Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Nikah ( 1186 Questions)


Id: 16063
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Humri mangni hui wi hai or hum kisi ko btaye bina nikah krna chahty hain Q k humri shadi mai wqt hai lekim hum jaiz taluk mai ana chahty hain plz bateiye ?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq nikah ki sharait me se aik shart ye hai ke kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho us ke liye apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaroori hai or agar larki khud mukhtaar ho to us ke liye apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina par zaroori hai. lihaaza agar aap dono nikah karna chahte hain to nikah ke liye wali se ijaazat zaroori hai, is ke bager nikah durust nahin hoga. Is ke alawa nikah ka seega (bol) parhna zaroori hai wagera... (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2335,2341). [Updated on 09-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16067
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namard shia say nikah ho sakta hai

Answer: Sharaei maslah to ye hai ke agar kisi aurat ko nikah ke baad pata chale ke us ke shohar ka uzu e tanasul nahin hay ya wo jima nahin kar sakta to aurat, Talaaq ke baghair nikah khatam kar sakti hai. yani talaq ki bhi zaroorat nahin. Lekin agar kisi aurat ko nikah se pehle hi pata hai ke wo shakhs na-mard hai aur phir bhi us se nikah kar lay to nikah to jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2346). [Updated on 14-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16069
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya 1 waqt me 2 couples k nikkah hoskty???

Answer: Jee han, agar tamam cheezen alag alag hon jaise ke nikah ki sharaait wagera... to aik waqt aur aik jagh me chand nikah ho satke hain. Aur tamam cheezen alag alag hone se murad ye hai ke aik couple ka jab nikah ho raha ho to us me maslan alag nikah ke seeghe parhe jayen gay aur jab dosre couple ka nikah ho raha ho to us me alag nikah ke seeghe parhe jayen gay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e maslah #2328,2333,2335,2341). [Updated on 13-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16075
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya mein apny saghy bhai ka gawah bn shkta hn unky nikah mein i want to ask if i am his real brother if he got marriad then can i be his gawah?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jee han, Ban sakte hain. Albatta nikah main gawah banana zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2335). [Updated on 14-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16079
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam meri mangni howi hai shadi kuch ghar ke masayil ki waja se nai horahi aur nikah b kiya me mangitar ke sath video call sex kar sakta ho nai karo ga to me zina ki taraf jata ho

Answer: 1: Jee nahin, nikah se pehle is tarah ka amal jaiz nahin hai Q ke faqat rishta paka hone se larka aur larki miyan biwi nahin bante ke is tarah ka amal jaiz ho jaye, balkeh nikah karne ke baad larka aur larki miyan biwi ho jate hain aur miyan biwi aik doosray k liye halaal ho jaate hain. 2: Is tarah ke gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Before Maslah #2328,2407 Pg #357,371). [Updated on 15-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16081
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum shia larki aur sunni larky ka nikkah kis trhan hoga aya shia molana aur sunni molana dono hongy ya koi 1 molana bhe kafi hongy please detail my jwb de den jazakallah.

Answer: 1: Shia larki ka sunni larke se nikah to ho sakta hai albatta lazim hay ke nikah har sorat main shia tareeqe ke murabiq hi parha jaye Q ke shumaar jo hoga wo faqat shia wala nikah hi hoga. Is liye ke sunni nikah main wo sharaet nahin hotin jo aik shia nikah ke liye zaroori hain. Aur Sunni nikah karnay ke baad larki halal nahin hoti. 2: Larkay ko nikah ke liye kisi ki ijazat lena zaroori nahin hai. Jabke kunwari larki jo khud mukhtar nah ho agar wo nikah karna chahe tu os ka nikah k liye baap ya dada ki ijazat lena zaroori hai. or agar khud mukhtar ho tu bhi ehteyate wajib ki bina per baap ya dada se ijazat le. (Ref: Tauzaaeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42,Maslah #2328,2335,2341). [Updated on 15-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16084
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baap aur dada fot ho chuky hon tou kia baalig larki apni marzi sy nikah kar sakti hai?

Answer: Jee han, kar sakti hai Q ke agar kisi larki ka wali (yani baap ya dada) maujood (hayat) nah ho to phir nikah (daaimi ya mutah) ke liye kisi se ijazat lene ki zaroorat nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2342). [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16104
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ek he larki sy 2 bar nikkah ho sakta ha kukay 1 bar nikkah chup kr kiya or dusri baar usi larki sy ghar walo ki razamandi sy nikkah huwa.

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Pehla nikah sahi nahin hoga, Q ke pehla nikah wali (yani baap ya dada) ki ijazat ke bager hua tha, is liye ke nikah me ye zaroori hai ke larka or larki raazi hon or is ke sath sath larki ke wali (yani baap ya dada) ki ijazat bhi ho, ab chunke pehla nikah sahi nahin hua is liye ke us me larki ke wali ki ijazat shaamil nahin thi lihaza dosra jo nikah kiya jaye ga jo ke wali ki ijazat ke sath hoga wohi nikah sahi shumaar hoga. 2: Kanwari (virgin) larki us waqt tak nikah nahin kar sakti jab tak ke larki ka wali (yani Baap ya Dada) larki ko nikah ki ijazat nah day day. or isi tarah ehtiyaat e wajib ki bina(base) par yahi hukum us surat main bhi hai ke jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2335,2341). [Updated on 20-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16105
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ek he larki sy 2 bar nikkah krna jaiz ha kukay 1 nikkah chup kr kiya ha wali ki ejazat Ky bagair or dusra nikkah usi larki sy ho gaya kukay family maan gai thi to kia ek he larki sy 2 nikkah jaiz ha kukay ghar walo ko 1st nikkah ka nhi bataya.

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 20-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16106
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sali ke 2 bar talk ho choki ha 2 shadiya ke us ke laken talak ho Gai kia ab mara us sa nikha jaiz ha jab k Mari biwi b hayat ha

Answer: Jee nahin, jab tak aap ki biwi aap ki nikah main hain, aap apni saali se nikah nahin kar saktay. (Ref:Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2355). [Updated on 20-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!