Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 15929
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam alekum janab mujhe yeh janna h ki mere dada or mere walid hayat nhi hai or mere umr 35 h me ek ladka mujhse mutah karna chata kya me mutah kar sakti hu jabki mere bap dada nhi or bhai bhi bada nhi

Answer: Jee han, kar sakti hain Q ke agar kisi larki ka wali (yani baap ya dada) maujood (hayat) nah to phir nikah (daaimi ya mutah) ke liye kisi se ijazat lene ki zaroorat nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2342). [Updated on 01-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15936
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kisi larki ki zabrdasti shadi karayi jaye or use husband pasand nhi aye or larki ne use khabi chone b nhi diya h or phir b larka talaq nhi deraha Kya larki benah talaq k apni pasand se kisi or larke se shadi karsakti h

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Us larki ka jis larkay ke sath kiya gaya hai wo nikah sahi nahin hai Q ke nikah ke sahi hone ki sharait me se aik shart ye hai ke nikah karne me larka or larki dono raazi hon, agar larka ya larki dono ko ya in me se kisi aik ko nikah karne par majboor kiya jaye to nikah durust nahin hota. lihaaza us larki ka pehla nikah sahi nahin hai. 2: Ab chunke sharaei taur wo larki shohardar nahin hai to ye larki apne wali (yani baap ya dada) se ijazat lay kar kisi bhi na mehram mard se nikah kar sakti hai. lekin wali se ijazat liye bager nikah kisi dosre mard se nikah nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335. + Minhaj us Saliheen, Part #3, masalah #565). [Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15963
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaam o Alikum. Kya larki kisi gair ko wali bana sakti hai?

Answer: Baalig, kunwari or rasheeda larki ke nikah ke silsile me wali faqat Baap ya Dada hota hai, or yeh wali banana (kisi ko wakeel banane ke tarah) Insaan ke hath me nahin ke jise chaha wali bana liya, balke ye Baap ya Dada ka wali banna Allah or Rasool ki janib se hai ke jis ko hum apne hath se badal nahin sakte. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #162,173). [Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15964
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ek shohar agar uski biwi thk nahi hay kya vo allah key pas aur ek ladki sey shadhi hone ki dua karsakta hay ye gunah hay?

Answer: Jee han, bilkul kar sakte hain, Q ke aik se zaaid shadiyan (char tak) karna riwayat ki roshni men mustahab hai aur doseri shadi karna makrooh nahin hai aur na hi koi gunah hai. (Ref: Mujtahid say poochay gaye sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, sawal #105, pg #53). [Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15982
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Meri BHN rishty KY lya han ni krti h mere parents bhut pryshan hain meharbani karke is ka Koi hal Btain

Answer: Nikah ke sahi hone ki sharait me se aik shart ye hai ke nikah par larka or larki raazi hon agar larka ya larki dono ko ya kisi aik nikah par majboor kiya jaye to nikah durust nahin hai. lihaaza zaroori hai larki ko nikah ke liye majboor nah kiya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335. + Minhaj us Saleheen, Part #3, masalah #565). [Updated on 15-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16006
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar apki mangni hochuki hai ghar walon ki raza mandi se aur shadi mein waqt hai tou kya larka larki khud se nikah karskte hain larki k wali k bagair us waqt se pehle jo tae shuda hai.

Answer: Jee nahin, agar larki kunwari(virgin) ho to us waqt tak nikah nahin kar sakti jab tak ke larki ka wali (yani Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day. or isi tarah ehtiyaat e wajib ki bina(base) par yahi hukum us surat main bhi hai ke jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2335,2341). [Updated on 23-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16008
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikha main sirf kalmy suny jaty hn duly sy ya koi or surt b

Answer: Nikah ki Sharaait men se hai: 1) ehtiyaat e wajib ki bina per nikah ka sighah(jumla) arbi zaban main perha jaay. 2) Nikah perahnay wala qasd e insha rakhta ho.(yani nikah perhanay ki niyat say sighah kahay). 3) Nikah parhanay wala zaroori hai ke aaqil ho(yani pagal nah ho.) or ehtiyaat e wajib ki bina per na-baligh bhi nah. 4) Nikah perhanay wala nikah k waqt mard or aurat ko moayyan(nominate) keray. maslan onka naam lay ya onki taraf ishara kare. 5) Mard or aurat ke nikah par razi honay ka ilm ho. 6) Kanwari or rasheeda lerki k baap ya dada ka is nikah per razi honay ka ilm ho. balkeh agar lerki apni zindagi k kamo ko khud mukhtari k saath anjaam daiti ho tab bhi ehtiyaat e wajib ye hay k baap ya dada ki ijazat li jaay. Agar in sharait ka khiyaal nah rakha jay tu nikah sahi nahi hoga. 7) agar aurat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwajtuka nafsi alassidaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qabiltut tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qabilto" khe tab bhi nikah sahih hai (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jaye). 8) Larkay ke liay kisi say nikah ki ijazat lena zarori nahi hai. 9) Nikah mai gawah ki zarorat nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2333,2335,2341,2342). [Updated on 23-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16029
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Larki sa nekh hua ha par rustaqi ni hue ha larky na us ko talaq da de ha ab wo dubar nekh krna chata ha kya in ka liy be halal zururi ha

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi hone ki chand aur sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to Talaq sahi nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Mard talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. 2: Agar larki ko in sharait ke sath Talaq di gayei thi to Talaq sahi shumar hogi aur agar ye pehli talaq hai to bager halale ke dubara usi mard se nikah kar sakti hai, lekin agar in ke sath Talaq nahin gayei thi to Talaq sahi shumar nahin hai, aur ye dono apas miyan, biwi hi rahen ge. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475). [Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16032
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: My question is that if the girl's grandfather and father do not alive, does she need someone's permission for nikah or not?

Answer: Then no need to get permission from anyone. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2342). [Updated on 06-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16059
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shia namard say nikah jaiz hai

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 08-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!