #216,tuiziualmasail,aqa sistani.masla 2376). [Updated on 06-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!