Question: Sunni maulana agar nikah parhayen tou wo shia mazhab mein jaiz hoga? ya shia maulana se nikah krwana prega dubara
Answer: Jee nahin, jaiz nahin hoga balkeh lazim hay ke nikah har sorat main shia tareeqe ke murabiq hi parha jaey Q k faqat shia tareeqe ke murabiq hi nikah sahi shumaar hoga. is liye ke sunni nikah main wo sharait nahin hoti jo aik shia nikah k liay zaroori hain. Aur Sunni nikah karnay ke baad larki halal nahin hoti, lehaza larkay aur larki ka ais dosre ke liye halal hone ke liye dobara shia tareeqe ke mutabiq nikah parha jaye. (Ref: Tauzaaeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42,Maslah #2328,2335). [Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ak talaq shuda aurat moharam mai aqde muwaqat kar sakti hai agr usko haram mai mubtala hone ka dar ho aur kya us mai wali ki ijazat ka hona zaroori hai ak talaq shuda aurat k liye
Answer: 1: Jo aurat talaq yaafta ho or us ke shohar ne us se hambistari bhi ki ho, to us ko nikah e daimi ya mutah karne ke liye kisi se ijazart lene ki zaroorat nahin hai. 2: Ayam e aza me ye kam sharan Haram nahin hai jab tak ke is se ayam-e-aza ki hitk-o-hurmat na hoti ho jaisa ke roz-e-aashora khushiyan manana aur zaib-o-aaraaish karna, Albatta munasib yeh hai ke Insan ahl-e-bait (a.s) ke ayam-e-museebat men har us kam se ijtinab kare ke jo kam aam taur par wo apne ahbaab ki museebat men anjam nahin deta magar yeh ke urfan zaroori kam ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2342. + Website, Ayatullah Sistani(d.b), urdu, link https://www.sistani.org/urdu/qa/02434/ ). [Updated on 12-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: طلاق کے بعد یا شوہر کے مرنے کے بعد کیا سوتیلی ماں جو کہ اب بیوہ ہے سے نکاح جائز ہے ؟
Answer: Jaiz nahin hai Q ke baap ki zouja (yani soteli maan) mehram hoti hai or us se nikah karna Haram abadi hai. (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part #3, ques #129, pg #63. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Maslah #155). [Updated on 08-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: طلاق کے بعد یا شوہر کے مرنے کے بعد کیا سوتیلی ماں جو کہ اب بیوہ ہے سے نکاح جائز ہے ؟
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 08-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mein ak muslim larka hn aur mujhe ka syeda pasand hain wo jaffari syed hain aur shia hain toh kiya mera ussay nikkah hosakta hai mein nassebi nahi hn muhabay ahle baat (SAW) please rehnumai farmaa dein
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar shia sayeda larki ko apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho or nah hi apny wazaaif ke anjam deny men rukawat banny ka khouf ho to wo sunni larkay se shadi kar sakti hai lekin makrooh hay, aur agar shia mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazifay ki bina par anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahin hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #215). [Updated on 08-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: If an unmarried man and woman have intercourse several times knowing it's a sin. But than they want to repent and get married. Are they Halal for each other?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain ). 1: Agar koe shakhs aisi bay shohar aurat ke sath zina kare jo iddat main na ho to ehtiyaat e wajib ki bina zaani (zina karne wala) is larki ke tauba karne se pehle is se shadi nahin kar sakta. (yani jab tak wo larki is zina se tauba nahin kar leti ehtiyaat e wajib ki bina par tab tak wo mard is larki se nikah nahin kar sakta, Han agar tauba kar le to nikah kar sakta hai. or dosri baat ye ke larki agar kunwari hai aur larki ka wali (yani baap ya dada) maujood hai to wali se nikah ki ijazat leni hogi, lekin agar larki ka wali (yani baap ya dada) maujood nahin hai to phir is se tauba karne ke baad nikah sakti hai). 2: Jo koi shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtela hota ho is par wajib hai ke wo shadi kar le. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2341,2342,2364,2407). [Updated on 12-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir meri mama ki pheli shadi se ik larki hoi thi us ke koch arse bad talaq ho gya phir mere papa se shadi hoi ab meri jo soteli bahn ha uske bache same meri age ke han to kya ma apni soteli bahn ki beti se shadi kr skta ho
Answer: Jee nahin, yeh aap ki bhanji hai or bhanji se shadi nahin kai jaa sakti Q ke wo aap ki mehram hain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #90). [Updated on 22-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mene apni khala ki ladhki k saath nikah kr liya h ...ek hafiz ji thy Jo hamara nikah padhway thy ar ek ar admi tha mere janne wala tha nikah k wakt to kya ye nikah zayaz h
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq nikah ki sharait me se hai ke nikah ke liye larka or larki raazi hon, is ke saath saath Larki ke wali (yani baap ya dada) ki ijazat bhi zaroori hai. lihaaza wali ki ijazat ke sath yeh nikah hua tha to ye nikah durust hoga, lekin agar wali ki ijazat ke bager ye nikah hua tha to ye nikah durust nahin hoga, Q ke Baligh larka wali ki ijazat ke baghair nikah kar sakta hai. lekin wo kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho us ke liye apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai or agar larki khud mukhtaar ho to us ke liye apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. Is ke alawa nikah ka seega (bol) parhna zaroori hay is tarah mard or aurat ka sirf razamand hona or isi tarah nikah nama likhna ehtiyat e wajib ki bina par kafi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2335,2341). [Updated on 22-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Larki ka nikah hua wa hai or maah bap zabardasti larki ka dusra nikah krwa dain or id card b bnwa dain nadara too wo larki wapas ajaye bhag k apny phly shohar k pass too islam jaiz karrrar dy ga
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Agar pehla nikah wali (yani baap ya dada) ki ijazat ke bager hua tha to pehla nikah sahi nahin hoga, Q ke nikah me ye zaroori hai ke larka or larki raazi hon or is ke sath sath wali (yani baap ya dada) ki ijazat bhi ho, lihaaza pehla nikah sahi nahin hoga Q ke us me wali ki ijazat shaamil nahin thi. 2: Doosra nikah bhi sahi nahin hai Q ke is me wali ki ijazat to shaamil hai lekin is nikah par larki ki raazi nahin hai or larki ka zabardasti nikah karwaya jaa raha hai jabke nikah me ye zaroori hai ke larka or larki raazi hon, lihaaza ye nikah bhi sahi nahin hoga. 3: Kanwari (virgin) larki us waqt tak nikah nahin kar sakti jab tak ke larki ka wali (yani Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day. or isi tarah ehtiyaat e wajib ki bina(base) par yahi hukum us surat main bhi hai ke jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. Lekin agar larki kanwari nah ho tu us ke liye baap ya dada se ijazat lena zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2335,2341). [Updated on 22-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hello sir kya main apni walida ki khala ki beti se nikah kar skta hu woh meri sagi khala nahi hai kya ye jaiz hai
Answer: Insaan apni maan ki khala se nikah nahin kar sakta lekin maan ki khala ki beti se nikah kar sakta hai Q ke maan ki khala ki beti na mehram hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2353). [Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]