Question: AoA Sir kya Brother in Law Sala ki bati sa nikka jaiz ha jabka Brother in law ki behan be nikka man ho
Answer: Biwi ki ijazat se jaiz hai lekin agar biwi ki ijazat nahin to nikah bhi jaiz nahin, Q ke Insaan apni biwi ki ijazat ke baghair us ki bhatiji (yani biwi ke bhai ki beti) ya bhaanji (yani biwi ki behen ki beti) se shaadi nahin kar sakta laikin agar shohar, biwi ki ijazat ke baghair un se nikaah kar le aur baad mein biwi ijazat de de to phir koi ishkaal nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2357). [Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I am shia muslim Which kind of girl can i merry? Please details !
Answer: Mard ko chahiye k jis aurat sai shadi karna chahta hai os me un sifaat aur khososiyaat ko pesh e nazar rakhay jo aik misali khatoon me honi chahiyen jo pak daman, shareef ul asal aur naik ho aur dunyavi aur ukkravi muamilaat me shohar ki madad gar sabit ho. Mard k lie ye munasib nahi he k biwi k intikhab me is ka metmae nazar sirf is ka zaaheri husn o Jamaal aur maal o dulat ho. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #386, pg #232). [Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya soteli beti se nikah ho sakta hai is se pehle mai apni biwi ko talaq de kar
Answer: Agar soteli beti ki maan ke sath shadi karne ke baad us se jima bhi kia hai to soteli beti sotelay baap ki mehram ho jaati hai aur mehram ke sath nikah karna haram hai. lekin Agar soteli beti ki maan ke sath shadi karne ke baad us se jima nahin kia to biwi ko talaq dene ke baad soteli beti se nikah ho sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2351,2352). [Updated on 21-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kaya aik musalman larka aik christian larki ay shadi kar sakta hy? Please explain the question with detail.
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq Ehtiyaat e lazim ki bina per Esaei(christian) aurat se nikah daaimi ( permanent marriage) nah kia jaey. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2362). [Updated on 22-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASSALAM O ALAIKUM.. MERI COUSIN KI TALAQ KO 5 SAAL HO GAYE HAIN AB USKA SHOHAR US SE RUJU KARNA CHAHATA HAI TO ISKA KYA TAREEQA HAI?? 1 SAWAL OR K 3 TALAQEN HONAY KA KYA MAQSAD HAI??
Answer: 1: Jis tarah pehla nikah hua tha usi tareeqe se dobara usi mard yani sabiqa shohar se nikah kar sakti hai. or nikah ke tareeqe or sharait men koi farq nahin hai siwae ye ab mard ko us aurat ke wali (baap, dada) se ijazat lene ki zaroorat nahin hai. jabke agar koi shakhs kisi aurat se pehli martaba nikah kar raha ho to us ke wali se ijazat lena zaroori hota hai. 2: Agar pehla nikah apni tamam sharait ke sath howa ho to pehla Nikah usi soorat mai khatam ho sakta jab shohar tamam sharaet ke sath apni biwi ko talaq day day. 3: Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar os ki taraf roju kar lai ya usay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad ruju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq ke baad wo aurat is mard par haram ho jaye gi. laikin agar chauthi bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hain jin ki pabandi karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition, maslah #2335,2341,2475,2491). [Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: السلام علیکم jaise ke kisi ke ghar inteqal hua he to us ghar me kitne mahine baad kisi ladki ki shadi ka hukm he
Answer: Sharaei taur par is ki koi had mauyyan nahin hai or kabhi bhi kar sakte hain Q ke nikah karna bhi aik mustahab amal hai. or wese aam taur par jis ghar me kisi ka intiqaal hua ho to us ghar me teen din tak sog ki kefiyat hoti hai or is baat ko mustahab shumar kiya gaya hai mayyit ke ahl e khana ke liye teen din tak khaana bheja jaye, lihaaza sharaei taur par in dino ke baad nikah ka ehtimaam kiya jaaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #622) [Updated on 11-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya ap bata sakte he me apni BV ki saghi Khala Se Shadi Kar sakta Hun Wo Widow he mene unke bachon ko sahara dena he
Answer: Jee han, Aap apni biwi ki sagi khala se nikah kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, edition #1443, Maslah #85). [Updated on 11-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bivi agar fout ho jaye to shobar kitne din bad dusra nakah kar sakta hai
Answer: Sharaei taur par is ki koi had mauyyan nahin hai or kabhi bhi kar sakte hain Q ke nikah karna bhi aik mustahab amal hai. or wese aam taur par jis ghar me kisi ka intiqaal hua ho to us ghar me teen din tak sog ki kefiyat hoti hai or is baat ko mustahab shumar kiya gaya hai mayyit ke ahl e khana ke liye teen din tak khaana bheja jaye, lihaaza munaasib hai ke in dino ke baad nikah ka ehtimaam kiya jaaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #622). [Updated on 19-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kisi shadi shuda aurat ki sharmgah dekhta h koi ger mard to kya us aurat ka nikah toot jata h?
Answer: Jee nahin, Is se nikah khatam nahin hota, Agarche is tarah amal jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #2462 to 2475). [Updated on 26-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: maine apni Nani ka doud piya hova ha. ab wo khala meri sister bi hai kia main apni khala ki larki k sath shaadi ker sakta hun
Answer: 1: Agar koi Aurat (yani aap ki naani) apni beti k bache ko (matlab apne nawase ya nawasi ko) pura doodh pilaye (un sharton k sath jo mehram bannay k liye zarori hain) to wo beti (yani aap ki maan) apne shohar (yani aap ke baap) par Haram hojaye gi. or aap bhi apni khala ki beti se shadi nahin kar sakte. 2: Bache ko doodh pilane ki sharaait: Bache ko doodh pilana jo mehram banne ka sabab banta hai us ki aath(8) sharten hain: 1. Bacha zinda aurat se doodh piye. 2. Aurat ka doodh fail e haram ka natija na ho. 3. Bacha pistan se doodh piye. 4. Doosd khaalis ho aur kisi doosri cheez se mila howa na ho. 5. Doodh aik hi shohar ka ho. 6. Bacha kisi beemari ki wajah se doodh ki qay(vomit) na kar day. 7. Bache ko is qadar doodh pilaya jaye ke bache ki hadiyan is doodh se mazboot hon or badan ka ghost bhi bane. 8. Bache ki umr(age) ke do saal mukammal na howe hon. In tamam sharaait ki taseelaat maloom karne ke liye diye gaye link ko visit karen Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/25323/ 3: Doodh pilanay se mehram banay k teen miyaar hain: 1. Bache ne is had tak doodh piya ho k awaam ki nazar main gosht banaay or haddiyaan mazboot hone ka sabab banay. 2. 24 ghante k doran is bache ne kisi or ka doodh nah piya ho. 3. 15 martaba musalsal isi aurat ka doodh piya ho. Agar in tamam sharait ko madde nazar rakhte hoye bache ko doodh pilaya jaye to aap dono mehram ho jaye gay warna nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2436,2438,2439). [Updated on 30-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]